Islamic Blog

Sawaal: Hamaara Rab kaun hai?
Jawaab: Hamaara Rab Allah hai.
Ref: (Sura-e-Ha Meem Sajda: 30)

Sawaal: Hamein kis ne paida kiya?
Jawaab: Hamein Allah Ta’ala ne paida kiya.
Ref: (Sura-e-Teen: 4)

Sawaal: Kya poori duniya ke logon ko tanha Allah hi ne paida kiya?
Jawaab: Ji haan! Poori duniya ke logon ko tanha Allah hi ne paida kiya.
Ref: (Sura-e-Sajdah: 4)

Sawaal: Kya yeh duniya khud bakhud ban gayi?
Jawaab: Nahin is duniya ko Allah Ta’ala ne banaaya.
Ref: (Sura-e-Sajdah: 4)

Sawaal: Aasmaan, zameen, chaand, sooraj, oonche oonche pahaad aur bade bade darya kis ne banaaye?
Jawaab: Aasmaan, zameen, chaand, sooraj, oonche oonche pahaad aur bade bade darya Allah Ta’ala hi ne banaaye.
Ref: (Sura-e-Ankaboot: 61, Sura-e-Qaaf: 38)

Sawaal: Kya Allah Ta’ala ko kisi ne paida kiya?
Jawaab: Nahin ! Allah Ta’ala ko kisi ne paida nahin kiya.
Ref: (Sura-e-Ikhlaas: 3)

Sawaal: Allah Ta’ala kab se hai aur kab tak rahega?
Jawaab: Allah Ta’ala hamesha se hai aur hamesha rahega.
Ref: (Sura-e-Rahmaan: 27)

Sawaal: Kya Allah Ta’ala ke maan baap hain?
Jawaab: Nahin! Allah Ta’ala ke Maan Baap nahin hain.
Ref: (Sura-e-Ikhlaas: 3)

Sawaal: Kya Allah Ta’ala ke beewi bachchhe hain?
Jawaab: Nahin! Allah Ta’ala ke beewi bachchhe nahin hain.
Ref: (Sura-e-An’aam: 101)

Sawaal: Kya Allah Ta’ala ki kisi se rishtedaari hai?
Jawaab: Nahin! Woh tamaam rishton se paak hai.
Ref: (Sura-e-Ikhlaas: 3)

Sawaal: Kya Makhlooq ki tarah Allah Ta’ala ki shakl-o-soorat hai?
Jawaab: Nahin! Allah Ta’ala shakl-o-soorat se paak hai.
Ref: (Sura-e-Shoora 42: 11)

Sawaal: Kya Allah Ta’ala khaata, peeta aur sota hai?
Jawaab: Allah Ta’ala ko khaane, peene aur sone ki zaroorat nahin.
Ref: (Sura-e-An’aam: 14, Sura-e-Baqarah: 255)

Sawaal: Kya Allah Ta’ala ka koi shareek hai?
Jawaab: Allah Ta’ala ka koi shareek nahin.
(Sura-e-An’aam: 163)

Sawaal: Hamein, hamaare maan baap aur poori duniya ko rozi kaun deta hai?
Jawaab: Hamein, hamaare maan baap aur poori duniya ko rozi Allah Ta’ala deta hai.
Ref: (Surah-e-Zaariyaat: 58)

Sawaal: Zindagi, maut, izzat aur zillat kaun deta hai?
Jawaab: Zindagi, maut, izzat aur zillat Allah Ta’ala deta hai.
Ref: (Sura-e-Mulk: 2, Sura-e-Aal-e-Imraan: 26)

Sawaal: Kya Allah Ta’ala har cheez dekhta hai aur har baat sunta hai?
Jawaab: Ji haan ! Allah Ta’ala har cheez dekhta hai aur har baat sunta hai.
Ref: (Sura-e-Isra 17: 1)

Sawaal: Hamein kis ki Ibaadat karni chaahiye?
Jawaab: Hamein sirf Allah Ta’ala ki Ibaadat karni chaahiye.
Ref: (Surah-e-Hood 11: 26)

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm