Islamic Blog

QURBANI KIS PAR WAJIB HE:
1:…Kisi shakhs ne qurbani ki mannat mani ho to
us pr qurbani wajib hai.
2:..kisi ne marne se pehle qurbani ki wasiyyat ki ho
or itna maal choda ho k uske tihay(1/ 3)maal se
qurbani ki ja sake to uski taraf se qurbani krna
wajib hai.
3:..Jis shakhs pr sadka e fitr wajib he us pr
qurbani k dino me Qurbani b wajib he,lihaza jiske
paas Rehne ka makan,khane pine ka
saman,istemal k kapde or rozana istemal ki dusri
chizo k Alawa sarhe bawan(52.5)tola chandi ki
maliyat ka Naqad rupeea,tijarat ka saman ya dusra
saman ho us pr qurbani wajib hai.
*masalan ek shakhs k paas 2 makan he 1 me rehta
he dusra khali he to us pr qurbani wajib he jabke
us makan ki qeemat Sarhe bavan tola chandi ki
maliyat k barabar ho.

*ya masalan:ek makan me khud rehta he or dusra
kiraye pr diya he to us pr b qurbani wajib he
Albatta uski kamai ka zariya hi yahi makan ka
kiraya he to ye b zaruriyat e zindagi me shumar
hoga or us pr qurbani wajib nhi hogi.

*ya kisi k paas 2 Gadi he ek aam istemal ki or
dusri zayid to us pr b qurbani wajib hai.

* ya kisi k paas 2 plot he ek makan banane k liye
or dusra zayid he to agr dusre plot ki qeemat
sarhe bavan tola chandi ki maliyat k barabar ho to
us pr qurbani wajib hai.
4:..Aurat ka mahar(Muajjal)i tni maliyat ka ho to
us pr b qurbani wajib he ya waliden ki taraf se diya
gaya zewar or shadi me mili zayid chize nisab k
barabar ho to us pr qurbani wajib hai.

mm
Latest posts by Færhæn Ahmæd (see all)