Ye duniya exam ki jagah hai, yaha Allah kisi ko pesa dekar aazmaata
hai to kisi ko garib bana kar aazmata hai, insan ameer ho ya gareeb,
usko hamesha Allah ko raazi karne ke kaam karna chahiye. Pesa har kisi
ki kismat ka hota hai, jitna Allah ne pesa kismat mein likh diya hai
utna mil kar rahega. Lekin kabhi bhi ye dil mein khyal nahi lana
chahiye ke agar kisi ke pass bahut pesa hai to Allah usse khush hai
aur jo gareeb hai Allah usse naraz hai. Ho sakta hai ke jo pese wala
hai Allah usse naraz ho aur jo garib hai usse khush ho. Isliye pesa
Allah ki khushi aur na-khushi ki wajah nahi hai.
Jo log haram tarike se pesa kamate hain aur jaldi ameer ban jaate hain
to aese logo ko Allah aur mohlat de deta hai. Haram tarike ye hain,
(byaz ka pesa lena, kisi ko dhoka dekar kamana, kisi ko galat maal
bech kar kamana, chori karna, sharab bechna, jua/satte se kamana
wagerah)
Is duniya mein insan ko bahut kam time rahna hai (56-70 saal). Lekin
marne ke baad ki zindagi kabhi khatam nahi hogi. Agar yaha imaandari
se kamaya lekin garib rahe to bhi insan marne ke baad ki zindagi mein
khush rahega. Lekin jisne yaha be-imaani se kamaya wo 60-70 saal ki
zindagi to aaram se guzar sakta hai lekin marne ke baad ki jo zindagi
hai wo kabhi khatam na hogi waha wo pareshan rahega.
Agar insan be-imaani se kamata hai to pese ke saath-saath wo bahut
gunah bhi kama raha hai aur Allah ke yaha usko azab hoga, lekin agar
koi insan imaan-daari se mehnat karke kama raha hai, aur wo (ye sochta
hai ke mere kamane se mere ghar waale acche se rahenge) to uska
imaan-daari se kamana sawab ban jata hai.
Agar be-imaani se insan kama raha hai aur agar wo masjid mein laakho
rupye de de, garibo ko laakho rupye daan/donate kar de to bhi usko
sawab na milega, aur agar wo haram ki kamai se khana khaaega to uski
duwa bhi kubul na hogi, agar haram ki kamai se roza kholega to uska
roza bhi kubul na hoga. lekin imaan-daari se kamaya 1 rupya bhi agar
insan Allah ki raah mein deta hai to usko iska bahut sawab milega.
Ek sahabi ke hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne haath choom
liye kyonke wo sahabi mehnat karte the aur unke haath par mehnat ki
wajah se nishan ban gae the, matlab mehnat karke kaam karne walo ko
Allah aur uska rasul dono pasand karte hain.
Ye duniya kuch dino ki hai, insan ko khud pata nahi hota ke wo kitne
din jiyega, isliye pese ke piche nahi bhagna chahiye. Sahaba (radi
allahu anhu) ka ye tarika hota tha ke bas utna kamate the jitna ki
zarurat hoti thi, uske baad Allah ki ibadat mein aur islam ko felane
ka kaam karte the kyonke unko maalum tha ke is duniya mein to kuch
time hi rahna hai, zindagi kese bhi guzar jaaegi lekin marne ke baad
ki zindagi hamesha-hamesha rahegi, isliye wo log waha ke liye mehnat
karte the, sawab kamate the, Allah ki ibadat karte the.
Agar garibi ki wajah se koi zarurat aa jaae to pahle kisi insan se
maangke ki bajae 2 rakat namaz padho aur Allah se maango aur kaho ke
ae Allah tu hi dene wala hai, baaki sab insan to tere hi mohtaaj hain,
mujhe apna mohtaaj bana, kisi ger ka mohtaaj na bana. Iske baad Allah
ki zaat par ummid rakho Allah kisi ke zariye se bhi madad pahucha
dega.
Agar pese ki wajah se koi kisi ki izzat karta hai to hakeekat mein wo
us insan ki izzat nahi kar raha balke pese ki kar raha hai. Aur izzat
aur zillat to Allah dene wala hai, kisi insan ki taakat nahi ke wo
kisi ko be-izzat kar de ya usko izzat wala bana de kyonke quran mein
Allah farmata hai ke “mein jisko izzat dena chahu to puri duniya mil
kar usko be-izzat nahi kar sakti aur jisko be-izzat karna chahu uski
puri duniya milkar izzat bacha nahi sakti”. Isliye har cheez Allah se
maango chahe wo pesa ho ya izzat. Kisi insan se ummid na karo, kyonke
wo khud bhi Allah ka mohtaj hai.
Agar garibi ki wajah se koi izzat nahi karta to maayus na ho, kyonke
agar humse hamara Allah khush hai to humko kisi ki zarurat nahi, humko
kisi insan se izzat nahi karwana. Sabse badi baat hamara Allah humse
khush hona chahiye. Bade-bade badshah is duniya mein aae aur chale
gae. Aur duniya mein hi apne mahal aur dualat chhod kar chale gae.
Sikandar puri duniya ko jeetne nikla tha aur usne aadhi se zyada
duniya jeet bhi li thi, lekin ek chhote se bukhar se wo mar gaya, jab
usko laga ke meri maut kareeb hai to usne apne mantri (wazeer) se kaha
ke jab mein mar jaaun aur mera janaza nikle to mere dono haath janaze
ke bahar nikaal dena, taaki log ye dekhen aur samajh sake ke marne ke
baad sikandar ke bhi haath khali hi the, wo kuch na le ja saka.
Agar kisi insan ki kismat mein pesa hai to wo usko zarur mil kar
rahega. Agar wo galat raaste se kamata hai to usko wo galat raaste se
milega (saath hi galat raaste se kamane ke wajah se usko gunah bhi
milega) aur agar koi imaandaari se kamata hai to usko imaandaari se
milega.
Ek baar hazrat Ali (radi allahu anhu) ne ek insan ko apna ghoda
sambhalne ke liye kaha aur socha ke namaz padh lu, jab aap namaz ke
liye khade hue to wo insan ghode ki zeen lekar bhaag gaya, aapne namaz
ke baad soch liya tha ke mein usko kuch rupye dunga. lekin jab jaakar
dekha to wo insan zeen chura kar bhaag gaya tha, ab hazrat Ali (radi
allahu anhu) jitne pese dene waale the wo zeen bhi utne pese ki hi
thi, is par aapne farmaya ke Allah ne uski kismat mein itne hi pese
likhe the lekin usne galat tarika chun liya, agar chori na karta to
mein bhi usko utne hi pese dene wala tha jitne ki wo zeen thi.
Kuch wazifa aur amal hain jiski wajah se hamare rizq mein tarakki ho sakti hai.
(1) Astagfaar (puri dua) padhna – jo insan khoob astagfaar padhta hai
Allah usko aesi jagah se rizq deta hai jiska wo guman bhi nahi karta.
(2) Namaz padhne se Allah rozi mein barkta deta hai.
(3) Roz ‘surah waaqiya’ padhne se bhi rozi mein barkta hoti hai.
(4) Subah fazar ki 2 sunnato ke bad (2 farz se pahle) 100 baar ‘subhan
allahe wabe hamdihi, subhan allahil azim, astargfirullah wa atubu
ilayh. ki tasbeeh se bhi rozi mein izafa hota hai.
Agar koi halal rozi se ameer banta hai to islam ne isse nahi roka hai,
lekin insan ameer ho ya gareeb ye sochna chahiye ke garibi bhi Allah
ki di hui hai aur ameeri bhi. Ameer ho ya garib, Allah raazi to
kaamyabi hai warna sab yahi rah jana hai.
Allah hum sabko quran, hadees aur hazrat Muhammad (sallallahu
alyhiwasallam) ki sunnato par amal karne wala bana de. Aameen.
- शब ए बारात की रात में क्या पढ़े | 2022 शब ए बरात का रोज़ा कब रखते है | - 7th March 2022
- Shab-E-Barat Ki Fazilat (शाबान बरक़त वाली रात) - 5th March 2022
- शब ए बारात की नमाज और सलामत तस्बीह (हिंदी) - 5th March 2022