*Assalam u Alaikum*
Hazrat ANAS (r.a) se Rewayat Hai – ki- *AAP* Sallal Laho alaihe wasallam ko 30 – Doosri Rawayat me 40 MARDO ke Baraber TAQAT di gayi thi
Hazrat *AIYSHA*(r.a) Farmati Hain – ki – AAP ( s.a.w) ne apne Zamane ke Bahadur PAHELWAN ko islaam ki Dawat di thi – to- Usne ye SHART Rakhi- ki- Ager – Mai Aapse KUSHTI me Haar gya -to- islam Qubool kar Loonga
To – AAP (s.a.w) ne – Us Mashoor “Naami” PAHELWAN ko Pacharr diya tha
isi – waqye ko Bayan karte Huwe – Hazrat AYSHA ( r.a) Farmati Hain – ki – Shuja’at va Bahaduri me AAP (s.a.w) ka ‘Maqaam’ sabse Buland tha – AAP (s.a.w) sabse zyada BAHADUR aur DILER the
Nihayat Mushkil aur Kathin Mauke per – Jab- ache ache Bahaduro aur Jaanbazo ke Paanw Ukharr Jate – Waha – AAP (s.a.w) Apni Jagha BarQarar Rahte
“Shifa Qazi Ayaz” me Hai – Hazrat ALI (r.a) Farmate Hain – ki – Jab ZOR ka RUN padta tha aur JANG ke Sholey khoob Bharak Uthte – to- Hum RASOOL ULLAH (s.a.w) ki AARR (OT) Liya karte the – AAP ( s.a.w) se Barh ker – koi Shaks- Dushman ke Qareeb Nahi Hota tha
***( $UBHAN ALLAH )***
- Allah subhanahu se Magfirat aur Aafyiat manga karo kyuki - 14th June 2017
- Sajda e Tilawat ki dua - 14th June 2017
- Bewaon aur miskeenon ke kaam aaney wala - 14th June 2017