Islamic Blog

Hadith: 3 tarah ke log Jinhe Allah Qayamat ke din Dekhega bhi nahi
—————————–
Urdu Translation:
Abu Hurairah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya 3 tarah ke log wo hongey jinki taraf Qayamat ke din Allah Taala nazar bhi nahi uthayega aur na unhey paak karega bulki unkey liye dardnaak azab hoga.
1. Wo shaksh jiskey paas raastey mein jarurat se jiyada paani ho aur usney kisi musaafir ko uskey istaimaal se rok diya.
2. Wo shaksh jo kisi haakim se bait sirf duniya ke liye karey ki agar wo haakim usey kuch de to wo raazi rahey warna khafa ho jaye.
3. Wo shakhsh jo apna (bechney ka) saaman asar ke baad lekar khada hua aur kahney laga ki us Allah ki kasam jiskey siwa koi sachcha maabud nahi, mujhe is saaman ki qeemat itni itni mil rahi thi us par ek shakhsh ne usey sahi samjha (aur us saman ko kharid liya).
{Sahih Bukhari, 2358}

Asalam-o-alaikum , Hi i am noor saba from Jharkhand ranchi i am very passionate about blogging and websites. i loves creating and writing blogs hope you will like my post khuda hafeez Dua me yaad rakhna.
mm