Islamic Blog

Question-03..

🎆12 Rabi-ul-Awal mein Khana e Kaaba OR Madina Munawara kyun Nahi sajaya jata jab Islam shuru hi wahan se hua hai ?

27a1Answer-03…

🌠Pehle baat toh yeh zehan me rakhlein humein kisi chiz ko manne ke Liye Saudi ki dalil ki hajat nahi hai Quran aur Hadees Sharif hai hamare pass jo kaafi hai…

🎆Agar aisa kisi ka manna hai ki Saudi me sirf woh kaam hota hai jo Quran e Hadees se saabit hai toh mujhe batayein 23rd September ko jo National day yaani “Saudi Day” Manaya jata hai
Yeh kahan se Saabit hai kis Sahabi ne kiya tha aisa ???
Kahan hai Quran ya Hadees me iska zikr ???

🌠Arre shayad carodon rupaiya isme barbad karte hain yeh log kisi me himmat nahi ki jakar inse is amal ke baare me puche magar hum agar kuch paisa Milaad Sharif ke Liye kharch kardein phir kuch logon ko taqlif hai…

🎆Khair jo Sawaal likha hai uske jawaab ke liye humain thoda sa Tareekh (History) per nazar dalna padegi aaj say kam o besh 100
(1924 se Pahele) Saal pehlay Khana-e-kaaba aur Madeena-e-Munawwara me bahut shandar tareeqay se Rabi ul awal ka Jashan-e-wiladat-e-Mustafa ﷺ manaya jata tha saari dunya se badh kar chiragha kiya jata tha.

🎆Lekin 1924 me Ibne Abdul Wahab Najdi Ne Jaziratul-Arab Par Hamla kiya aur Musalmanon ka Qatl e Aam kiya, Waha ki Khilafat e Umaniya Ko Hataa kar apni Na-jaiz Hukumat Qaim ki aur Naam saudi Arabiya Rakh diya.

🌠Aaj bhi us Zalil ke manne wale bad-Aqeedah log Jashan-e-wiladat nahi manate.

🎆Kuch log jo deobandi kehlate hain woh bhi Jashn-e-Wiladat ko manane se inkaar karte hain

🌠Haan lekin apne darul uloom deoband ka jashan bohat zoq o shoq se manate hain aur us me Mushrika Indra gandhi ko bhi mimber per betha dete hain.

🌠
🎆Isme tafsili malumat hai us sharmnak waqiye ki jisme ek kafir Aurat ko bulakar usko badi Izzat di gayi…

🌠Ek baat samjhlein ki Jo Nabi ﷺ Ka Gustakh hai Usko Zaleel Karna Quran aur Sahaba Ki Taalim hai.
Quran me Surah Lahab,
Surah Qalam dekhlein.

🎆Sahabi HAZRAT ABU UBAIDA IBNE JARAA رضی الله عنہ Ne Apne Baap Ka Qatl Kar diya tha Jab Usne Huzur ﷺ ki Gustakhi ki thi.

🌠Ab aap batayein Inke nazdik Tarana-e-Deoband padhna jaiz hai magar Naat-e-Mustafa ﷺ padhne me inhe taklif hoti hai…
Toh kya yeh gustakhi nahi ???

🎆Ab yeh kehte hain hamare peeche namaz kyun nahi padhte ?

🌠Humein Salaam kyun nahi karte ?

🎆Arre Sharm aani chahiye kalma padhte ho uska bhi haq ada nahi kar sakte ???

🌠Tum Apni Aulad Ki paidaish Par Khush hote ho,Dawat dete ho,
Woh exam me pass hua toh khoob mithaiyan taqsim karte ho, Uski shaadi hui toh khoob ghar ko sajaya lazeez pakwan ban waye acche acche keemti aur naye kapde pehne…

🎆Kya yeh sab karne se pehle manga tha saboot Quran ya Sahih-hadees se kya pucha tha tumne kisi se ki main khush ho raha hun kya Arab me bhi aise khush hote hain ???

🌠Sharm nahi aati tumhe ab bhi aapne aapko Musalman kehte ???

🎆Tumne har khushi bina-dalil ke manayi kya Mere Aaqa ﷺ ki wiladat ki khushi manane ka waqt aaya toh tumhe sab Dalil ki hajat pesh aagayi aur tumne isse biddat keh diya ???

🌠Sach kehta hun Aapne Imaan ka muhasba karo socho is baare me in sawaalon ka jawaab tum yahan Duniya me nahi de sakte Aakhirat me kahan se doge ???

🎆Khudara khudara Aapne aap par reham khayein Musalman banna hai toh sacche Musalman banein warna yahan toh logon yeh hi samjhenge ki tum Musalman the magar aakhirat me kahin tumhe sabke samne ruswa na hona pade…..

2b06Continue….

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm