Q;01👉 mai ameer banna chahta hu? Ans;👉 Farmaya qana’at ikhtiyar karo ameer ho jayoge.
Q;02👉 mai sabse bada aalim banna chahta hu? Ans;👉 Taqwa ikhtiyar karo aalim ban jayoge.
Q;03👉 izzat wala banna chahta hu? Ans;👉 makhluq ke samne hath phailana band kardo ba izzat ban jayoge.
Q;04👉 acha Aadmi banna chahta hu? Ans;👉 loago ko nafa pahuchayo.
Q;05👉 aadil banna chahta hu? Ans;👉 jise apne liye pasand Karte ho wahi dusre keliye pasand karo.
Q;06👉 taqatwar banna chahta hu? Ans;👉 Allah par tawakkul (bharosa) karo.
Q;07👉 Allah ke darbar mai khas darja hasil karna chahta hu? Ans;👉 kasrat se zikr karo.
Q;08👉 rizq ki kushadgi chahta hu? Ans;👉 hamesha ba wazu raho.
Q;09👉 duayo ki qabuliyat chahta hu? Ans;👉 haram na khayo.
Q;10👉 iman ki takmeel chahta hu? Ans;👉 akhlaq ache karlo.
Q;11👉 qayamat ke roz Allah se gunaho se paak hokar milna chahta hu? Ans;👉 janabat (napaki) ke baad fouran ghusl kiya karo.
Q;12👉 gunaho mai kami chahta hu? Ans;👉 kasrat se istighfaar karo.
Q;13👉 qayamat ke roz Noor mai uthna chahta hu? Ans;👉 zulm karna chhor do.
Q;14👉 mai chahta hu ke Allah mujhper raham kare? Ans;👉 Allah ke bando per raham karo.
Q;15👉 mai chahta hu ke Allah meri Pardah poshi kare? Ans;👉 loago ki pardah poshi karo.
Q;16👉 ruswai se bachna chahta hu? Ans;👉 zina se bacho.
Q;17👉 mai chahta hu ke Allah or uske Rasul ka mehbub ban jayu? Ans;👉 Jo Allah or uske Rasul ka mehbub ho usko apna mehbub banalo.
Q;18👉 Allah ka farma bardar banna chahta hu? Ans;👉 faraiz ka aihtimam karo.
Q;19👉 ehsaan karne wala banna chahta hu? Ans;👉 Allah ki istarah bandagi karo jaise tum use dekh rahe ho ya wo tmhe dekh raha ho.
Q;20👉 ya Rasul Allah kounsi cheez gunaho ki muafi dilayegi? Ans;👉 aansu, aajizi or bimari.
Q;21👉 kiya cheez dozakh ki aag ko thanda karegi? Ans;👉 dunya ki musibato per sabr.
Q;22👉 Allah ke jalal ko kounsi cheez thanda karegi? Ans;👉 chupke chupke sadqa or sila rehmi.
Q;23👉 sabse badi burai kiya hai? Ans;👉 bure akhlaq or bukhl (kanjoosi).
Q;24👉 sabse bad I achai kiya Hai? Ans;👉 ache akhlaq, tawazo or sabr.
Q;25👉 Allah ki narazgi se bachna chahta hu? Ans;👉 loago per gussa karna chhor do.
- Shab E Barat Kya Hai - 5th March 2022
- Health Tips Hindi - 4th January 2021
- Ramadan Hadith - 4th January 2021