Islamic Blog

HIQAYAT:-
**********
Ek Din Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Mimber Per Jalwa Afroz Hue! Sahaba-A-Kiraam Ko Mukhatib Farmaker Irshad Farmaya, Suno! ALLAH-TA’AALA Ne Apne Ek Bande Ko Ikhtiyar De Diya Ki Wo Jabtak Chahe Duniya May Rahe Ya Wo Apne Rab Ki Mulakaat Ko Pasand Kare! Bas Us Bande Ne Apne Rab Ki Mulakaat Ko Ikhtiyar Kerliya Hain!
Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Ka Yeh Irshad Sunker Hazrat Siddiq-A-Akbar Radi-Allahu-Ta’aala-Anhu Rone Lage! Sahaba-A-Kiraam Ne Siddiq-A-Akbar Radi-Allahu-Ta’aala-Anhu Ko Rote Hue Dekha To Bade Hairaan Hue Ki Yeh Rone Kyon Lage?
Fir Jab Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Ka Visaal Sharif Hua To Sahaba-A-Kiraam Ne Farmaya, Ki Ab Ham Samjhe Ki Siddiq-A-Akbar Radi-Allahu-Ta’aala-Anhu Us Din Kyon Ro Rahe The?
Bas Wo Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Hi The Jineh ALLAH-TA’AALA Ne Ikhtiyar De Diya Tha Aur Siddiq-A-Akbar Radi-Allahu-Ta’aala-Anhu Wakayi Ham Sabse Zyada Samajhdar Hain!

(Mishkaat Sharif, Pg-546)

********************************
SABAK:-
********
Sahaba-A-Kiraam Ka Imaan Tha Ki Rasoolallah SALLALLHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Mukhtaar Hain! Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Ne Bhi Isi Haqiqat Ko Bayaan Farmaya Tha Ki Main Min Janib ALLAH Mukhtar (ALLAH Ke Diye Se Ikhtiyar Hona) Hoon! Mera Duniya May Rehna Ya Visaal Farma Jana Mere Ikhtiyaar May Hain! Yeh Ikhtiyar Mujhe ALLAH-TA’AALA Ne Hi Diya!
Malum Hua Ki Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Ka Visaal Farma Jana Huzoor Ke Apne Ikhtiyar May Tha! Aapne Chaha To Aapka Visaal Hua!
Bar-ax Iske Ham Bhi Hain Jo Marna Nahi Chahte Lekin Marjate Hain! Na Apni Marzi Se Aate Hain, Aur Na Apni Marzi Se Marte Hain!
Yeh Bhi Malum Hua Ki Siddiq-A-Akbar Radi-Allahu-Ta’aala-Anhu Saare Sahaba-A-Kiraam Se Afzal Wa Aala The! Isliye Jab Huzoor Ne Farmaya Ki ALLAH Ne Apne Ek Bande Ko Ikhtiyar De Diya Hain To Aap Fauran Samajh Gaye Ki Yeh Khud Huzoor Hi Hain! Huzoor Apne Hi Visaal Ki Khaber De Rahe Hain Aur Rona Shuru Kerdiya!

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)