AAP KI DUA SE BARISH
*******************
1 Martaba Mulk e Arab me intehayi khoofnaak Qahat pad gaya Ahle Makka ne Buto se faryaad kar ne ka irada kiya magar 1 Haseen o Jamil Bodhe ne Makka walon se kaha ke Ae Ahle Makka ! Hamare Andar Abu Talib mojood hai jo Bani e Kaaba Hazrat Ibrahim Khalilullah Alaihissalam ki Nasl se hai , aur Kaaba ke Mutawalli aur sajjada Nasheen bhi hai , hame un ke paas chal kar Dua ki darkhuwaast karni chahiye . chunaanche Sardaraan e Arab Abu Talib ki khidmat me hazir hue aur faryaad karne lage , ke A Abu Talib ! Qahat ki Aag ne saare Arab ko jhulas kar rakh diya hai . Janwar ghaas paani ke liye taras rahe hai aur insan Dana paani na milne se tadap tadap kar dam tod rahe hai . Qaaflon ki Aamad o Raft (Aana jana) Band ho chuki hai aur har taraf barbaadi o weeraani ka Daur daura hai , Aap Barish ke liye Dua kijiye . Ahle Arab ki Faryaad sun kar Abu Talib ka Dil bhar Aaya . Aur Huzoor sallAllahu ta’ala Alaihi wasallam ko Apne sath le kar Haram e Kaaba me gaye aur Huzoor sallAllahu ta’ala Alaihi wasallam ko Deewaar e Kaaba se tek laga kar bitha diya aur Dua maangne me Mashghool ho gaye Darmiyaan e Dua me Huzoor sallAllahu ta’ala Alaihi wasallam ne Apni Angushte Mubarak ko Aasmaan ki taraf utha diya 1 dam charo taraf se badliya namoodaar hue or foran hi is zor ka baraan e Rehmat barsa ke Arab ki zameen seraab ho gayi Jungalon aur maidano me har taraf paani hi paani nazar Aane laga Chatyal maidaano ki sar zameenen sar sabzu shadab ho gayi , Qahat door ho gaya aur sara Arab khush haal aur nihaal ho gaya .
Chunaanche Abu Talib ne Apne us taweel Qaseede me jis ko unhone Huzoor e Aqdas sallAllahu ta’ala Alaihi wasallam ki TAREEF me Nazm kiya hai is waqiye ko 1 Sher me is tarah zikr kiya hai.
و ا بیض یستسقی ا لغما م بو جھہ ۔۔۔۔۔ ثما ل ا لیتما میٰ عصمۃ للا ر ا مل
Yani wo (Huzoor sallAllahu ta’ala Alaihi wasallam) Aise gore rang wale hai ke un ke Rukhe Anwar ke zariye badly se barish talab ki jati hai , wo Yateemo ka thikana aur Bewao ke nigehbaan hai .
- मिसवाक के फायदे | मिस्वाक | Miswak Benefits - 9th April 2021
- BANGALORE RAMADAN TIMING 2021 - 8th April 2021
- HYDERABAD RAMADAN TIMING 2021 - 8th April 2021