Islamic Blog

AAP RAMZAAN KESE GUZARE ……
1 – magrib ki farz namaz ke baad 6 rakat avvabin (nafil namaz) padho. Is namaz ka bahut faida hai, ye 2-2 rakat karke padhi jaati hai.
2 – har faraz namaz ki azaan se pehle masjid me chale jao aur jamaat khadi hone tak quran sharif ki tilavat karte raho.
3 – taravih ke baad jaha tak aapko vaqt ho apni zindagi ki qaza namazo ke padhne me lag jao.. nind aajaye to so jao
4 – fir sehri karne se pehle tahajjud ki 4-6-8 ya 12 rakat padhkar duaa me lag jao, jannat mango, jahannam se panah mango, apne gunaho ko yad karke khub rovo.. fir sehri kar lo.
5 – fajar ki namaz padhkar ho sake to suraj ugne tak quran ki tilavat karte raho aur fir suraj ugne ke
15 minute baad eshraaq ki (nafil namaz) padho.. fir thodi der aaram karlo.
6- fir 10-11 baje 4 rakat chasht ki (nafil namaz) namaz padhlo..
7 – fir pura din jab bhi vaqt mile pehla kalima or estigfar (Allah se maafi) khub padho.
8 – aur jitna ho sake utna apne aapko duaa or quran sharif ki tilavat me lagaye rakho..
9 – apni zaban ko ramzan me khaas tor par qabu me rakho, bekaar aur fuzul jama hone ya fuzul baato se apne aapko bachao.
10 – asar se magrib ka vaqt bahot qimti he. usme khas tor se Allah zikr aur quran ki tilavat aur duaa me lag jao..
11. har tarah ke gunaho se bacho jese kisi ki gheebat (peeth peeche burai na karo), jhoot na bolo, chugli na karo, gaali na do, kisi se jhagda na karo. Apni baat se kisi ka dil na dukhao. Music (gaane) na suno. Apna time game khelne, tv dekhne ya fizul ke facebook/whatsapp message padhne mein zaaya na karo. Kyonke kahi esa na ho gunaho ko karne se hamaraz roza Allah kubul na kare. Aur hum din bhar bhooke pyase rah kar samjhe ke hamara roza hai.

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm