Islamic Blog

Arfa Ka Roza

Huzoor Nabi e Kareem Sallallaho Alaihi
Wasallam se Youm e Arfa (9th Zil Hajj)
ka Roza rakhne k bare me poocha gaya
to Huzoor Sallallaho Alaihi Wa sallam
ne farmaya
9 ZIL HAJJ KA ROZA PICHLE AUR AGLE
SAAL K GUNAH MITA DETA HAI
(Sahih Muslim Shareef – Kitab us
Siyaam – Hadees Sharif No. 1162)

 

ARFA KE DIN ROZA RAKHNE KA SAWAB

🔶Hazrate Sayyaduna Abu Katada Radi Allaho Ta’ala Anho Farmate he ki Rasoolallah Salallaho Taala Alaihi Wassalam se Arfa (yani 9 zul hijja) ke din ke bare me suwal kiya Gaya To Aap salallaho alaihi wa sallam ne Farmaya

” Yeh Roza Agle Pichle Ek Ek Saal Ke Gunaho Ko Mita Deta He ”

🔶Jab ki Ek Riwayat me Hai ki

” Mujhe ALLAH se Umeed He Ki Ar’faa Ka Roza Agle Aur Pichle Ek Ek Saal Ke Gunaho Ko Mita Deta He ”

🔶Hazrate Sayyaduna Sehal Bin Sa’ad Radi Allaho Ta’ala Anho Se Riwayat He Ki ALLAH ke Mehboob Muhammad Mustafa صلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم ne Farmaya

” Jo Ar-faa ke Din Roza Rakh Ta he Us Ke Pe Dar Pe Do Saalo Ke Gunah Muaaf Kar Diye Jate He ”

🔶Hazrate Sayyaduna Saeid bin Jabir Radi Allaho Ta’ala Anho Farmate He Ki Ek Saksh ne Hazrat Sayyaduna Abdullah Ibn E Umar Radi Allaho Ta’ala Anho Se Ar-faa ke Din Roza Rakhne Ke Bare Me Suwal Kiya To Aap Radi Allaho Ta’ala Anho Ne Farmaya

” Hum Yeh Roza Rakha Karte The Aur Rasoolallah Salallaho Taala Alaihi Wassalam ki Hayat E Zahiri Me Hum Ise Do Saal ke Rozo ke Barabar Samaj The ”

🔶Hazrate Masrook Radi Allaho Ta’ala Anho Farmate He Ki Me Ne Ar-faa ke Din Ummul Momineen Sayyedah Aishah Siddiqah رضی اللہ تعالٰی عنہما ki Khidmat me Hazir Ho Kar Arz Kiya Ki ” Mujhe Pine Ke Liye Kuch Dijiye

” Toh Ummul Momineen رضی اللہ تعالٰی عنہما Ne Farmaya ” Ae Ladke Ise Sehad Pilao ” Fir Daryaft Farmaya ” Ai Masrook ! Tum Ne Rozo Nahi Rakha? ”

Toh Me Ne Arz Kiya Nahi Mujhe khof Huwa Ki Kahi Aaj eid ul Azha Ka Din Na Ho

🔶Toh Ummul Momineen رضی اللہ تعالٰی عنہما Ne Farmaya Ar-faa To Woh din He Jis Din Hakeem E Islam Kisi Ko Ameer E Hajj Mukarrar Kare Aur Qurbaani Ka Din Woh He Jis Din Hakeem E Islam Qurbaani Kare Fir Farmaya Ae Masrook Kya Tum Ne Nahi Suna Ki RasoolAllah Salallaho Taala Alaihi Wassalam Ar-faa Ke Roze ko Ek Hazar Din Ke Barabar Samajte The

🔶Ek Aur Riwayat me He Ki Ummul Momineen Sayyedah Aishah Siddiqah رضی اللہ تعالٰی عنہما Ne Farmaya Ki Rasool ﷺ Farmaya Karte The Ki Ar’faa ka Roza Ek Hazar Din Ke Rozo Ke Barabar He.

📚Kitaab– Jannat Me Le Jane Wale Aamal,
Safa No- 277–278
Hadees No 750,751,752,754.

Arfa ki Raat Ki Khaas Namaz:

Waqt: Tahajjud
Raka’at: 4 (2, 2 karke)
Fazilat: Namaaz Padhnewale ko Hajje Baithullah aur Huzure Paak ke Roze ki Ziyarath karne wale ke baraabar sawaab milega
Tarkeeb: Har raka’at me
1 baar Surah Fateha
3 baar Aayatul kursi
3 baar qulhu wallahu ahad
1 baar qul auzu bi rabbil falaq
1 baar qul auzu bi rabbin naas
padhkar ye dua padhe
SUBHANA ZIL IZZATI WAL JABAROOT
SUBHANA ZIL QUDRATI WA LIL MALAKOOT
SUBHANAL HAYYIL LAZI LAA YAMUT
SUBHANALLAHI RABBIL IBAADI WAL BILAAD
WAL HAMDULILLAHI KASEERAN TAYYABAN MUBARAKAN ALA KULLI HAAL
ALLAHU AKBAR KABIRAH
RABBANA JALLE JALAALAHU WA QUDRATAHU BI KULLI MAKAAN

agar ye nahi tou jo bhi jaayaz dua karenge qubool hogi

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)