Islamic Blog

Ek baar Hazrat Musa Alaihissalam Ne Allah Se Arz Kiya Ke
Ya Allah Me Aap Ki RAHMAT aur Insaan Ke GUNAAH Dekhna Chahta Hu To Allah Ne Farmaya Ke Piche Dekho, Jab Hazrat Musa Als Ne Piche Dekha To Ek Bahut Bade Samandar Me Ek Darakht Par Ek Chidiya Apne Munh Me Mitti Le Kar Bethi Hai. Hazrat Musa Alaihissalam Ne Arz Kiya Ke Ya Allah Ye Kiya Hai????? Allah Ne Farmaya Ke Ye Samandar Meri RAHMAT Hai aur Ye Darakht DUNIYA Hai Aur Ye Chidiya Insaan aur is Ke Munh Me Jo Thodi si Mitti Hai Ye Us Ke Gunaah Hain. AGAR YE APNA MUNH KHOL KAR YE MITTI PAANI ME GIRADE To BHI MERI RAHMAT ME KOI FARAQ NAHI PADHTA to Phir Kyo Na Insaan Mujhse Maafi Maange aur Mein Maaf Na Karu.
Subhanallah
So Dosto Allah Kitna Kareem Hai, Bas Hame Chahiye Ke Hum Allah Se Sacche Dil Se Apne Gunaaho Ki Maafi Maange.
Insan kitne bhi gunah ya kitna bada gunah bhi kar le, uske gunah Allah ki rahmat se bade nahi ho sakte, isliye koi maayus na ho ke maine itna bada gunah kar liya, ya itne gunah kar liye, Ab Allah kese maaf karega to uska aesa sochna galat hai, kyonke Allah khud farmata hai ke tumne jitne bhi gunah kar liye hon, lekin mujhko maafi ke liye pukaro to mein zaruri maaf karuga.
Lekin koi insan ye soch kar gunah na kare ke gunah kar lo, Allah maaf kar dega, ye galat tarika hai.
Allah se maafi maangke sa sahi tarika ye hai ke insan apne kiye gunah par sharminda ho, dobara us gunah ko na karne ka pakka irada kare, phir Allah se sacche dil se maafi maange to Allah gunaho ko maaf karne wala hai.

Allah hum sabko gunaho se bachae, aur hum gunahgaar ho ya na hon, to bhi Allah se maafi maangte rahen, kyonke kuch gunah anchahe ya anjane mein bhi ho jaate hain.

Ae Allah hum sabko gunaho se bachne ki taufik ata farma, aur humse jo jaane-anjaane mein gunah ho gae hain, unko maaf farma, beshak tu bahut maaf farmane wala hai. Aameen.

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm