إِنَّ اللَّهَ وَمَلَائِكَتَهُ يُصَلُّونَ عَلَى النَّبِيِّ ۚ يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا صَلُّوا عَلَيْهِ وَسَلِّمُو اتَسْلِيمًا
“Beshak Allah Aur Uske Farishte Darood Bhejte Hai Us Gaib Batane Waale Nabi Par, Aye Imaan Waalo Unpar Durood Aur Khoob Salam Bhejo”
(Al Quran Surah Al Ahzaab Ayat : 56)
Aayat e Mubaraka k Nuzool ka pasmanzar ye hai k kuffar aur Munafikeen ki toli Huzoor Nabi E Karim ﷺ ki Dil aazari karte the jiske baad Allah عزوجل ne ye aayaat e Mubaraka Nuzool karke Mehmool e Rabbil Aalimeen ﷺ ko wo makam o martaba ata kiya aur kaha k agarche ye chand log hai jo Aap ﷺ ki dil aazari karte hai jo dardnaak aazab k mustahik hai par Huzoor e Akram ﷺ ki shan o azmat to khud unka Paak Parwardigar bayan farma raha hai uske farishto ko mukkarrar kar rakha hai jo Huzoor ﷺki Shan e Akdas me Durood o salam padhte hai kayamat tak aane waale Musalmano par bhi laazim kar diya k uske Mehmboob par Durood o salam bheja karo.
Chunanche Allama Ismail Hakki Al Hanfi رَحْمَةُ اللهِ عَلَيْه ne apni tafseer Ruhool Bayan me likha hai Is aayat e karima k nuzool k baad Huzoor ﷺ k chehra e Mubarak Noor ki kirane lootane laga aur farmaya
“Mujhe Mubarakbaad Pesh Karo Kyuki Mujhe Wo aayat e Mubaraka ata Ki gayi hai jo Mujhe Dunya Wa Maafiha (yaani jo kuch dunya aur isme hai) sabse zyada Mehboob hai”
(Tafseer E Roohul Bayan, Vol : 07, Pg : 223, para 22 Surah Ahzab Ayat 56)
Is aayat e Karima me Allah عزوجل ka Durood Bhejna bhi hai aur Farishto k saath saath Hum Musalmano ko bhi durood bhejna hai Agarche Lafz Allah عزوجل Farishto Aur Imaan waalo k liye ek hi istemal kiya gaya hai par iske maane Mukhtalif honge ye yaad rahe.
Imam Baghawi Ash Shafai رَحْمَةُ اللهِ عَلَيْه iske maane ko bayan farmate hai
“Allah عزوجل k durood bhejna hai REHMAT naazil farmana Jabki Farishto aur Hamara Durood Dua E Rehmat Karna Hai”
(As Shara Us Sunnah, Vol : 02, Kitabus Salat, Baab : As Salat Alan Nabi , Pg : 280)
Shaikul Islam Allama Ibn Hajar Al Asqalani رَحْمَةُ اللهِ عَلَيْه Allah عزوجل k Durood bhejne k maane ko bayan farmate hai “Allah عزوجل Buzurg Wa Bartar Aap ﷺ ki Tarif Aur Azmat bayan Farmata Hai” (Futuhool Bari Shara E Sahi Bukhari,Kitabu Dawaatt, Baab : As Salat Alan Nabi ﷺ , Pg : 131/132, Hadees : 6358)
Durood Sharif padhne ka Sharai Hukm
Allama Mufti Muhammad Amzad Ali Khan Sadrusharia رَحْمَةُ اللهِ عَلَيْه likhte hai
“Umr Me Ek baar Durood Sharif padhna farz hai aur har jalsa e zikr me ek baar durood sharif padhna wajib hai”
(Bahar e Shariat Vol : 01, Pg : 533)
- Allah subhanahu se Magfirat aur Aafyiat manga karo kyuki - 14th June 2017
- Sajda e Tilawat ki dua - 14th June 2017
- Bewaon aur miskeenon ke kaam aaney wala - 14th June 2017