Ek Baar Hazrat Umar (radi allahu anhu) bazar me Jaa rahe the unko ek aadmi mila Jo Dua kar raha tha,
“Ae Allah Mujhy Apne Chand (Thode) Logon me shamil kr”.
Hazrt Umar (radi allahu anhu) ne Us se pucha,Ye Dua tum ne kaha se seekhi??” WO bole,Allah ki kitaab se, Allah ne Quran Me Farmaya Hai “Aur Mere Bandon me sirf kuch hi Shukrguzar (Allah ka shukr ada karne waale) Hai”.(Al Quran34:13) Hzrat Umar (radi allahu anhu) ye sun kar ro diye aur apne aap ko Nasihat karte huye bole, “Aye Umar! Log tum se zyada Ilm Wale Hai. “Aye Allah mujhe bhi apne chand logon me shamil kar.”
Dosto, Hum dekhte hai ke hum jab Kisi insan ko Koi Ghuna ka Kaam Chhodne Ka kahte Hai toh Wo bolte hain ke
“Bahut saare Log krty Hai. Jhut sabhi bolty Hai,Geebat (peeth peeche burai) Sabhi karte Hai, beimani sabhi krty Hai, AGaR mai ne kiya toh kya hua????? Aaj ka zamana aisa hi Hai,Mai Akela nahi hu”. ye unka jawab hota hai.
Lekin AGR Aap Quraan me talash kare Toh Allah Ne Farmaya Hai,
“Aksar Log Nahi Jaante” (7:187)
“Aksar Log Shukr Ada Nahi Krty”. (2:243)
“Aksar Log Emaan Nahi Laaye”.(11:17)
Agr Aap “Zaydatar”ko talash karey gy Toh Aap ko milega K,
“Zaydatar Log bahut na-farman Hai. (5:59)
“Zaydatar Log Kam jaankari waale hain”.(6:111)
“Zaydatar Log sahi raaste se bhatak Jane Wale Hai.(21:24)
“Zaydatr log Sochty Nahi.(29:23)
Zaydatr log Sunte Nahi”(8:23)
Toh Apne Aap Ko Un thodeLogon Me shaamil karne ki koshish karo, Jin K Baare me Allah Ne Farmaya,
Allah hum sabko amal ki taufik ata kare, aameen.
- Allah subhanahu se Magfirat aur Aafyiat manga karo kyuki - 14th June 2017
- Sajda e Tilawat ki dua - 14th June 2017
- Bewaon aur miskeenon ke kaam aaney wala - 14th June 2017