Asar Kee Namaz Kaa waqt
Din kee namazon mai tisri namaz asar kee namaz hai, iss kaa waqt zohar ke waqt ke end hone ke baad start hota hai, yani har cheez shadow yaa saya double hoo jane ke baad shuru hota hai, aur sunset yani suraj doobne ke baad end hoo jata hai, agar uss ke main waqt ke end hone ke baat Karen too wah sunset se 15 ya 20 minutes pahle tak hai, is ke baad agar koi asar kee namaz padhta hai to uss kee namaz to ho jaye gi lekin makrooh hogi.
Asar kee namaz kee fazilat
Asr kee namaz kee sab se badi fazilat yah hai kee khud allah tala ne iss koo padhne ke liye bahut zoor dia hai, Sure Baqrah kee ek aayat mai hai:
tamaam namazon kee pabandi karo aur khas taur par beech wali namaz kee
AL Baqarah: 238
Explaination: Is aayat mai beech wali namaz se murad Asr kee namaz hai, asar ka waqt aisa hota hai kee har aadmi iss waqt kaam mai busy hota market mai iss waqt zada rush hota hai, har aadmi kharidne bechne mai laga rahta hai, too uss waqt namaz chhutne kaa zada chance hota hai, iss liye allah tala ne iss namaaz kee takeed kee marketing ke chakkar mai kahin asar kee namaz chhor mat dena.
Asar kee namaz kee rakat aur un ke padhne kaa tarika
Asar kee namaaz mai total 8 rakats hain: 4 rakat Sunnat e Gair Muakkada, aur 4 rakat farz.
Pahle 4 rakat Sunnat padhe, uss ka tarika jan ne ke liye niche diye gaye link par click karke padh le
Uss ke baad 4 rakat farz kee niyat kare, pahli rakat mai Sana, Taauz, Tasmiah aur Alhamdu ke baad koyi surat vi padhe.
Dosri rakat mai sirf Alhamdu aur surat padh kar Qada Ula kare.
aur tisree aur chauthi rakat mai sirf Alhamdu yani Sure Fatiha padhe. aur Qada Akhira kar ke salam pher de.
Asr Kee Namaz mai Padhi Jane Wali Surten
Asr kee namaz mai surat se related masnoon tariqa Ausaat e Mufassal kai surten hain, yah Amma Para mai “Wassamai Wattariq” se “Lam yakunil lazina kafaru” ke beech kee surten hain, yaad na hone par quran kee tarteeb se koi bhi surat padh sakte hain.
Asr kee Namaz se Related Masle
Asr kee namaz pdhne ke baad koi Sunnat yaa nafal namaz nahi padhni chahiye.
Asr ke baad Qaza namaz padh sakte hai.
Asr kee farz se pahle Nafal Namaz padh sakte hai.
Asr ki farz padhne ke baad duaa mangne se pahle Tasbeeh e Fatimi yani: Subhanallah 33 bar, Alhamdulillah 33 bar, aur Allahu Akbar 34 bar padhna Sunnat hai.
Source:dinkidawat
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)
- Shab E Barat Kya Hai - 5th March 2022
- Health Tips Hindi - 4th January 2021
- Ramadan Hadith - 4th January 2021