Islamic Blog

Rasool-e-Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ka Irshade Mubarak Hai Ke :
» Apne Haatho Ki Kamayee Khane Se Behtar Tumne Kabhi Koi Khana Nahi Khaya Hoga.
– (Bukhari Shareef)
» Allah Tabarak Wa Ta’ala Uss Banda-e-Momin Ko Azeez Rakhta Hai Jo Kisi Peshe Ke Zariye Apni Rozi Kamata Hai.
– (Qartabi)
» Mazdoor Ko Uski Mazdoori Uskey Paseena Sookhne Se Pahle Ada Kardo.
– (Sunan Ibn Majah, Vol2, 600)
» Jisne Kaarobaar Me Dhoka Diya, Wo Mera PairoKaar(Follower) Nahi Hai.
» Jisne 40 Din Tak Samaan (Giza) Ko Zakheerah Kiye Rakha, Usko Allah Ta’ala Se Koi Wasta Nahi, Naa Allah Paak Ko Uski Koi Parwah.
– (Masnad Imam Ahmad Alaihirrahma)
» Maal-e-Haraam Par Palaa Huwa Gosht (Jism) Parwan Nahi Chadhta, Balke Uska Thikana Jahannum Ki Aag Hai.

∗Agar Tumhare Paas 4 Cheezein Ho Toh…
» Hadees : Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmaate Hai Ke,
(Aye Emaanwalo!) Agar Tumhare Paas 4 Cheezein Ho Toh Duniya Ki Kisi Cheez Ke Na Hone Ka Afsos Nahi Hoga,
∗1) Amanat Ki Hifazat
∗2) Baat Me Sachchaai
∗3) Achchi Aadate
∗4) Pakeeza Rozi
– (Sho’abul Iman, 5258 :

∗Khud Apne Haathon Se Kamakar Khaya Karo….
» Hadees : Miqdam (Razi Allahu Ta’ala Anhu) Se Rivayat Hai Ki Rasool’Aallah
(Sallallahu Ta’ala Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam) Ne Farmaya,
“Kisi Insan Ne Uss Shaksh Se Behtar Rozi Nahi Khayee Jo Khud Apne Haathon Se Kamakar Khata Hai, Allah Ke Nabi Dawood (Alaihay Salam) Bhi Apne Haatho Se Kaam Karke Rozi Khaya Karte The”.
– (Sahih Bukhari, Vol 3, 2072)

∗Halaal Tarike Ki Mehnat Se Rozi Hasil Kiya Karo….
» Hadees : Abu Hurairah (Radiallahu Anhu) Se Rivayat Hai Ki Rasool’Aallah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya,
“Agar Koi Shaksh Lakdiyon Ka Gatthha Apni Peeth Par (Bechne) Ke Liye Phire Toh Wo Uss Se Achcha Hai Ki Kisi Ke Samne Haath Failaye Aur Wo Usey Kuch De Ya Na De”.
– (Sahih Bukhari, Vol 3 , 2374)
» Sabak : Yaani Kisi Ke Samne Haath Failane Se Behtar Hai Ki Halaal Tarike Ki Mehnat Se Rozi Hasil Kiya Jaye Fir Chahe Lakdiyon Ka Gaththa Hi Apni Peeth Par Lekar Kyun Na Bechna Pade.

∗Halaal Rozi Haasil Karna Farz Hai…..
» Hadees : Hazrat Abdullah Bin Masood (Radhiallahu Ta’ala Anhu) Ne Kaha Ki, Huzoor (Sallallahu Ta’ala Alaihi Wasallam) Ne Farmaya Ki,
“Shariyat Ke Digar Faraiz Ke Baad Halaal Rozi Hasil Karna Farz Hai”.
-: (Bahaqi, Mishkat Page-242)
» Hadees : Hazrat Abu Bakar (Radhiallahu Ta’ala Anhu) Ne Kaha Ki, Huzoor (Sallallahu Ta’ala Alaihi Wasallam) Ne Farmaya Ki,
“Jis Badan Ko Haraam Giza(Khana) Dia Gaya Wo Jannat Me Dakhil Na Hoga”.
-: (Mishkat Page-243)
» Hadees : Hazrat Abu Hurairah (Razi Allahu Anhu) Ne Kaha Ki, Huzoor (Sallallahu Ta’ala Alaihi Wasallam) Ne Farmaya Ke,
“Logo Par Ek Zamana Aisa Bhi Aayega Jab Ke Koi Iss Baat Ki Parwaah Na Karega Ki Usne Jo Maal Kamaya Wo Halaal Hai Ya Haraam”.
-: (Bukhari Vol-1 Page-276)
» Masail (Examples) :
1. Kapda Silane Ke Liye Diya Toh Darzi Ne Usme Se Kaat Liya.
2. Ruyee(Cotton) Katne Ke Liye Di Toh Katne Wale Ne Ruyee Nikal Li.
3. Kapda Banane Ke Liye Diya Toh Banane Wale Ne Nikal Liya.
Ruyee Nikalne Wale Ne Ruyee Bacha li Aise Hi Kisi Bhi Cheez Me Se Jo Apko Kisine Kisi Kaam Ke Liye Di Aur Aapne Usme Uski Chori Ki Toh Ye Sab Kaam Na-Jaiz Aur Haraam Hai. Jahannam Me Le Jane Wale Hai, Afsos ! Ki Ye Batein Khule Taur Par Emaanwalo Me Iss Tarha Rayej Ho Gayi Hain, Ki Ab Logon Ko Ehsaas Hi Nahi Hota Ke Hum Haraam Rozi Se Apna Pait Bharkar Apni Akhirat Barbad Kar Rahe Hain.
Balki Awaam Toh Awaam Kuch Khaas Log Bhi Isi Tarha Haraam Rozi Hasil Karne Me Lage Hai,
Karo Maherbani Tum Ahle Zameen Par
Khuda Maherban Hoga Arshe Barin Par !!

∗Rozi aur Barkat….
» Hadees : Nabi-e-Paak (Sallallahu Ta’ala Alaihi Wa Sallam) Irshad Farmate Hain,
“Rozi aur Barkat Uss Ghar Ki Taraf Tezi Se Doudhti Hai Jis Me Mehmaan Ke Sath Khana Khaya Jata Hai”.
– (Ibne Majah)
» Hadees : Nabi-e-Paak (Sallallahu Ta’ala Alaihi Wa Sallam) Irshad Farmate Hain Ke,
“Barkat Tumhare Buzurgon Ke Saath Hai”.
-: (Al-Majmaa-Ul-Ausat, Jild 6, Page 342, Hadis 8991)

Rishteydaro Ke Saath Achcha Suluq Karey……
Maldaro Ko Kamzoro Ki Dua ki Wajah Se Madad Aur Rizq Milta Hai :
Mus’ab Bin Saad (Radiallahu Anhu) Se Rivayat Hai Ki, Sad Bin Abi Waqqas (Radiallahu Anhu) Ko Ye Khayal Tha Ki Unhe Dusre Sahaba Par (Apni Maaldari Aur Bahaduri Ki Wajah Se) Fazeelat Hasil Hai, Toh Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya Ki,
» Hadees :“Tum Logon Ko Kamzor Maazur Logon Ki Duaaon Ki Wajah Se (Allah Ki Taraf Se) Madad Aur Rizq Diya Jata Hai.”
-: Sahih Bukhari, Vol4, 2896
Rishteydaro Ke Saath Achcha Suluq Karey :
» Hadees : Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) Se Rivayat Hai Ki Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya,
“Jo Ye Chahe Ki Uski Rozi Bad Jaye Aur Uski Umar Lambi Ho Jaye Usey Chahiye Ki Sila Rehmi (Rishteydaron Ke Saath Achcha Sulooq) Karey.”
-: (Sahih Bukhari, Vol 7, 5985)

Dua : Insha Allah !! Allah Taala Hume Parhne Sun’ne Se Jyada Amal Ki Toufiq De Aameen Summa Aameen

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm