Islamic Blog

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Achcha khwab ALLAH taala ki taraf se hota hai aur bura khwab shaitan ki taraf se

——————————————-

Abu Qatada Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya beshaq achcha khwab ALLAH taala ki taraf se hota hai aur bura khwab shaitan ki taraf se hota hai isliye jab tum mein se koi shaksh aisa khwab dekhe jo bura ho to , 3 baar bahine taraf (left side) thu thu kare aur us khwab ki buraii se ALLAH ki panaah mange is tarah us khwab ka usey koi nuksaan nahi hoga, Abu salma ne kaha ki kuch khwab mujh par pahaad se bhi ziyada bhari hote the lekin jabse maine ye Hadith suni us par amal karne laga, ab mujhe koi parwah nahi hoti.
Sahih Muslim, Vol 7, 5747
——————————————-

Narrated Abu Qatada Radi Allahu Anhu : I heard the Prophet Sallallahu Alaihi wasallam saying, “A good dream is from ALLAH, and a bad dream is from Satan. So if anyone of you sees (in a dream) something he dislikes, when he gets up he should blow thrice (on his left side) and seek refuge with ALLAH from its evil for then it will not harm him.”
Sahih Bukhari, Vol 7, Book 71, No. 643

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm