Islamic Blog

ALLAH T’AALA ek hai , Paak be misl be aib hai, har kamaal wa khubi ka zamey hai,

Koi kisi baat mai na uska shareek na barabar na usse badhkar woh apni tamaam sifaate kamaliya ke saath humesha se hai aur humesha rahega, hameshgi sirf usi ki zaat wa sifaat ke liye hai, uske siwah joh kuch hai pahele na tha jab usne paida kiya toh huwa,

Woh apne aap hai usko kisine paida nahi kiya, woh kisi baat mai kisi ka mohtaz nahi aur sab uske mohtaaz hai,

Rozi dena, maarna, jilana usi ke ikhtiyaar mai hai, woh sabka malik hai joh chahe kare, uske huqm mai koi dam nahi maar sakta, be uske chahe zarra nahi hil sakta,

Woh har khuli, chupi, honi, anhoni ko jaanta hai koi cheez uske ilm se bahar nahi, duniya zahaan saare alam ki har cheez usi ki paida ki huwi hai,

Sab uske bande hai woh apne bando par maa aur baap se jyada maherbaan hai rahem karne wala, gunaah baksh ne wala, tauba qubul farmane wala hai,

Uski giraft pakad nihayat he sakht jisse be uske churaye koi choot nahi sakta izzat, zillat, usi ke ikhtiyaar mai hai jise chahe izzat de jise chahe zaleel kare, maal wa daulat usi ke kabze mai hai, jise chahe ameer kare jise chahe faqir kare,

Hidayat wa Gumrahi usi ki taraf se hai woh joh karta hai hiqmat hai, insaaf hai musalmano ko jannat ata farmayega, kafiro par dauzak mai azab karega uska har kaam hiqmat hai, bande ki samaz mai aaye ya na aaye uski neimate aur ahsaan be inteha hai wohi is layak hai ki uski ibadat ki jaye uske siwa dusra koi ibadat ke layak nahi,

Allah T’aala jism wa jismaniyat se paak hai yani na woh jism hai, na usmai woh baate payi jaati hai joh jism se talluk rakhti hai balki yeh uske haq mai muhaal hai, lehaza woh zamaan wa makaan, taraf wa zehat shakl wa surat, wajan wa mikdaar jyada wa nuksaan yani kami wa besi hulul yani sama jana ya ittehad yani do cheezo ka milkar ek ho jaana, tawalud wa tanasul, harkat wa inteqal, tagayyur, tabduul wagaira tamaam ausaaf wa ahwaale jism se munazzah wa bari hai,

Aur Quraan wa Hadees mai joh baaz aise alfaaz aye hai maslan Yad (haath), wajhihe (chehra), rajul (paaun), jehak (hasna) wagaira jinka zahir jismaniyat par dalalat karta hai unke zahiri maine lena gumrahi wa badmazhabi hai,

Is qism ke alfaaz mai taweel ki jaati hai kyun ki inka zahir muraad nahi ki uske haq mai muhaal hai maslan Yad ki taweel qudrat se aur Wajhihe zaat se Istewa ki galba aur tawajjo se ki jaati hai lekin behtar wa aslam yeh hai ki bila zarurat taweel bhi na ki jaye balki haq hone ka yaqin rakhen, aur muraad ko Allah T’aala ke supurd kare ki wahi jaane apni muraad,

Humara toh Allah T’aala aur Rasool Allah Sallallahu Alai Wassallam ke qaul par Imaan hai ki Istewa haq hai, Yad haq hai aur uska Istewa makhluk ka sa Istewa nahi uska Yad makhluk ka sa Yad nahi uska Qalam Dekhna Sunna makhluk ka sa nahi……

Wallahu T’aala Aalam…

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm