Islamic Blog

HIQAYAT:-
**********
Hazrat Abdullah Ibne Mubarak Rehmatullah Ta’aala Alaihi Ek Dafa Jihaad Ko Gaye! Usme Aap Ek Kaafir Se Jung Kar Rahe The Ki Namaz Ka Waqt Hogaya! Aapne Kaafir Se Mohlat Chahi Aur Namaz Ada Ki! Fir Jab Us Kaafir Ki Ibadat Ka Waqt Hua To Usne Bhi Mohlat Chahi! Jab Wo Booth Ki Taraf Ibadat Ke Waaste Mutawajjah Hua To Hazrat Abdullah Ibne Mubarak Ne Socha Ki Ab Isper Hamla Kerdoon To Fateh Paounga!
Chunanche, Aapne Talwar Khinchi Aur Usper Hamla Karne Ki Khatir Uske Karib Pahuche Hi The Ki Ek Awaaz Suni Ki, Aye Abdullah! Ahad Pura Karo Ki Usse Sawaal Kiye Jaoge!
Hazrat Abdullah Ibne Mubarak Rehmatullah Ta’aala Alaihi Rone Lage! Us Kaafir Ne Jo Abdullah Ibne Mubarak Rehmatullah Ta’aala Alaihi Ko Dekha Ki Talwar Khinche Hue Ro Rahe Hain To Wajah Puchi! Aapne Saara Kissa Sunaya To Us Kaafir Ne Ek Cheekh Maari Aur Kaha, Bade Sharm Ki Baat Hain Ki Aise Khuda Ki Nafarmani Karoon Jo Dushman Ki Khatir Apne Dost Per Ataab Ker Raha Hain! Fir Musalman Hogaya!

(Tazkiratul Auliya, Pg-171)

************************
SABAK:-
********
Islam May Ahad Ki Badi Taqid Hain! Musalman Puri Koshish Ke Sath Apna Waida Pura Karta Hain!

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm