Jab Baccha bolna shuru kare toh sab se pahele use Qalma Shariff sikhayen,
Baccho ke saamne aisi harkaten na kare ki jisse
baccho ke akhlaaq kharab ho kyun ki baccho mai naql karne ki adat hoti hai, Woh joh kuch apne Maa Aur Baap ko karte huwe dekhte hai woh khud bhi yahi sikhte hai aur karte hain,
Isliye unke saamne acchi baate kahen, Namaaz
padhen, Quraan e Pak ki tilawat wagaira jaise nek kaam karen sach bolen taaki yeh sab dekh kar bacche bhi aisa sikhen aur karen,
Maa Baap ka farz hai ki apni aulaad ki taleem wa tarbiyat ke baare mai apni zimmedari ka khaas khayal rakhen,
Duniyawi taleem se pahele ya saath saath islami taleem wa sharai adaab bhi sikhayen, Agar Maa Baap ismai jara bhi kotahi karenge toh Qayamat ke roz aulaad he nahi balki Maa Baap bhi pakde jayenge,
Quraan e Pak: Tarzuma Kanjul Imaan, “Aye Imaan walo, Apni jaanon aur apne ghar walo
ko us aag se bachao jiska edhan aadmi aur patthar hain” (28-19-6)
Hadees e Pak:
Huzur Salallahu Alai Wassalam irshad farmate
hain “Koi baap apni aulaad ko usse behtar tohfa nahi de sakta ki woh usko acchi talim
de” (Tirmizi)
Baccho se muhabbat karna Sunnat e Rasool Allah Salallahu Alai Wassallam, hai agar ek se jyada bache hon toh sab ke saath barabari aur insaaf ka suluk karen chahe woh ladka ho ya ladki,
Hadees e Pak:
Huzur Salallahu Alai Wassalam irshad farmate
hain “ALLAH T’AALA pasand karta hai ki tum apni aulaad ke darmiyan adl (barabari wa insaaf) karo yahan tak ki unka bosa lene mai bhi barabari rakkho” (kanoon e shariat)
Aulaad ke huquq mai sabse ahem yeh hai ki unhe halal kamayi se khilayen, haraam ki kamayi se khudko aur apni aulaad ko bhi bachayen taaki aulaad na farman naho………..
- मिसवाक के फायदे | मिस्वाक | Miswak Benefits - 9th April 2021
- BANGALORE RAMADAN TIMING 2021 - 8th April 2021
- HYDERABAD RAMADAN TIMING 2021 - 8th April 2021