Islamic Blog

5 WAQT KA NAMAZO KA JO WAQT MOQARRAR HAI WOH YA HAI
1) Fajar soraj nekalna sa taqreban 1:30 pahla yane subha sadiq sa shoro hokar soraj nekalna sa pahla tak rahta hai jab aftab ka zara sa bhe kenara nekal aee to Fajar ka waqt khatam hojata hai.
2) Zohar ka waqt zawal yane soraj dhalna sa shoro hota hai aur har cheez ka saya asle saee ka alawa do gonah ho jana tak rahta hai jab saya dogna hojae to zohar ka waqt khatam ho jata hai theek dopahar ka wat har cheez ka jis qadar saya ho woh iska asle saya hai.
3) Asar ka waqt jab har cheez ka saya asle saee ka alawa dogna yane dogona hoo jae to Asar ka waqt shoro hojata hai aur soraj ka gorob sa pahla tak rahta hai.
4) Magreb ka waqt soraj gorob hojae to Magreb ka waqt shoro hota hai aur shafaq ka gaeb hona sa pahla tak rahta hai.
Shafaq os ko kahta hai jo sorkhe magreb ke taraf sa oswaqt ate jab suraj dobta hai osko shafaq kahta hai Emam Abu HANIFA ka nazdeek Shafaq safade sa pahla tak Magreb ka waqt rahta hai aur ose par amal hai.
5) Isha ka waqt Shafaq gayab hona ka baad Isha ka waqt shoro hota hai aur subha sadeq hona sa pahla tak rahta hai Wetar ke Namaz ka bhe yahe waqt hai.
Ab mai ap ko Namaz ka mostahab oaqaat bata ta hoo opar jo bata ya gaya hai woh to Namaz ka waqt shoro hona aur khatam hona ka hai is ma ap kabhe bhe Namaz parh sakta hai par jo Mostahab hai Namaz ka waqt woh mai necha lekhonga.
NAMAZ KA MOSTAHAB OWQAAT
1) Fajar ke Namaz ka Mostahab waqt jab ojala hojae aur itna waqt hoo ka Qerat mostahab ko saat sonnat ka mowafeq ache tarah Namaz ada ke jaee aur pher Namaz sa fareq hona ka baad itna waqt baqe raha ka suraj nekalna sa pahla dobara sunnat ka mowafeq Namaz parhe ja sakte hai to aysa waqt Namaz parhna Mustahab-o-Afzal hai.
2) Zohar ke Namaz ka Mostahab waqt Garme ka mosam ma itne dar karka parhna ka garme ke taaze kam hojae Mostahab hai aur Sarde ka mosam ma awwal waqt Namaz parhna afzal hai.
3) Asar ke Namaz ka Mostahab waqt Sarde ho ya Garme har zamana ma Asar ke Namaz ma taqer Mostahab hai magar itne taqer na ho ka waqt makroh hogae.
4) Magreb ke Namaz ka Mostahab waqt Magerb ke Namaz ma jalde karna yane awwal waqt parhna Mostahab hai.
5) Isha ke Namaz ka Mostahab waqt aek tahae raat tak Mostahab hai is ka baad adhe raat taqer Mabah hai iska baad Makroh waqt hojata hai.
Jin waqto ma Namaz Jaez nahe aur jin ma Makroh hai woh bhe sonlegeya aur Namaz ka theen Makroh owqaat hai.
1) Suraj nekalta waqt yane suraj ka kenarah zahar hona sa suraj aek naza boland hojana tak andazan 20mint tak is waqt Namaz parhna jaez nahe hai.
2) Istawa ka waqt yane theek dopahar ka waqt is waqt bhe Namaz parhna jaez nahe hai.
3) Suraj gorob hota waqt yane dhoop kamzor aur pele parhgae aur suraj par nazar tharna laga os waqt sa Aftab ka gorob hona tak yane andazan 20mint in teem waqto ma koe bhe Namaz chaha woh ada ho ya khaza jaez nahe hai.

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm