Islamic Blog

HIQAYAT
**********
Ek Ghud-Sawaar (Horse Rider) Ne Jate Hue Ek Shaks Se Pucha, Bhai! Aabaadi Yahan Se Kitni Dur Hain? Us Shaks Ne Jawaab Diya Ki Aap Apni Dayin Taraf Dekhiye! Wo Dekhiye Saamne Aabaadi Nazar Aarahi Hain! Ghud-Sawar Ne Udher Dekha To Use Ek Lamba Chauda Qabristan Nazar Aaya! Ghud-Sawar Ne Dil May Socha Ki Yeh Shaks Ya To Diwana Hain Ya Koi Mard-A-Kaamil! Fir Usne Usse Kaha Ki Maine Aabaadi Ka Pata Pucha Hain Aur Tum Qabristan Ka Pata Bata Rahe Ho, Yeh Kya Baat Hain? Wo Bola, Isliye Ki Maine Dusre Tamaam Makamaat Ke Logon Ko Yahan Aate Dekha Hain Aur Yahan Se Kisiko Jate Nahi Dekha! Aabaadi Kehte Hain Us Makaam Ko Jahan Dur-Dur Se Log Aayen Aur Wahan Se Fir Viraane Ko Na Jayen! Meri Nazar May To Sahi Mayine May Aabaadi Yahi Hain!

(Rauzul-Fayik, Pg-17)

************************
SABAK
*******
Har Ek Ko Ek Din Marna Hain Apne Shaandar Makaan, Mohalle Aur Shaher Ko Chhodker Qabristan Jana Hain! Jise Hum Aabaadi Kehte Hain! Use Ek Din Barbaadi Ka Saamna Hoga Asal Aabaadi To Qabristan Hi Hain, Jahan Aahista-Aahista Sab Log Jama Ho Rahe Hain!
************************

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm