BISMILLAHI HIRRAHMANIRRAHM
Surah – An ibne abbas kaala ma Jahararal gulool fee kaumin illa alkiyallahu fi Qulubehimurraubi. fala fashazzinafi kaumin kasor fihimil maut. wala nakas kaumil mikyalil mizan illaqataun anhumirrizq. wala hakma qaumin begairin hakke. illa fashafihimiddam. wala khatra kaumnin bil ahad. illa salaata alaihimal urawi.
TARJUMA– Hazrat abdullah ibne abbas radiallahu ta’ala anhuma se rivayat hai ki unhone farmaya ki jab kisi kaum me khiyanat zahir aur khullam khulla hone laghti hai.to ALLAH TA’ALA us kaum ke dil me uske dushmano ka khauf daal deta hai. aur jab jis kaum me zinakari fail jati hai to us kaum me bakasrat maute hone lagti hain.aur jo kaum naap taul me kami karne lagti hai to us kaum ki rozi kaat di jati hai. aur jo kaum nahak faisala karne lagti hai. to us kaum me khoon rezi failane lagti hai aur jo kaumahad shikani aur aur bad ahadi karne lagti hai to us kaum par uske dushman ko ghalib wa musallat kardiya jata hai.
Sharhe Hadees – jis tarah dawaoaur ghizao me khuda wand kuddus ne kism kism ki taasiraaat paida farmayi hain ki zaharmar dalta hai. tiryaak zahar ke asraat ko za,il kar deta hai. baaz ghizaye sehat ko barbaad kardeti hain.aur baaz ghizaye tandurusti badhati hain. isi tarah insan ke akwaal wa afzaal me se kism kism ki taseera trakh di. maslan apki gali duniya bhar ke insano ko apka dushman bana deti hai. aur apki dua duniya bhar ko apka dost bana deti hai. isi traha agar ap kisi komukka dikhaye to wah ap par gazab naak ho jata hai aur agr ap kisi ke aaage hath jode to wah ap par raham dil ho jata hai.
isi tarah samjh lijiye ki insan ke har kaul wa amal me kism kism ki taseere aur tarah tarah ke asraat paida farmaye hain. nek amaal wa ache akwal ki taseerat wa asraat bhi ache hote hain.naur bure aamaal par bure akwaal ki taseerat wa asraat bhi bure hue karte hain.
Huzoore akram sallallahu ta’ala alahi wasallam ne is hadees me 5 bure aamaal wa unki buri taseero ko bayan farmaya hai.
- khiyanat ki taseer yah hai ki jo kaum amaanat me khayanat karne lagegi.to wah kaum apne dushmano se khaaif , darpok aur buzdil ho jayegi.
- aur jo kaum zinakari ki lanat me giraftar ho jayegi. To us kaum par tarah tarah ki balaye bimariyan aur wabaye ayengi. aur bakasrat log marne lagenge. baaz buzurgo ne farmaya hai “jaha zina waha fana”
- aur jo kaum naaptol me kami karne lagegi to uska yah asar hoga ki unki roziyo ki barkat kat jayegi.wah umr bhar rozi kamane ke liye dar badar ki thoklare khate firenge. aur hazaro lakho kamaynge bhi magar unke dil ko chain aur aur rooh ko sukoon aur daulat se karar nahi hasil hoga. aur kuch pata nahi chalega ki daulat kaha se aayi aur kidhar chali gai?
- Aur jo kaum nahak faisala karne ki khoogar ho jayegi to us gunah ka asar yah hoga kius kaul me katl wa khoon wa rezi ki bala fail jayegi. aur rozana raat din har taraf katl hote rahenge.
- Isi tarah jo kaum ahad shiakni aur bad ahdi ki raah par chal padegi. us kaum ki izzat wa ikbaal aur uski saltanat ke jaah wa jalal ka khatma ho jayega. aur us kaum par uske dushmano ka ghalba wa iqtidaar ho jayega.
Chunki un gunaho ki yah taseerat hain aur koi cheez bhi apna khalki asar dikhaye bina nahi rah sakti. lihaza gunaho ke wahi asraat honge jo upar bayan kiye gaye hain. aag par ungali rakh kar laakh chillaye magar ungali zarur jal jyegi kyuki aag ki taseer hi hai jala dena.
Wajeh rahe ki un gunaho ka yah azaab sirf duniyawi azaab hai. jo is hadees me diya gaya hai baki akhirat ka azaab uske alaawa hai. aur azzbe jahannam hai.
SOurce :http://www.islamicpost.in/
- मिसवाक के फायदे | मिस्वाक | Miswak Benefits - 9th April 2021
- BANGALORE RAMADAN TIMING 2021 - 8th April 2021
- HYDERABAD RAMADAN TIMING 2021 - 8th April 2021