Islamic Blog

10 Muharram Ko Youm-e-Aashoora Kehte Hein, Na Muharram Gham Ka Maheena Hay Na Sogh Ka, Musalmano Ka New Year Muharram Se Shuroo Hota Hay Or Zil-Hajj Per Khatam Hota Hay. Hazrat Muhammad Salallaho Alaihwasallam jab madina mein thay tu wahan door aik yahoodiyun ki basti thi wo log bhi aashooray ka roza rakhte thay, Aap Salallaho Alaihwasallam ne Sahaba se dariyaft kia ke ye log kaunsa roza rakhte hein, maloom hua k wo log bhi Aashooray ka roza rakhte hein, wo is waja se ke is din Hazrat Moosa Alaihsalaam ko Firon se nijaat mili thi or Fironi gharq howe thay, tu jab yahoodiyun ko pata chala k Aap Salallaho Alaihwasallam or Unke Ashaab bhi is din roza rakhte hein tu Yahood kehne lage ke ye Paighamber bhi hamare deen mein aahista aahista arahe hein,

Tu Aap Salallaho Alaihwasallam ko ye baat pata challi tu Aap Salallaho Alaihwasallam ne farmaya ke Agr Mein Aglay Saal zinda raha tu aik roza or rakhun ga, Mushaabihat se Aap Salallaho Alaihwasallam buhat bachtay thay, Ulamaye Kiraam farmate hein ke ya tu 9 or 10 ya phir 10 or 11 Muharram ka roza rakhein.

10 Muharram ke din ki barkat ki waja se is mein buhat se waqiyat ka hona rivayat mein paish aya hay, jin mein chand ye hein:-

1.Is Din Ghilaaf-e-Kaba tabdeel kia jata tha
2.Yahoodi iski taazeem karte or roza rakhte
3.Is din Hazrat Moosa Alaihsalaam or unki Qom Ko Firon se nijaat mili thi
4.Hazrat Nooh Alaihsalaam ki kashti Joodi Pahar Per lagi
5.Hazrat Adam Alaihsalaam ki Touba Qabool Hui
6.Hazrat Younus Alaihsalaam Ki Qom ki Touba qabool hui
7.Hazrat Ibrahim Alaihsalaam Paida hue
8.Ashabe Kahaf ko left right karwatt di jaati thi
9.10 Muharram ke roze ki barkat se Saal bhar guzishta ke Gunah Maaf hote hein
10.10 Muharram hi ko Qayamat ka Soor Phoonka jaye ga or Qayamat aye gi.

Baaz Logun ka khayal hay ke balke aksar awaam ka yehi khayal hay ke Aashooray ke din ki Fazeelat Shahadat-e-Imam Hussain Razi Allah Anho hay, Tu ye khayal bilkul Ghalat hay, Aashooray ke din ki fazeelat is waja se nahi balke Aashooray ka din baishtar se Sharae Sabiqa mein afzal hay jaise Rivayat se maloom hota hay,

Phir Shareeyat-e-Muhammadiya mein bhi iski fazeelat warid hay jab ke is Shahadat ka waqoo bhi na hua tha, so is ki Fazeelat is Shahadat se nahi balke Khud ye Shahadat is Yom mein is liye waqay hui ke ye Fazeelat ka din tha, Is liye Allah Tala ne is din ko apne maqbool banday Hazrat Imam Hussain Razi Allah Ahno ki Shahadat ke waaste muntakhib farmaya. Gharz is din ko Imam Hussain Razi Allah Anho ke qissay se koi Fazeelat nahi hui balke Khud Hazrat Imam Hussain Razi Allah Anho ko is din mein Shahadat Hone ki Fazeelat Hui.Ye Khayal bhi ghalat hay ke 10 Muharram ko Eesaala-e-Sawab mein ziyada sawab hay, ye khayal karna ke 10 Muharram ko ziyada sawab hay Bidatt hay or Deen mein aik nai baat Eejaad Karna hay, Or han Khaanay Mein Barkat hona Hadees Sahaih se sabit hay ke Hazrat Muhammad Salallaho Alaihwasallam ne Irshaad farmaya ke “Jis ne Aashooray ke din apne Ahl-o-Ayaal per Faraakhi ki tu Allah Tala Us per Tamam Saal Faraakhi rakhein gay. Baaz Log Muharram Mein Shaadi Nahi Karte.

Tareekh Ki Books Se Sabit hay ke Hazrat Hussain Razi Allah Anho ne Qarbala Ke Maidaan mein apni Baiti Or Bhateejay Ka Nikah Khud Parhaya, Pooray saal mein koi aisa maheena nahi jis mein khushi mana ho, koi aisa din or koi ghari nahi, Gham Sirf 3 din ka hay Jab inteqal hojaye, har saal ka nahi. Hazrat Hussain Ka Buhat Bara Martaba hay Lekin Aap Salallaho Alaihwasallam ne “Syed-Dush-Shuhada” Apne Cha Cha Hazrat Hamza Ko Kaha hay, Or 1 Laakh 24 Hazar Ambiya mein se 43,000 Ambiya Qatal Shaheed hue hein, Na unka gham manaya jata hay na sogh! Aik Sahabi aik Paighamber ke bhi braber nahi hosakta na aik Ummmati aik Sahabi ke barabar ho sakta hay ! Sab se Ooncha Maqaam Paighambarun ka hay !

Hazrat Hussain Ki Waseehat Apni Hamsheera Or Ahl-e-Bait ko:- ” Meri Behan Mein tumhein Khuda Ki Qasam Deta Hun ke meri Shahadat Per tum Kapray Phaarna ya Seena Kobi Waghaira har Ghiz Na Karna, Or Awaz se Rone Or Chilla Ne Se Bachna.” (Book Ka Naam “Shaheed-e-Karbala” Page 74-75 (Mufti Muhammad Shafi Sahab, Rehmatullah Alaih) Afsos hay ke aaj Hazrat Hussain se Mohabbat ka dawa karne walay hi Aap ki is Aakhri Waseehat ki na Sirf Mukhalif karte hein balke isko apna deeni Sha-Aar Samajh kar ada karte hein. (Touba)

Via : facebook.com

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm