Puri duniya khatam hone ke baad Allah duniya ke pahle insan se lekar aakhri insan tak sabko phir se zinda kar dega, aur har insan Allah ke saamne khada hoga, apni zindagi ka hisab dene, jaha insan khada hoga wo ek bahut bada khula medan hoga, yaha Allah suraj ko insano ke bahut kareeb la dega, jiski wajah se sabko bahut takleef dene waali garmi lagegi, is medan mein kisi cheez ka saya na hoga, sirf Allah ke arsh (throne) ka saya hoga, aese time mein har insan suraj ki dhoop mein khada hoga lekin kuch logo ko Allah apne arsh ke saae mein jagah dega.
Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya – Jis din Allaah ke arsh ke saae ke siwaa kisi ka saaya na hoga…… Us din 7 tarah ke logo par Allaah ke arsh ke saae mein honge,
(1) sahi Insaaf karne wala badshah/raja
(2) Wo Naujawaan jisne Allaah ki Ibaadat jawani mein ki
(3) Wo Shakhs jiska Dil Masjid mei atka rahe.
(4) Wo 2 Shakhs jo Alaah ke liye Muhabbat kare’n ……. Juda ho’n to Alaah ke liye …..Aur mile’n to Allaah ke liye.
(5) Wo Shakhs jisko koi Izzatdaar aur Haseen Aurat bulaaye (sex ke liye) ….to wo kahe ke mei Allah se darta hu’n. (isliye tere pass nahi aa sakta)
(6) Wo Shakhs jo itna chhupa kar Sadqah (donation) kare ke baye’n haath tak ko khabar na ho ke daye’n haath ne kya diya.
(7) Wo Shakhs jo akele mei Allaah ko yaad kare….Aur uski aankho se aansu bahte hon
Bukharee- 660, Muslim- 1031
Allah hum sabko bhi apne arsh ke saae mein jagah naseeb farma, aameen.
- Allah subhanahu se Magfirat aur Aafyiat manga karo kyuki - 14th June 2017
- Sajda e Tilawat ki dua - 14th June 2017
- Bewaon aur miskeenon ke kaam aaney wala - 14th June 2017