Nabi E Kareem Raufur Raheem Sallalaho Tabarak Taala Alyhi Vassallam Ne Irshad Farmaya Ke,Pehle ki Ummato Me Ekk Shaks Tha Jisne 99 Qatl Kiye The, Usko Tauba Ka Khayal Aaya To Pucha Kaun Hai Duniya Me Bada Aalim Logo Ne Ekk Rahib (Duniya Se Door,Parhezgar Insan) ka Pata Bataya Woh Waha Pahucha Kaha 99 Qatl Kiya Hoon Tauba Ho Saktii Hai? Us Rahib Ne Kaha NAHI!! USNE US RAHIB KA QATL KIYA Aur pure 100 Kar Diye. Phir Dil me Khayal e Taubba Aaya Pucha Kaun Hai Duniya Me Bada Aalim K Jaun ! Logo Ne Aur Ekk Aalim Ka Pata Bataya.
Pahucha Arz Ki 100 Aadmiyo Ka Qatil Hoon Taubba mumkin? Us Aalim Ne Kaha Kyu Nahi Teri Tauba Me Kya Chiz Haeel Hai,,, Fala Falan Jagah Jaa Waha Log ALLAH KI IBADAT ME MASROOF HAIN UN K SATH LAG JAA AUR APNI PURANEE JAGAH NA JAA KE PHIR GUNAHO KA KHAYAL AAYE!! WOH Un Logo Ki Taraf Chala K Raste Me Hii Maut Aa Gayi…
Rehmath K Farishte Pahuche K Yeh Tauba Karta Huwa Jaa Raha Tha NEKON KI TARAF.
AAZAB K FARISTO NE KAHA KOII NEKI NAHI 100 ADMIYO KA QATIL HAI.
INME KUCH BEHAS HUWI, KE EK FARISTA INSAN KI Shakl me Aya Aur Kaha Zamee Ki Paimaesh(counting) Karo jis Se Qareeb Ho Us K Hisab Se Uss K Sath Bartav. Paimaesh Me Woh Neko Ki Zameen Se Qareeb Tha To Rehmath Ke Farishto Ne Uss Par Qabza Kar Liya, Ye Iss Waste Ke Jab Maut Aae To Usne Apna Seena Tauba Se Qareeb Kar Liya tha..
Muslim 2766Bukhari 3470Ibne Maaja 2622
Masnad e Abu Saeed Khudri 46.
- Sultan Shamsuddin Altamas. - 25th October 2016
- Allah Ki Raah me Kharch. - 24th October 2016
- Aqeeda aur Niyat. - 22nd October 2016