» Mahfum-e-Hadees : Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“Ek (1) Fakih Yaani Deen Ka Ek(1) Aalim Shaitan Par
Hajaro Ibadat Karne Walo(Aabid) Se Jyada Bhaari Hai”.
– (Tirmizi Sharif)
♥ Hazrate Bilal (Razi’Allahu Anhu) Ka Behtareen Qoul hai Ke –
“Aalim Ke Qalam Ki Roshnai Shaheed Ke Khoon Se Jyada Mukaddas Hai,
Isiliye Parhna(Ilm) Sikhe, Aur Jab Sikh Jaye Tou Auro Ko Parhaiye.
» Ek Aalim Apni Mout Ke Bad Bhi Zinda Hai
Jab Ki Ek Zaahil Murda Hai Phir Chahe Woh Zinda Hi Kyun Na Ho.
» Aalim Woh Shakhs Hai, Jo Ilm Par Amal Bhi Kare
Aur Amal Ko Ilm Ke Mutabiq Banaye.
» Ilm Aisi Khubsurati Hai Jo Chipi(hidden) Rehti
Aur Aisa Rishta Hai Jo Munqata (Disconnect) Nahi Hota.
– Imaam Ali (RaziAllahu Anhu)
» Aalim-e-Deen Ki Geebat Karne Wala Qayamat Ke Roz
Iss Haal Me Aayega Ke, Uski Peshaani Par Likha Hoga, “Allah Ki Rehmat Se Door”.
– (Imaam Gazali/Muk.Qulub)
- Sultan Shamsuddin Altamas. - 25th October 2016
- Allah Ki Raah me Kharch. - 24th October 2016
- Aqeeda aur Niyat. - 22nd October 2016