Islamic Blog

Agar koi bimari ya budhape ki wajah se ramzan ke roze na rakh paya aur aage bhi uske accha hone ya kamzori door hone ki ummid nahi hai to usko chahiye ke har roze ka ‘fidya’ ada kare, matlab har roze ke badle kisi gareeb ko 2 time (subah-shaam) khana khila de. Ya usko itna pesa de de ke jisse wo 2 time khana kha sake.
Agar 30 roze nahi rakhe hain to kisi gareeb ko 30 din tak subah shaam khana khila de, ya usko iske barabar pesa de de.


Masla –
(1) Kisi bimar aadmi ko aage bhi accha hone ki ummid nahi thi aur usne rozo ka fidya de diya, lekin aage chal kar wo accha ho gaya to ab usko ramzan ke kaza roze rakhna honge, aur jo fidya diya uska sawab bhi milega.


(2) Agar kisi ke zindagi mein roze kaza the, aur marte time wariso ko rozo ke badle ‘fidya’ dene ki wasiyat kar gaya to uske waariso ko fidya dena chahiye


(3) Agar marne wale ke roze kaza the, lekin wo fidya dene ki wasiyat karke nahi gaya, marne wale ke maal se fidya nahi diya ja sakta, jab tak ke uske saare waaris raazi na ho, agar uski aulad apne khud ke maal se uska fidya de de to Allah se kubul karne ki ummid ki ja sakti hai.


(4) Agar kisi ki namaz kaza baaki rah gai aur marne se pahle namaz ka fidya dene ka hukm kar gaya to masla roze ka wahi namaz ka bhi hai, lekin har namaz ke badle gareeb ko subah shaam ka khana ya utne pese dena honge, jese fazar ke alag, zohar ke alag. 5 time ke alawa vitar ki namaz ka alag fidya hoga.


(5) Agar kisi par zakat baaki hai, aur marne se pahle usko ada karne ki wasiyat baccho ko kar gaya to baccho ko ada karna zaruri hai, agar wasiyat nahi ki aur baccho ne apni taraf se de di to ada na hogi.


(6) Murde ki taraf se kaza namaz padh lena aur roze rakhne se inka zimma murde ke sar se nahi utrega.

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)