Ahle bait ka Martaba aur fazaa’il :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) Aayat e Tat’heer :
Qur’an :
33 Surah al-Ahzaab, Aayat 33 :
إِنَّمَا يُرِيدُ اللَّهُ لِيُذْهِبَ عَنْكُمُ الرِّجْسَ أَهْلَ الْبَيْتِ وَيُطَهِّرَكُمْ تَطْهِيرًا
ALLĀH to yehi chaahta hai ke Aye Ahle bait, Tum se har napaaki door kar de aur tumhe paak kar de khub saaf kar de.
›› Rabbul aalameen Ahle bait ko zaahiri aur baatini har tarah ki napaaki se paak saaf karna chaahta hai.
(2) Qur’an :
42 Surah ash-Shoora, Aayat 23 :
قُلْ لَا أَسْأَلُكُمْ عَلَيْهِ أَجْرًا إِلَّا الْمَوَدَّةَ فِي الْقُرْبَىٰ ۗ وَمَنْ يَقْتَرِفْ حَسَنَةً نَزِدْ لَهُ فِيهَا حُسْنًا ۚ إِنَّ اللَّهَ غَفُورٌ شَكُورٌ
Farma do Aye Nabi ki main tum ko Qur’an sunaane ki ujrat nahi maangta, magar sirf mere Aqaraba se mohabbat rakhna.
(3) Hadees e Saqlain :
Hadees e Nabawi:
Main tum me 2 bhaari (qeemati) chize chhod raha hu
1. Kitaabullāh (Qur’an shareef) aur 2. Mere Ahle bait.
In dono ko mazbooti se thaame rehna taake tum gumraah na ho.
(Sahih Muslim, Jild -6, Safa -122;
Sunan al-Tirmizi, Jild -2, Safa -307;
Tirmizi, Jild -2, Safa -219, Hadees -3718;
Sunan Abu Daawūd;
Nisaai, Khasa’is, Safa 30;
Tibraani, Taarikh-e-Kabeer;
Hakeem, Mustadrak, Jild -3, Safa -109 aur 148;
Dhahabi , Talkhis-e-Mustadrak)
(4) Hadees e Nabawi :
Mere Ahle bait Hazrate Nooh alaihis salaam ki kashti ke maanind hain,
Jo un ke saath ho gaya wo najaat paaya aur jo un se door hua wo doob gaya.
(5) Hadees e Nabawi :
Mujh se mohabbat karo ALLĀH ta’ala ki muhabbat ki khaatir aur mere Ahle bait se mohabbat karo mujh se mohabbat rakhte ho is bina par.
(Tirmizi , Jild -2 , Safa -220)
(6) Hadees e Nabawi :
Jo mere Ahle bait me kisi ke saath achha sulook karega main roz e Qayaamat us ka sila use ata farmaunga.
(Kashaf-ul-Khafaa , 2/313;
Kanz-ul-Ummal 12/90, 34182;
Jaam e Sagheer, 2/533)
(7) Hadees e Nabawi :
4 khushnaseeb aise hain ke main qayaamat ke din un ki shafa’at karunga.
[1] Mere Ahle bait ki ta’azeem wa izzat karne waala,
[2] Un ke liye un ki zaroorat ki cheezen paish karne waala,
[3] Zaroorat ke waqt un ke kaamo ko pura karne waala,
[4] Dil wa zubaan se un ki mohabbat rakhne waala.
(Kanzul Ummal, Hadees -34180)
**********
♦ Ahle Bait ya’ni Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ke ghar (khaandaan) wale.
♦ Ahle bait me saamil afraad :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) Huzoor Rasool-Allāh Muhammad Mustafa sallallāhu alaihi wa sallam ki Azwaaj e mutahharaat aur Aap ki Aulaad e amjaad radiy-Allāhu ta’ala anhuma,
(Noble Wives & Children of Holy Prophet sallallāhu alaihi wa sallam) :
›› Azwaaj e mutahharaat :
Hazrat Khadeejah bint Khuwaylid radiy-Allāhu ta’ala anha,
Hazrat Sawdah bint Zam’ah radiy-Allāhu ta’ala anha,
Hazrat Aa’isha bint Abu Bakr Siddeeq radiy-Allāhu ta’ala anha,
Hazrat Hafsa bint Umar Faarooq radiy-Allāhu ta’ala anha,
Hazrat Zainab bint Khuzayma (Ummul Masaakin) radiy-Allāhu ta’ala anha,
Hazrat Hind bint Abu Umayya Sohail (Umme Salma) radiy-Allāhu ta’ala anha,
Hazrat Zainab bint Hajash radiy-Allāhu ta’ala anha,
Hazrat Juwairiya bint Haaris radiy-Allāhu ta’ala anha,
Hazrat Ramlah bint Abi Sufyaan (Umme Habeeba) radiy-Allāhu ta’ala anha,
Hazrat Safiya bint Huyaee radiy-Allāhu ta’ala anha,
Hazrat Maymuna bint Haaris Aamariya radiy-Allāhu ta’ala anha,
›› Saahabzaade : Qaasim, Abdullāh, Ibrāheem radiy-Allāhu ta’ala anhuma.
›› Saahabzaadiya : Zainab, Ruqayya, Umm Kulsoom, Faatima Zahra radiy-Allāhu ta’ala anha.
(2) Abu Taalib Imraan ibne Abdul Muttalib ki aulaad
ya’ni Hazrate Ali, Ja’afar wa Aqeel ibne Abu Taalib Radiy-Allāhu ta’ala anhuma;
(3) Hazrate Hamza ibne Abdul Muttalib Radiy-Allāhu ta’ala anhu aur un ki aulaad;
(4) Hazrate Abbaas ibne Abdul Muttalib Radiy-Allāhu ta’ala anhu aur un ki aulaad;
(5) Haaris ibne Abdul Muttalib ki aulaad
ya’ni Hazrate Ubaida, Abu Sufyaan Mugheerah, Naufal, Abdullāh, Rabia wa Arwa ibne Haaris ibne Abdul Muttalib Radiy-Allāhu ta’ala anhuma;
›› Huzoor Rasool-Allāh Muhammad Mustafa sallallāhu alaihi wa sallam ke chacha me se Hazrate Hamza aur Hazrate Abbaas radiy-Allāhu ta’ala anhuma ne eimaan ka izhaar kiya tha aur aap ki phuphi me se Hazrate Ateeqa aur Safiya radiy-Allāhu ta’ala anha eimaan laai thi.
♦ Ahle bait ke 3 darje (hisse) hain :
(1) Saakani (Residing) – Huzoor Rasool-Allāh Muhammad sallallāhu alaihi wa sallam ki Azwaaj e mutahhiraat aur Aap ki Aulaad e amjaad radiy-Allāhu ta’ala anhuma;
(2) Nasabi (Successor) – Hazrate Ali al-Murtaza & Hazrate Faatima radiy-Allāhu ta’ala anhuma aur un ki aulaad (nasl);
(3) E’azaazi (Honoured) – Ahle bait ke baaqi afraad.
♦ Huzoor Muhammad Mustafa sallallāhu alaihi wa sallam ke saath Hazrate Ali, Sayyeda Faatima, Imaam e Hasan aur Imaam e Husain Radiy-Allāhu ta’ala anhuma ‘Panjatan’ me saamil hain.
♦ Hazrate Ali al-Murtaza radiy-Allāhu ta’ala anhu aur Sayyeda Faatima radiy-Allāhu ta’ala anha ki aulaad ya’ni Imaame Hasan aur Imaame Husain radiy-Allāhu ta’ala anhuma ko ‘Aale Rasool’ ka martaba mila hai aur Un ki aulaad ko ‘Saadaat’ ka kaha jaata hai.
Hazrat Imaam Hasan al-Mujtaba radiy-Allāhu ta’ala anhu ki nasl Hazrat Imaam Hasan al-Musanna aur Hazrat Zaid rahmatullāhi alaihi se jaari hai.
Aur Hazrat Imaam Husain radiy-Allāhu ta’ala anhu ki nasl Hazrat Imaam Ali al-Awsat Zain-ul-Aabideen rahmatullāhi alaihi se jaari hai.
♦ Hazrat Ali ki dusri biwiyo ke saahabzaade aur un ki aulaad (nasl) ‘Awaan’ kehlaate hain.
In me Hazrat Abbaas, Hazrat Mohammad bin Hanafiya, aur Hazrat Umar al-Atraf rahmatullāhi alaihi ki aulaad saamil hain.
***********
Ahle bait se muta’alliq chand khaas baaten :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) Azwaaj e mutahhiraat (Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ki biwiya) Ummahaatul mo’mineen hain ya’ni Tamaam ummatiyo ki maan.
Qur’an :
33 Surah al-Ahzaab, Aayat 6 :
Aur aap ki azwaaj e mutahharrat un (mo’mino) ki maaen hain.
(2) Hadees e Nabawi :
Hazrate Ali radiy-Allāhu ta’ala anhu se riwaayat hai ki
Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya
‘(Jis tarah) Apne zamaane ki behtareen aurat Maryam hain aur apne zamaane ki behtareen aurat Khadeeja hain.’
(Bukhari, 3/1388, Hadees -3604;
Muslim, 4/1886, Hadees -2430;
Ibn Abi Shaibah Fil-Musannaf, 6/390, Hadees -32289)
(3) Hazrate Ali radiy-Allāhu ta’ala anhu Maula e kaa’inat aur Faatih e Wilaayat aur Wali e Awwal hain.
Hadees e Nabawi :
Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam farmaate hain :
[1] Ali mujh se hai aur Main Ali se hu.
[2] Aye ALLĀH, Tu us ko dost rakh jo Ali se dosti rakhe aur zaleel kar usko jo Ali se dushmani rakhe.
[3] Jis ka main Maula hu, Ali bhi us ka maula hai.
[4] Aye Ali, Tumhara martaba mere darbaar me aisa hai jaisa Hazrate Moosā ke darbaar me Hazrate Hāroon ka, magar mere baad koi Nabi tashreef nahi laayega.
[5] Main ilm ka shaher hu aur Ali us ka darwaaza.
[6] Ek martaba Huzoor Nabi e kareem sallallāhu alaihi wa sallam ne apna daste e aqdas apne sine mubarak par rakhkar farmaaya ‘Aye Ali! Tum Haadi ho aur mere baad raah paane waale tum se raah paaynge. Wilaayat ke silsile tum se jaari rahenge aur ummat ke Aulia, Ulema aur Ghaus o Aqtaab tum se faiz paaynge.’
(4) Hazrate Sayyeda Faatima Zahra radiy-Allāhu ta’ala anha Khatoon e Jannat aur Sayyedatan Nisa’ hain ya’ni Tamaam jannati aurto ki Sardaar.
Hadees e Nabawi :
Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam farmaate hain :
ALLĀH ne Faatima aur us ki Aulaad par aag Haraam kar di hai.
(Tirmizi, Abu Naeem)
(5) Hazrate Imaam e Hasan aur Imaam e Husain radiy-Allāhu ta’ala anhuma Sayyed ush Shababi Ahlil Jannah hain ya’ni Tamaam jannati nau-jawaano ke Sardaar.
Hadees e Nabawi :
[1] Ye mere bete (Hasan aur Husain) musalmano ke Imaam hain, chaahe wo baithe ho ya khade ho.
[2] Mere tamaam Ahle bait me se Hasan aur Husain se main sab se zyada mohabbat karta hu.
[3] Aye ALLĀH, Main Hasan se muhabbat karta hu, tu us se mohabbat rakh aur jo us se mohabbat rakhe us se tu muhabbat rakh.
(Sahih Bukhari, Hadees –2122, 5884;
Sahih Muslim, Baab -08, Hadees –6206;
Ibne Maajah, Hadees –142)
[4] Husain mujh se hai aur Main Husain se hu.
[5] Ek Din Sayyeda Faatima Zahra Radiy-Allāhu ta’aala anha apne dono shehzaade Hazrate Hasan wa Husain radi-Allāhu ta’ala anhuma ko Leker Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ki baargaah me haazir hui aur arz kiya ki ‘Ya Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam, In dono ko kucha ata farmaiye.’
Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaya ‘Theek hai. Hasan ko maine Ilm wa Haibat ata kiya aur Husain ko apni Shuja’at wa Karam baksha.’
(Ibne Asaakir, Alal-Amn-wal-Ula, Safa-99)
(6) Hazrate Ameer Hamza ibne Abdul Muttalib radiy-Allāhu ta’ala anhu Sayyed ush Shohada hain ya’ni Tamaam Shaheedo ke Sardaar.
Hadees e Nabawi :
Jin ki dua qubool hone me der hoti ho unhe chaahiye ke Hazrate Hamza ke waseele se dua karen.
(7) Hazrate Abbaas ibne Abdul Muttalib radiy-Allāhu ta’ala anhu ke waseele se Khalifa aur Ameer ul mo’mineen Hazrate Umar Faarooq radi-Allāhu ta’ala anhu dua maangte to baarish hoti hai.
(8) Hazrat Anas Radiy-Allāhu ta’ala anhu bayaan karte hain ke Maine Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ko farmaate huwe suna hai ki
‘Hum Abdul Muttalib ibn Haashim ki aulaad Ahle Jannat ke Sardaar honge ya’ni Main, Hamza, Ali, Ja’afar, Hasan, Husain Aur Mahadi (radiy-Allāhu ta’ala anhuma).’
(Ibne Maajah, 2/1368, Hadees -4087;
Al-Minhaaj-us-Sawi, Safa -638, Hadees -716)
(9) Jung e Badr me kaafiro ne muqabale ke liye ahle Quraish ko bhejne ke liye kaha tab Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne Hazrate Hamza ibne Abdul Muttalib, Hazrate Ali ibne Abu Taalib aur Hazrate Ubaida ibne Haaris Radiy-Allāhu ta’ala anhuma ko bheja tha.
(10) 10 Hijri me Fateh Makka ke baad Yemen ke Najraan qabeele ke Nasraaniyo (Eisaai) ko Islaam apnaane ka paighaam bheja gaya aur unho ne Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ke saath mubaahila karne ka iraade se chand logo ko Madeena bheje tab Aayat e Mubaahila ke zariye hukm e ilāhi ke baad Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam apne saath Hazrat Ali, Sayyeda Faatima, Hazrat Hasan aur Hazrat Husain radiy-Allāhu ta’ala anhuma ko lekar tashreef le gaye. In hazraat ke nooraani chehre dekhkar Nasraaniyo khauf ki wajah se mubaahila karna mauqoof rakha aur ‘Jaziya’ dena muqarrar karke waapas laut gaye.
***********
Mas’ala :
(1) Ye martaba in Hazraat ko nisbat e Rasool-Allāh ki wajah se mila hai.
Kisi bhi Imaam ya Wali ko ye martaba haasil nahi.
(2) Ahle bait ko Zakaat ya Sadqa dena mana hai. Unhe sirf hadiya de sakte hain.
***********
Ahle bait ke foyuz o barkaat haasil karne ke 9 Tareeqe hain :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) Bai’at – Peer e tareeqat ka mureed hona.
(2) Ta’azeem – Ahle bait aur un se nisbat rakhne waali har cheez ki ta’azeem wa ehtaraam karna.
(3) Sohbat wa khidmat – Ahle bait ki sohbat me rehna ya un ki mehfil me jaana ya un ki khidmat karte rehna aur un ko Nazraana e aqeedat paish karte rehna.
(4) Ita’at – Ahle bait ki ita’at karna aur un ke farmaan par amal karna.
(5) Itteba (Pairwi) – Ahle bait ke Aa’imma wa akaabir ke dars e amal (Qaul o fail) par amal karna.
(6) Tawassul wa Istegaasah – Ahle bait ke waseele se ALLĀH ta’ala se dua karna.
(7) Madah wa Zikr – Apni guftagu me, bayaan me ya manqabat me Ahle bait ke fazaail wa martaba, sirat wa amal, zindagi aur karaamat wagairah ka tazkira karna.
(8) Isaal e sawaab – Koi bhi nek kaam karke ya’ni Namaaz, Tilaawat e Qura’n, Zikr o Durood, Roza, Sadqa-Khiraat, Hajj ya Umrah, Nyaaz karke un ko isaal e sawaab karna.
(9) Ziyarat – Ahle bait ke mazaar par haazir hona.
***********
Ahle bait se mohabbat ka izhaar karne ke aur un ke foyuz o barkaat haasil karne ke sirf yehi tareeqe hain aur is ke ilaawa kisi bhi naye tareeqe ko sahi maanne waala na-daan hai.
Bad-mazhabo ke galat tareeqe par amal karna ya’ni Moharram me ya Ahle bait ke afraad ke yaum e wisaal ya urs ke mauqe par Maatam, Chokaara, Naachna gaana bajaana, Khel tamaasha ko Ahle bait se mohabbat ki nishaani maanna ye sab naadaani hai.
Aur in sab ko sahi saabit karne ke liye galat daleelen pesh karna ye waqt aur mahenat ko zaaya karna hai.
***********
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae.
Aur Sab ko Ahle bait ki sachi mohabbat ata farmae aur un ki Ta’azeem karne ki aur un ko haajat me imdaad karne ki taufiq ata farmae.
Aur Ahle bait ke waseele se Sab ko un ki pairwi karne ki aur nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur ye sab baaten yaad rakhne ki aur dusro ko bataane ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.
- Shab E Barat Kya Hai - 5th March 2022
- Health Tips Hindi - 4th January 2021
- Ramadan Hadith - 4th January 2021