» Mahfum-e-Hadees: Abdullah-Bin-Mas’ud (Razi’Allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“Koi Aurat Kisi Aurat Se Mil Kar Apne Shohar Se Uska
(Parayi Aurat Ka) Huliya Na Bayan Kare Goya Ke Wo Usey Daikh Raha Hai”.
– (Sahih Bukhari : Hadith 5241)
• Wajahat: Matlab Iss Baat Ka Darr Hai Ke Kahi Shohar Uss Aurat Ka Hulya Sun Kar Uss Ki Taraf Mayeel Na Ho Jaye Ya Uss Ke Fitne Me Mubtela Na Hojaye.
Yaad Rahe! Biwi Kabhi Shohar Se Kisi Gair Mard Ya Aurat Ki Tareef Na Kare
Aur Na Shohar Biwi Se Kisi Gair Aurat Ya Mard Ki Tareef Kare.
Agar Aisa Kiya Tou Miya Biwi Me Shaq, Hasad, Nafrat, Dushmani, Saari Buraiya Paida Ho Jati Hai,
Jis Ka Anzam Talaaq Ya Qala Hota Hai.
Latest posts by Noor Saba (see all)
- शब ए बारात की रात में क्या पढ़े | 2022 शब ए बरात का रोज़ा कब रखते है | - 7th March 2022
- Shab-E-Barat Ki Fazilat (शाबान बरक़त वाली रात) - 5th March 2022
- शब ए बारात की नमाज और सलामत तस्बीह (हिंदी) - 5th March 2022