SUREH IKHLAS
PARA 30 , SUREH IKHLAS , AYAT NO 112
TARJUMA / TRANSLATION
YE MEHBOOB AAP FARMAAYE WO ALLAH EK HAI , ALLAH BE NIYAAZ HAI ,NA USKI KOI AULAD ,AUR NA WOH KISI SE PAIDA HUA AUR USKE BARABAR KOI NAHI USKA HAMSAR KOI NAHI ,USKA MUKABALA KOI NAHI KAR SAKTA
SAANE NUZUL
SUREH IKHLAS MAKKI HAI HIJRAT SE PEHLE ISKA NUZUL HUWA ISME 4 AAYATE HAI JAB KAAFIRO NE KAHA KE ALLAH KAISA HAI SONE KA HAI YAA CHANDI KA HAI YAA MATTI HAI JAB YE SUREH NAJIL HOI . YE WO SURAT E MUBARAKA HAI EK DIN NABI E KARIM (SALLAHU ALAHI WASSALM)NE FARMAYA YE SAHABA KIRAM AAJ MIA TUMHARE SAAMNE TEHAI QURAAN PADHUNGA SAHABA E KIRAM AAYE AUR AAQA NE SUREH IKHLAS KE TILAWAT KI AUR AAP ANDAR TASHREEF LEE GAYE SAHAB E KIRAM SOOCHNE LAGE KE AAQA NE FARMAYA THA KE MIA TEHAI (QURAAN KA TEESRA HISSA) PADHUNGA AUR SIF SUREH IKLHAS PADHE PHIR AAP BAHAR TASHREEF LAAYE AUR FARMAAYA YE SUREH IKHLAS TEHAI QURAAN KE BARABAR HAI JO 3 MARTABA PADHE ALLAH USKO PURA QURAAN PADHNE KA SAWAAB AATA FARMATA HAI
ALLAH RABUL IZZAT HAME SUREH IKHLAS KE FAIZAAN SE MALA MAAL FARMAAYE AAMEEN
- Shab E Barat Kya Hai - 5th March 2022
- Health Tips Hindi - 4th January 2021
- Ramadan Hadith - 4th January 2021