Islamic Blog

HADEES:-
*********
Ek Taweel Hadees Jise Hazrat-A-Sayyaduna Abdullah Ibne Abbaas Radi-Allahu-Ta’aala-Anhu Se Riwayat Kiya Hain Ki, Is May Shab-A-Qadr Ke Baare May Sarkar-A-Madina SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Ka Yeh Farmaan-A-Alishaan Nakl Kiya Gaya Hain-
“Jab Shab-A-Qadr Aati Hain To ALLAH AJJOWAJJAL Ke Hukm Se Hazrat-A-Zibrayil Alaihi Salam Ek Sabz Zanda Liye Farishton Ki Bahoat Badi Fauj Ke Sath Zameen Per Nuzul Farmate Hain, Aur Us Sabz Zande Ko Kaaba-A-Moazzama Per Lehra Dete Hain!
Hazrat Zibrayil Alaihi Salam Ke 100 Baazu Hain! Jin Mayse 2 Baazu Sirf Isi Raat Kholte Hain! Wo Baazu Mashrik-O-Magrib May Fail Jate Hain! Fir Hazrat Zibrayil Alaihi Salam Farishton Ko Hukm Dete Hain Ki Jo Koi Musalman Aaj Raat Kiyaam May, Namaz May Ya Zikrullah May Mashgul Hain Usse Salam-O-Musafa Karen! Niz Unki Duaoun Per Aamin Bhi Kaho!
Chunanche, Subah Tak Yahi Silsila Rehta Hain! Subah Hone Per Hazrat Zibrayil Alaihi Salam Farishton Ko Fir Wapas Chalne Ka Hukm Saadir Farmate Hain! Farishte Arz Karte Hain, Aye Zibrayil (Alaihi Salam) ALLAH AJJOWAJJAL Ne Apne Pyare Habib, Ahmed-A-Mukhtaar SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Ki Ummat Ki Haajat Ke Baare May Kya Kiya?
Hazrat-A-Zibrayil Alaihi Salam Farmate Hain, ALLAH-TA’AALA Ne Un Logon Per Khususi Nazar-A-Karam Farmayi Aur 4 Kism Ke Logon Ke Ilawa Tamaam Logon Ko Muaf Farma Diya!
Sahaba-A-Kiraam Radi-Allahu-Anhu Ne Arz Kiya, Ya Rasoolallah! (SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM) Wo 4 Kism Ke Log Kaunse Hain? Farmaya,
(1)Jo Sharaab Ka Aadi Hain,
(2)Walidain Ke Na-Farmaan Hain,
(3)Katah Rehmi Karne Wale, Yani Rishtedaron Se Rishta Todne Wale,
(4)Wo Log Jo Aapas May Bugz-O-Kina Rakhte Hain Aur Aapas May Katah Taalluk Karne Wale!

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm