Islamic Blog

Agar hum hamara pura dhyan namaz mein lagaenge to inshaAllah koi galti nahi hoti. Lekin phir bhi agar ho jaati hai to namaz ko durust karne ke liye ‘Sajda E Sahu’ kar lena chahiye, aesa kar lene se namaz sahi ho jaati hai, agar nahi kiya to namaz ko wapas padhna hoga.
‘Sajda E Sahu’ ka tarika ye hai ke jab namaz mein koi galti ho gai, aur humko galti ka ehsas ho gaya to namaz ko tode nahi balke namaz padhte rahen, phir namaz ki aakhri rakat par pahuch kar ‘attahiyaat’ padh rahe ho to ‘attahiyaat’ ke foran baad sidhe haath ki taraf ek salam ‘Assalamu alykum wa rahmatullah’ kahte hue fer den. Phir wapas 2 sajda kare, aur phir wapas ‘attahiyaat’ ‘daurd e ibrahim’ aur dua padh kar dono taraf salam fer den. Is tarike ko ‘Sajda E Sahu’ kahte hain. Isse hamari namaz mein hui galti sahi ho jaegi.
Ye bhi samajh len ke ‘sajda e sahu’ kab karna zauri hai.
(1) Agar namaz ke waajib mein koi galti ho gai ya wajib ada nahi kiya to ‘sajda sahu’ karne se namaz thik ho jaegi, agar waajib mein galti hone ke baad bhi ‘sajda e sahu’ nahi kiya to namaz nahi hui, balke wapas padhna hogi.
Namaz ke waajib kya hain
(1)Alhamdu parhna or(2) is k sat koi surat milana.(3)faraz Namzon ki pehli 2 rakato me qira”at karna.(4) Alhamdu ko sorat se pehle parhna.(5) ruko kar k sidha khada hona.(6) dono sajdo k darmiyan bethna.(7) agar 3 ya 4 rakat namaz padh rahe hain to dusri rakat mein attahiyat ke liye bethna (8) atTAHIYAT parhna.(9) lafz-e-salam se Namaz khtam karna. (assala alykum wa rahmatullah kahte hue) (10) zuhar or asar ki Namaz me qira”at aahista parhna.(11) imam k liye magrib or esha ki pehli dono rakato or fajar, juma, edain or taravih ki sab rakato me qira”at buland awaz se parhna.(12) vitar me dua-e-qunot parhna (13) dua-e-qunot se pehle takbir kehna.(14) edain me 6zaid takbir kehna.
> Agar bhool kar 2 ruku kar liye ya 3 sajda kar liye to ‘sajda e sahu’ kar lo, agar kam kiye jese ruku hi nahi kiya, ya 1 sajda kiya to ‘sajda e sahu’ se namaz sahi nahi hogi balke dobara padhna hogi.
> Agar ‘alhamdu’ ke baad hum ye sonchne lage ke kaun si surah padhen aur itni der tak surah na padhi jitni der mein 3 baar subhanAllah bol sakte hain to bhi ‘sajda e sahu’ karna hoga. Isliye alhamdu ke foran baad surah padh lena chahiye.
> Agar surah padhne ke baad bhi ruku mein nahi gae, balke khade rahe aur itni der khade rahe jitni der mein 3 baar subhanAllah bol sakte hain to bhi ‘sajda e sahu’ karna hoga. Isliye surah ke foran baad ruku mein chala jana chahiye.
> jab 3 ya 4 rakat wali farz namaz (akele) padh rahe hain aur dusri rakat mein ‘attahiyat’ padhne ke baad daurd shareef ka ‘Alla humma sallae ala Muhammad’ tak padh diya aur phir khada hona yaad aa gaya aur khade ho gae to bhi ‘sajda e sahu’ karna hoga, lekin isse kam padha to ‘sajda e sahu’ nahi karna hai. lekin agar nafil namaz padh rahe hain to darud shareef padh lene par bhi sajda e sahu karne ki zarurat nahi.
> Hum attahiyat padhne ke liye bethe lekin attahiyat ki jagah galti se kuch aur padh diya to bhi ‘sajda e sahu’ karna hoga.
> Agar hum 3 ya 4 rakat wali namaz padh rahe hain aur humko dusri rakat mein attahiyat ke liye bethna tha lekin bethna bhool gae to ‘sajda e sahu’ karne se namaz sahi ho jaegi.
> > Agar hum 3 ya 4 rakat wali namaz padh rahe hain aur humko dusri rakat mein attahiyat ke liye bethna tha lekin hum khade hone lage aur khade hote hote hi humko dhyan aya ke attahiyat to padhi hi nahi aesi halat mein agar neeche ka badan (hamare per mude hue hi the aur hum wapas beth gae to namaz sahi hui, sajda e sahu ki zarurat nahi, lekin agar hum khade ho gae to ab bethna nahi hai balke aakhri mein sajda e sahu karke namaz ko sahi kar len.
> Agar hum 4 rakat namaz padh rahe hain aur chowthi rakat mein bhi attahiyat ke liye bethna bhool gae aur khada hone lage, aur khada hote hote dhyan aaya ke humko bethna hai to agar neeche ki body (hamare per) sidhe na hue the to beth jaaen aur attahiyat, darud aur dua padh kar salam fer den, yaha sajda e sahu ki zarurat nahi lekin agar hamare neeche ki body (hamare per) sidhe ho gae uske baad bhi yaad aya to beth jaen, balke alhamdu bhi padh li ho, ya surah bhi padh li ho ya ruku mein bhi chale gae hon, waha tak bhi dhyan aya to beth jaaen aur sajda e sahu kar len. lekin agar ruku karne ke baad bhi dhyan nahi aya aur sajda kar liya to agar ye farz namaz thi to wapas padhen kyonke 5 rakat hone ke baad ye nafil ho gai, isliye 1 rakat aur mila kar isko 6 pura kar len, is halat mein sajda e sahu na karen, lekin agar 5 rakat padh kar hi salam fer diya to 4 rakat namaz ho gai aur 1 rakat bekar ho gai.
> Agar namaz mein ye bhool gae ke 3 rakat padhi hai ya 4 rakat padhi hai, aur aesa kabhi kabhi hi hota hai to behtar hoga ke namaz ko dohra len, agar aksar aesa ho jata hai to dil mein soche ke kitni rakat hui hai agar dil 3 rakat ki taraf zyada jhuk raha hai to usko 3 hi maane aur 1 rakat aur padh len, isme sajda e sahu na karen, agar 4 rakat ki taraf zyada jhuk raha hai to phir aur rakat na padhe balke usko 4 hi maane aur attahaiyat darud aur dua padh kar salam fer den, lekin dil kisi bhi taraf nahi jhuk raha aur samajh nahi aa raha 3 hui hai ya 4 to usko 3 rakat hi maane lekin teesri rakat mein bhi attahiyat padh len aur phir chowthi rakat mein bhi attahiyat padh kar sajda e sahu kar len.
> Agar namaz mein 2 galtiya ho gai jin par sajda e sahu karna zaruri tha to dono ke liye 1 hi sajda sahu se namaz ho jaegi.
> Sajda e sahu kar lene ke baad bhi koi galti ho jaati hai jisse sajda ek sahu zaruri ho jata hai to ab sajda e sahu na kare, kyonke pahle wala sajda e sahu hi isko bhi durust kar dega.
> Humse namaz mein kuch galti ho gai thi jisse humko sajda e sahu karna tha lekin phir bhi sajda e sahu karna bhool gae aur dono taraf salam fer diya, aesi halat mein agar hum namaz wali jagah par hi bethe hain aur hamara seena kaaba ki taraf se nahi hata, na humne kisi se baat ki, na aesa koi kaam kiya jisse namaz toota jaati hai, to bhi yaad aane par sajda e sahu kar len, namaz durust ho jaegi, agar koi kalma ya wazifa padhna shuru kar diya ho to bhi sajda e sahu kar len.
> agar 3 ya 4 rakat wali namaz padhna thi lekin galti se dusri rakat mein hi dono taraf salam fer diya, phir yaad aya ke humko 3 ya 4 rakat namaz padhni thi, to agar jagah se nahi uthe the, na kisi se baat ki thi na seena kaaba se phira tha to khade hokar baaki namaz padh len aur sajda e sahu kar len. lekin agar namaz ko todne wali koi baat kar di to phir se namaz padhna hogi.
> Vitr namaz mein ‘dua e qunut’ padhna bhool gae aur ruku mein chale gae to ‘sajda e sahu’ karna zaruri hai,
> vitr namaz mein ‘dua e qunut’ ki jagah sana padhne lage, phir yaad aane par dua e quanut padh li to sajda e sahu nahi karna hai.
> agar 3 ya 4 rakat farz namaz padh rahe hain aur teesri ya chowthi rakat mein alhamdu ke baad koi surah padh li to sajda e sahu zaruri nahi
(2) Namaz padhne mein agar koi farz rah gaya ya usme galti ho gai to ‘sajda e sahu’ karne se bhi namaz sahi nahi hogi, balke namaz ko dobara padhna hoga.
Namaz ke farz ye hain
———————————————–
(1) Takbire tehrima – Pehli takbir (Allahu akbar) kehte hue namaz shuru karna.
(2) Kayam – Itni der khada rehna jitni der me farz Qira’at ada ho.
(3) Qira’at – Tilawate Qur’an (Kam se kam 3 chhoti aayate ya 1 badi aayat padhna).
(4) Rooku
(5) Sajda
(6) Qa’ada e aakhirah – aakhri rakat mein dono sajda ke baad attahiyat ke liye bethna
(7) apne irade se namaz ko khatam karna (matlab salam ferna)
ye sab farz hain, agar isme se koi cheez rah gai, jese ruku karna bhool gae, ya sajda karna bhool gae, to ‘sajda e sahu’ karne ke baad bhi namaz na hogi, balke namaz ko wapas padhna hoga.
> Agar anjane mein wo cheez chhut jaae jo farz bhi nahi aur wajib bhi nahi to uske liye sajda e sahu ki zarurat nahi, namaz ho jaegi.
Isme humne galti na hone ka bahut khyal rakha hai, agar phir bhi kahi galti ho gai, to comment karke bataiye.
Allah knows best.

Asalam-o-alaikum , Hi i am noor saba from Jharkhand ranchi i am very passionate about blogging and websites. i loves creating and writing blogs hope you will like my post khuda hafeez Dua me yaad rakhna.
mm