Islamic Blog

Hazrat Muhammed (Sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya : Kisi insan ke liye ye sahi nahi hai ke apno se 3 din se zyada rishta tod kar rakhe, Jis insan ne 3 din se zyada aesa kiya aur agar wo mar gaya to jahannam mein jaega
– Abu Daud

Narazgi Khatam Karne Ke Liye Aage Hokar Salam kar Lo :
================================================
Hazrat Muhammed (Sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya : Jiska mafhoom ye hai ke – Agar 3 din rishta tode rakha to unme se koi aage hokar salam kar le, agar dusre ne salam ka jawab de diya to sawab mein dono hi shaamil ho gae, aur agar dusre ne salam ka jawab na diya to wo khud gunahgar hua aur salam karne wala rishte todne waale gunah se bahar nikal gaya, bach gaya. lekin jisne jawab na diya wo shaamil raha.
– Abu Daud

Ek hadees ka mafhoom hai ke agar 2 log aapas mein baat band rakhte hain to Allah ke pass jab hafte mein unki nekiya pesh ki jaati hain, to Allah us par dhyan nahi deta aur tab tak nahi deta jab tak dono aaps mein sulah na kar len.

Dosto, Lekin aaj hum dekhte hain ke kai kai saal log ek dusre se naraz rahte hain, balke kai to naraz rahte rahte hi mar jaate hain. Galti bhale hi kisi ki bhi ho hum pahal kar len, jo pahal karega usko zyada sawab hai, agar kuch log ye soche ke agar hum aage hokar gae to hamari naak neechi ho jaegi, ya log humko galat samjhenge, to is tarah ki baate na socho, kyonke duniya ki takleef bahut chhoti aur thodi hai, aakherat ki takleef bahut badi aur zyada hai.

Allah hum sabko amal karne ki taufik ata kare, aameen.

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm