Islamic Blog

Ek Shaks Ki Jaankani (Rooh Kabz Hote Waqt) Ke
Waqt Kalima-A-Shahadat Padhne Se Zubaan
Bandh Hogayi! Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-
ALAIHI-WASALLAMUske Paas Tashrif Legaye Aur
Logon Se Daryaft Kiya Ki Kya Yeh Shaks Namaz
Padhta Tha?
Roze Rakhta Tha? Kaha Gaya,
Haan! Aye Rasool-A-Khuda SALLALLAHU-TA’A
ALA-ALAIHI-WASALLAM Yeh Namaz Bhi Padhta
Tha Aur Roze Bhi Rakhta Tha! Farmaya, Kya
Usne Apni Maa Ki Nafarmani Bhi Ki Thi?

Arz Ki Haan! Ya Rasoolallah! Wakayi Yeh Ek Maa Ki
Nafarmani Karta Tha! Aapne Uski Maa Ko Bulaker
Farmaya! Tu Apne Bacche Ki Khatah Muaf Kerde,
Aakhir Hain To Tumahra Hi Lakhte-Jigar!

Maa Ne Inkaar Kerdiya, Kyonki Usne Ek Mauke Per Maa Ki Aankh Fhoad Di Thi, Aur Sakht Dil Dukhaya Tha! Aapne Farmaya, Accha Jab Yeh Muaf Nahi Kar
Sakti To Maa Ke Gustaakh Ka Hashr Dekho!

Bahoatsi Lakdiyan Jama Karo Aur Uneh Aag Laga
Do, Aur Use Dahekti Hui Aag May Daal Do! Maa
Ne Jab Yeh Baat Suni To Be-Tabana Lehje May
Kaha, Ya Rasoolallah! Yeh Mere Pet May 9
Mahine Raha Hain 2 Saal Usne Mera Dudh Piya
Hain!
Use Main Aag May Jalte Kaise Dekh
Sakugi? Lijiye Maine Uski Khatayen Muaf Ki!
Udher Maa Ne Muaf Kiya Idher Uske Bacche Ki
Zubaan Se Nikla!
“Ash-Hadu-An-Laa-Ilaaha-Illallah-Wa-Ash-
Hadu-Anna-Mohammadan-Abdahu-Wa-Rasoolahu!”
(Nujjahtul Majalis, Kitaabuz-Zikr Jild-1, Pg-52)

mm
Latest posts by Færhæn Ahmæd (see all)