Islamic Blog

Assalam u Alaikum
Hazrat AAYESHA (r.a) -Apne Bhanje URWA bin ZUBER se Farmati Hain – ki – 2 Mahine -3 Mahine ka CHAND Nazar Aa Jata tha – Aur- HUZOOR PAK sallal Laho Alaihe wasallam ke GHAR me se- kisi GHAR me bhi- AAG Jalne ki Naubat Nahi Aati thi
To – Bhanje ne poocha – Khala Jan – phir Aap Logo ka GUZARA kis cheez per tha
Farmaya – ki, PANI aur KHAJOOR per – Aur – AAP (s.a.w) ke kuch PADOSI the – Unme se koi – Apne Janwaro ka DOODH bataur HADIYA (tohfa) Pesh kar deta – to- usi se Humko bhi PILAYA jata tha
(Bukhari – page no- 956- jild 2)
Dosto – AAG na Jalne ka Matlab ye Hai – ki- koi cheez GHAR me is Layak nahi thi – ki AAG jalane ki Naubat Aaye
Ek baar – Hazrat MASROOF Hazrat AAYSHA (r.a) ke GHAR gaye – Hazrat AAYSHA (r.a) ne – unke Liye Khana Mangaya – aur Farmane Lagi – ki -Mai kabhi PET bhar khana Nahi khati Hoon – Magar- mera RONE ka Dil chahta hai – Rone Lagti Hoon
Unhone – RONE ki wajha Daryaft ki – to Hazrat AAYSHA (r.a) ne Farmaya – ki- mujhe HUZOOR PAK (s.a.w) ki Yaad Aati Hai – Jis Haalat per – AAP (s.a.w) Hamse JUDA Huwe – kabhi Ek din me – 2 martaba PET bharne ki Naubat Nahi Aayi (Tirmizi)
Hazrat ABU BAKAR siddiq (r.a) ne Ek martaba – Ek Bakri ki Taang Hadiya me – HUZOOR (s.a.w) ko pesh ki – RAAT ka waqt tha – Hazrat AAYSHA ( r.a) Andhere hi me – uske Tukde karne Lagi
Kisi ne kaha – Ghar me Chirag nahi Hai – to WO farmane Lagi – ki- ager CHIRAG me Jalane ke Liye TEL hota – to- Usko KHANE hi me istemal kar Lete
Azeezo Dosto – ye thi Hamare AAQA (s.a.w) ke GUZARE ki Haalat
*AAP (s.a.w) chahte – to- $ONE (gold) ke PAHAD – AAP ke Liye Chalte kar diye Jate
KHAZANO ki Kunjiya – AAP (s.a.w) per- PESH ki gayi – magar- sabko Thukra diya
Futuhaat se- bahut kuch – MAALE GANIMAT aata tha – magar AAP (s.a.w) sab kuch Musalmano me Baant dete the – Apne paas kuch Nahi Rakhte the
AAP (s.a.w) ka irshad tha- ki- *ALLAH* ne Farmaya- ki- mere Liye MAKKAH ki Zameen $ONE ki Bana de – Maine Arz kiya- YA ALLAH ye nahi chahiye – Balki Mai chahta Hoon – Ek din PET bhar kar Khaa’oon – Taaki- Tera Shukr Ada karoon – Aur- Ek din BHOOKA Rahoon – Taki- Tere Saamne AAJIZI karoon
( khasa’il NABWI – page no 332 )
($ALLAL LAHO ALAIHE WALEHI WASALLAM)

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm