Islamic Blog

Aulaad ka hona ek nemat hai aur is nemat se kabhi kabhi insaan mahroom rah jaata hai,aisa nahin hai ki iske liye mard ya aurad zimmedaar hi hon balki ye sab rub ki marzi par hai jaisa ki aapne suna hi hoga ki huzoor sallallaho taala alaihi wasallam ki 11 biwiyan thi magar 2 ko chhodkar kisi se aapko aulaad nahin huyi iska ye matlab nahin ki maaz ALLAH unki biwiyon me koi nuks tha balki wahi rub ki marzi nahin thi,aur jab kisi ko dena chahta hai to insaan ka khayal bhi wahan nahin pahunch sakta jaisa ki jab hazrat ishaaq alaihissalam paida hue to hazrat ibraheem alaihissalam ki umr 120 saal aur hazrate saara raziyallahu taala anha ki umr 99 saal thi,to kabhi kabhi bina kisi kami ke bhi insaan aulaad se mahroom ho sakta hai behtar hai ki ALLAH ki hikmat par bharosa rakhen ki wo jo karta hai achchha karta hai insaan apni koshish jaari rakhe yaani dua karta rahe
Aulaad na hone ki ye wajahein ho sakti hai
! Mard ki mani me bachche paida karne waale keede hi na hon ya hon magar kamzor hon aisa maaz ALLAH haath se mani nikaalne ya kisi bimari ke sabab bhi aisa ho sakta hai
! Aurat ki bachche daani ka munh band ho ya phir uske bachche daani me bhi ova yaani keede na hon
Kami kisme hai ye jaanne ke liye dono apni apni mani alag alag paani me daalein jiski mani paani ki tah tak na jaaye yaani ghul jaaye ya tair jaaye to asl ilaj ki zarurat usko hai,agar mard ke andar kami hai to hamdard ke dawakhne se REX company ka maajoon mughalliz jawahir laakar istemal kare saath hi sohbat me etedaal ko malhooz rakhe,aurat ke haiz yaani period ki muddat kam se kam 3 din aur zyada se zyada 10 din hoti hai to agar usko har mahine waqt muqarrah par haiz aata hai to use baanjh nahin kaha ja sakta,ek do din aage peechhe ho sakta hai to aise me bachcha na hone ki koi doosri wajah hogi,zail me is baare me kuchh tahreer karta hoon agar kisi ko isse faayda pahunche to mujh gunahgaar ko apni duaon me yaad rakhen
* Ek shakhs huzoor sallallaho taala alaihi wasallam ki baargah me aakar apni be aulaadi ki shikayat ki to aapne use farmaya ki ande khaya karo 1f4d5📕Karinaye zindagi,safah 197
* Jumerat ke din aurat roza rakhe aur jitna doodh peit bharkar pee sakti ho utne par surah muzammil sharif 7 martaba padhkar dum kare aur isi se aftaar kare agar doodh hazam ho gaya to in sha ALLAH hamal thahrega aur agar nahin hazam hua ALLAH na kare to phir sabr kare aur dua karti rahe,behtar hai ki aurat padhe lekin agar sahi makhraj se na padh sakti ho to kisi haafiz se padhwakar doodh par dum karwaye
1f4d5📕 Shamye shabistane raza,hissa 1,safah 31
* Agar aurat ko hamal na thaharta ho ya baanjh bhi ho tab bhi 7 din roza rakhe aftar ke waqt paani par 21 baar YA MUSAWWERO يا مصور padhkar dum kare aur isi se aftaar kare in sha ALLAH hamal rukega,doosra ye ki miyan biwi sohbat se pahle 10 baar YA MUTAKABBERO يا متكبر padha karen 1f4d5📕 Solah surah,safah 214
* Ye dua hazrat zakariya alaihissalam ki hai jabki aap boodhe ho chuke the aur aapki biwi baanjh magar iske ba wajood bhi maula ne aapko hazrat yahya alaihissalam ki basharat di,isliye har namaz ke baad mard wa aurat dono kam se kam 3 martaba awwal aakhir 3,3 baar durood sharif padhen RABBI LA TAZARNI FARDAU’N WA ANTA KHAIRUL WAARESEEN رب لاتذرني فردا وانت خير الوارثين ,bahut behtar hai ki iske alawa aurat ek waqt muqarrar karke bawuzu qibla ru do zaanu hokar 100 baar aur mard kisi wali ke aastane me haaziri de aur 100 martaba dil se wahan ye dua padhe aur uske waseele se dua kare
1f4d5📕 Masayelul quran,safah 282
* Har waqt wuzu be wuzu YA SALAAMO يا سلام ka wird karna bhi bahut mufeed hai
1f4d5📕 Ruhani ilaj,safah 200
* Agar aurat ki la ilmi me use ghodi ka doodh pila diya jaaye aur shauhar 1 ghante baad usse qurbat kare to in sha ALLAH hamal thahrega
1f4d5📕 Mujarbate suyuti,safah 188
* Aurat askand nagauri baareek peeskar chaankar rozana 1,2 darham gaaye ke doodh ke saath shru haiz se khaati rahe aur paak hone ke baad shauhar usse qurbat kare hamal rahega
1f4d5📕 Ilajul gurba,safah 143
Parhez – zyada garm cheez,khatta,mirch masala,baadi khaane se bachen
Giza – shorba,halki roti,arhar,moong, lauki,turayi, bhindi,paalak wagairah

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm