Bismillahirrahmanirrahim
✦ Mafhum-e-hadith- Allah ki taraf se 10 rahmat aur 10 gunaah maaf aur 10 darjaat buland
———
✦ Hazrat Anas bin malik Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo shaksh mujh par ek martaba Durud bhejega to Allah subhanahu us par 10 martaba rahmat bhejega aur uskey 10 gunaah maaf honge aur 10 darjaat buland honge
Sunan An Nasaii, Jild 1, 1300 -Sahih
———-
اللــــــــهم صل على محمد وعلى آل محمد كما صليت على إبراهيم وعلى آل إبراهيم إنك حميد مجيد
.اللـــــــهم بارك على محمد وعلى آل محمد كما باركت على إبراهيم وعلى آل إبراهيم إنك حميد مجيد
✦ Allahumma salli ala muhammad wa ala aali muhammad kamaa sallaita ala ibrahima wa ala aali ibrahima innaka hamidum majeed.
Allahumma baareek ala muhammad wa ala aali muhammad kamaa baarakta ala ibrahima wa ala aali ibrahima innaka hamidum majeed.
———-
✦ Ya ALLAH Rahmat nazil farma Mohammad (Sallallaahu Alayhi Wasallam) par aur Aal-e-Muhammad (Sallallaahu Alayhi Wasallam) par, Jaise tu ne Rahmat nazil farmaaiyee hain Ibrahim Alaih salaam par aur Aulad e Ibrahim Alaih salaam par…Beshak Tu bade Rehmat Wala aur Badi buzoorgi Wala hai Ya ALLAH barkaat nazil farma Mohammad(Sallallaahu Alayhi Wasallam) par aur Aal-e-Muhammad (Sallallaahu Alayhi Wasallam) par, Jaise tu ne barkaat nazil farmaaiyee hain Ibrahim Alaih salaam par aur Aulaad e Ibrahim Alaih salaam par…Beshak Tu bade Rehmat Wala aur Badi Buzoorgi Wala hai
Sahih Bukhari, Vol 4,3369
- मिसवाक के फायदे | मिस्वाक | Miswak Benefits - 9th April 2021
- BANGALORE RAMADAN TIMING 2021 - 8th April 2021
- HYDERABAD RAMADAN TIMING 2021 - 8th April 2021