Rasool Allah ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya: ‘Jo shaqs Asr se pehle 4 rakat (sunnat) padhe, Allah is par rahmat kare.’
(Tirmizee: al Salah 430 – Abu Dawood: Abwab al Tatwoo 1271) Ise Imam Ibne Khuzaima, Imam Ibne Hibban aur Imam Nawavi ne Saheeh kaha.
Namaz Asr se pahle char rakat (sunnat) namaz ada karne wala shaks RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ki dua apne hisse me sametna hai aur Nabi ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ka amal mubarak bhi yahi tha ki Aap Asr ki farz namaz se pahle char rakat (do-do kar ke) ada farmate:
Ali r.a. se riwayat hai Rasool Allah ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм Asr se pehle 4 rakat padhte the aur 2 rakat ke baad tasshahud aur dua padh kar salam pherte the.
(Tirmizee: 429) Imam Tirmizee ne Hasan kaha.
Allah se dua hai ki wo hame is sunnat ko kasrat se padhne ki taufeek ata kare. aameen.
- Allah subhanahu se Magfirat aur Aafyiat manga karo kyuki - 14th June 2017
- Sajda e Tilawat ki dua - 14th June 2017
- Bewaon aur miskeenon ke kaam aaney wala - 14th June 2017