Islamic Blog

Aasman Ka Rona » Hiqayat : Madina Munavwara Me Ek Baar Sukha Padgaya! Baarish Hoti Hi Na Thi! Log Ummul-Momin Hazrate Aayesha Siddiqa (Radi-Allahu-Ta ’aala-Anha) Ki Khidmat Me Fariyad Leker Haazir Hue!
Hazrat Ummul-Momin (Radi-Allahu-Ta ’aala-Anha) Ne Farmaya, “Huzoor ﷺ (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Qabr-A-Anwar Per Se Chath Me Ek Suraakh Kerdo, Taaki Aasmaan Aur Qabr-A-Anwar Me Koi Hijaab Na Rahe!”.
Chunanche, Logon Ne Aisa Hi Kiya Toh Iss Qadr Baarish Hui Ki Khetiyaan Hari-Bhari Hogayi Aur Jaanwar Mote Hogaye(Tandurus t Hogaye)!
– (Mishkaat Sharif, Pg-527)
» Sabak : Hamare Huzoor ﷺ (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ka Faiz Pak Visaal Sharif Ke Baad Bhi Ba-Dastur Jari Hain! Huzoor Ki Qabr-A-Anwar Ki Ziyarat Se Har Aankh Aasuoan Ke Phool Barsane Lagti Hain! Yeh Bhi Malum Hua Ki Allah Se Kuch Pane Ke liye Huzoor Ka Waseela Zaruri Hain!

mm
Latest posts by Færhæn Ahmæd (see all)