Islamic Blog

ZIYARAT UN NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KA WAQIYA
Mulk-e-Arab me Ek buzrug the Unke pass Ek shaqs aaya Aur Arz kiya?
” Ya shaik Mujhe koyi Vird ya Koyi Amal bataye k Mujhe Aaqa kareem محمدﷺ ka didaar ho jaye
Buzrug ne kaha:” Aaj aisa karo raat ka khaana mere ghar me aakar khana.In shaa ALLAH Tumhe Aisa Nuskha dunga jisse tumhe aaqa kareem محمدﷺ ka didaar hojaye ga ”
** Raat ke waqt shaik sahab ne khane ka intezaam kiya Aur wo Shaqs haazir hua.
Khaana laya jaata hai, Aur wo khaana shuru karte hai Khana kuch aisa hota hai k uss me bahoot zyada namak daal diya jata hai Aur Paani bhi nahi diya jaata hai Ab us Admi ne Shaik ke adab me Paani bhi talb nahi kiya
Khaana khatam karne ke baad uss Shaqs ne Shaik sahab se kaha ” Shaik sahab Apne waada farmaya tha ke Main vird ya amal dunga jisse Aaqa Kareem محمدﷺ ka didaar Naseeb hojaye ga…”Wo Nuskha to ataa kre ”
Shaik sahab ne kaha:” Aaj ghar jao aur jaate he sojana aur Paani nahi peena.Yahi tumhara Amal hai “Us Shaqs ne kaha
” Ji main yahi Amal karunga ”
** Wo ghar jaata hai aur bagair Paani piye so jata hai.Aur subha uth kar fajar Ke Namaz shaik sahab ke peeche Adaa karta hai.
Aur Shaik sahab se puchta hai:” Shaik sahab Aapne kaha tha ghar ja kar Paani piye bina sojao Aaqa Kareem محمدﷺ ka didaar hoga.
Mere Dil me bahoot Hasrat hai bahoot tamanna hai ke kab Aaqa Kareem محمدﷺ ka Hussain o jameel mukhda Nazar aayega “.
Shaik sahab ne pucha:”kya tu ghar jaakar jaate he sogaya tha ? Paani piya tha? ”
Usne kaha:” Nahi paani nahi piya tha ”
Shaik ne Pucha:” Batao khuwab me kya dekha? ”
Usne kaha:” Maine khuwab me kuwe dekhe, samandar dekhe, Jiss taraf Aankh uthayi paani he paani dekha “Shaik sahab ne kaha:” Bass yahi tera vird hai ? Yahi tera Amal hai?
Agar tere Dil me paani ki pyaas thi paani ki tadap thi,Paani ki sacchi pyaas thi Tu haqeeqat me paani ka taalib tha.Tu chahta tha mujhe paani mil jaye Aur raat ko Paani pine ki aarzu lekar Teri Ankhe band ho gayi thi.
Ab sonch agar Paani Teri sacchi Pyaas bujhane k liye tere Khuwab me aakar tujhe didaar karva sakti hai to Hazrat Aameena(R.A.) k laal Aaqa Kareem محمدﷺ Teri tadap teri tamanna teri Aarzu dekh kar tujhe didaar se Mushrif kyun nahi karayege…..
Tu sacchi tadap Paida to kar! Tu Aarzu Paida to kar! Tu Sacchi chahat Paida to kar! Tere Andar khuwaish Paida to ho! Tere Andar haqeeqi tamannaye Machle to sahi! Waise tere Dil me tamanna hai Aaqa Kareem محمدﷺ ke didaar ki tamannayi bhi hai Aaqa Kareem محمدﷺ ka Aarzu-mand bhi hai…
Tu kabhi Dil ki duniya ko Paak karke dekh.
Dil ki duniya ko saaf karke dekh Idhar teri Aankhe band hogi idhar kaunain k wali محمدﷺ
ka Hussain o jameel Mukhda tumhare saamne hoga…. Dua hai k ALLAH hum sabko Huzur محمدﷺ ka didaar naseeb farmaye.

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm