Maan ki goad go us bachey ka haq bhi aur us ki asal jagah bhi hey .
Bachey ko maan ki :
Taleem
Profession
Jobs
So called social comitments ki wajah sey
BACHEY ko Is MAAN ki goad sey mehroom na karein
Aaj above reasons ki wajah sey mothers apney bachoon ko:
Maids
Grandmothers
Day care centres
Key hawaley kar deyti hein
Yeh sab
Aulaad ki haq talfi hey ,
Unkey saath zulm aur
Apney faraiz ki kotahi hey.
MAIDS:
Yaad rakhein bachey ki 30% personality zindagi key pehley 3 years mein bun jati hey .
Is waqt agar aik highly educated maan apna carier persue karney ki wajah sey us baby ko aik illiterate maid key pass dump kar gaey tou us bachey ko maan ki education ka advantage nahin balkeh ulta disadvantage ho ga .
Woh maaein jo apni aulaadoon ko maids key pas choor kar apna future banati phirti hein woh phir ready rahein keh unki aulaadein bhi phor unki old age mein unko male ya female nurses hi key hawaley karein gi.
GRANDMOTHERS:
Yaad rakhein yeh baby jis maan ki reham mein pala hey us hi ki zimadari hey
Apni auladoon ko apni maan ( nani) ya saas ( dadi) key hawaley kar key khud kamayoon par lag jana yeh grandmother aur baby dono par ziyadzati hey
Grandmothers apney bachey pal kar apney faraz adad kar chuki hein
Is old age mein unko aik chala hoya ghar aur looked aftered grandchildren sirf khailney aur entertainment key leay chaheay.
Na keh unparbis age aur weak halat mein babies ki duty bhi dali gaey aur phir unko jhirka bhi jaey .
DAY CARE CENTRES: yeh west ki لعنت aaj yahan bhi import ho gaey hey
Day care centres mein dump karney wali mothers mentally tayyaar rahein keh unki auladein unko OLD HOMES mein dump na kar dein .
Duniya ka asool raha hey jeysa karo gey weysa bharo gey
Khatoon apney husband ki absence mein apney ghar ki راعية hooti hein is
Leay unko apni aulaad ki nigraani , hifazat, taleem aur tarbiyat khud karni chaheay.
Quran mein khawateen ko hukam hey :
” وقرن في بيوتكن”
Apney gharoon mein tikk kar waqar sey beythi rahoo
Hadees , Sahih Bukhari:
” Narrated `Abdullah: Allah’s Apostle SAW said, “Everyone of you is a guardian and is responsible for his charges. The ruler who has authority over people, is a guardian and is responsible for them, a man is a guardian of his family and is responsible for them; a woman is a guardian of her husband’s house and children and is responsible for them; a slave (‘Abu) is a guardian of his master’s property and is responsible for it; so all of you are guardians and are responsible for your charges.”
2416 – حدثنا مسدد: حدثنا يحيى، عن عبيد الله قال: حدثني نافع، عن عبد الله رضي الله عنه: أن رسول الله صلى الله عليه وسلم قال: (كلكم راع فمسؤول عن رعيته، فالأمير الذي على الناس راع وهو مسؤول عنهم، والرجل راع على أهل بيته وهو مسؤول عنهم، والمرأة راعية على بيت بعلها وولده، وهي مسؤولة عنهم، والعبد راع على مال سيده وهو مسؤول عنه، ألا فكلكم راع وكلكم مسؤول عن رعيته).
Allah ham sab maaoon ko apney Faraiz jaan kar unko ahsan tareekey sey aada karney ki taufeeq aata farmaey . Aameen .
- शब ए बारात की रात में क्या पढ़े | 2022 शब ए बरात का रोज़ा कब रखते है | - 7th March 2022
- Shab-E-Barat Ki Fazilat (शाबान बरक़त वाली रात) - 5th March 2022
- शब ए बारात की नमाज और सलामत तस्बीह (हिंदी) - 5th March 2022