Islamic Blog

FAATIMA Ke Maana Hai “PAAK, PAAKIZA, BAA BARKAT, BAHOT KHUSH AKHLAAQ.

HAZRAT ANAS radiyallahu anhu farmate he ke HUZUR Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wasallam ne farmaya Ke:
“Mene apni is Beti ka Naam FAATIMA is liye rakha he ke ALLAH TA’AALA ne meri is Beti aur is se Mohabbat rakhne walo ko Jahannam se Aazad farmaya he.”
(TAZKIRA SAYYADA KHATUN-E-JANNAT)

“ZAHRA” :-

ZAHRA Ke Maana hai ‘KALI’ , ‘NIHAYAT KHUBSURAT.’

ALLAH TABARAK VA TA’AALA Ne Aapko Bahot hi zyaada Husn-O-Jamaal ataa farmaya tha.

“BATOOL” :-

BATOOL Ke Maana Hai “DUNIYA SE BE TA’ALLUQ.”

Chunke aapki tavajjoh duniya aur uski aisho ishrat ki taraf nahi thi Balke har waqt ALLAH TABARAK VA TA’AALA ki taraf rahi he. is liye aapko BATOOL kehte hai.”

“TAAHIRA” Wa “ZAAKIYA” :-

TAAHIRA Wa ZAAKIYA Ka Maana Hai “PAAK SAAF”

Chunke Bachpan Hi Se HUZUR Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wasallam Ki Nazre rehmat aur Faizane Mohabbat se aapke Batin ka Tazkiya ho chukka tha aur aapko Zaaahiri va Baatini Tahaarat va Paakizgi hasil ho chuki thi. Is liye aapka Laqab “TAAHIRA” va “ZAAKIYA” hua.

“RAAZIYA” va “MARZIYA” :-

Chunke aap har waqt ALLAH TA’AALA ki Raza par Raazi rehti thi, isiliye aapko “RAAZIYA MARZIYA” kehte he.

“AABIDA” Wa “ZAAHIDA” :-

Chunke aapki puri zindagi Zohd-O-Ibadat me Guzri, isliye aapko “ZAAHIDA” Wa “AABIDA” ke Laqab se yaad kiya jata he.
(Tazkira Sayyeda Khatoone Jannat)

SAYYIDAH, ZAAHIRAH, TAYYIBAH, TAAHIRAH,
“JAAN-E-AHMED KI RAAHAT PE LAAKHO SALAM.”

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm