Islamic Blog

Ek Roz Ek Aurat Hazrat Sayyadina Gaus-A-Aazam Rehmatullah Ta’aala Alaihi Ki Khidmat-A-Aqdas May Haazir Hui Aur Arz Kiya Ki Hazrat Dua Farmayen Ki ALLAH-TA’AALA Mujhe Aulaad Ata Kare! To Aapne Mukaarba Farmaker Loh-A-Mehfuz Ka Mushahida Kiya To Us Aurat Ki Taqdeer May Aulaad Nahi Likhi Thi! Fir Aapne 2 Beton Ki Dua Ki! Nida Aayi Ki Loh-A-Mehfuz May Ek Bhi Nahi Likhi Hui Hain Aur Aap 2 Keliye Keh Rahe Hain! Aapne 3 Beton Keliye Dua Ki, Fir Wahi Jawab Mila, Isi Tarah Aapne 7 Beton Ki Dua Ki To Yeh Bisharat (Khush-Khabri) Mili Ki Is Aurat Ko Aapki Dua Se 7 Bete Ata Hoge!

(Tafrihul Khaatir, Pg-94)

************************
TASHRIH No.1:-
****************
Is Karamat Se Malum Hua Ki Aap Taqdeer Mubram (Atal) Ko Bhi Badal Dete Hain!

TASHRIH No.2:-
****************
Is Karamat Se Aapke Makaam-A-Mehbubiyat Ka Zahoor Hota Hain, Kyonki Jab Taqdeer May Ek Bhi Na Ho, 2 Ka Mutaalba Karna Aur 2 Se Badaate Hue 7 Tak Le Jana Jabtak Kabuliyat Ki Khush-Khabri Na Mile, Shaan-A-Mehbubiyat Nahi To Aur Kya Hain? Agar 7 Per Bhi Khush-Khabri Na Milti To Na Jane Aap Kahan Tak Badaate!

TASHRIH No.3:-
****************
Aulaad Ka Dena Ya Na Dena Haq-Ta’aala Hi Ka Kaam Hain Bande Ka Nahi! Lekin Sayyadina Gaus-A-Aazam Rehmatullah Ta’aala Alaihi, ALLAH-TA’AALA Se Leker Hi Dete Hain Khud To Nahi Dete, Isliye Yeh Aqida Bilkul Thik Hain!
***********************

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm