Islamic Blog

Bismillahirrahmanirrahim

✦ Mafhum-e-Hadith: Aulad ke Astagfar karne se marhum waldein ke darje buland hote hain
——————
✦ Abu hurairah radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya jannat mein mard ka darja buland kar diya jata hai to wo arz karta hai ye kaise hua irshad hota hai ki tumhare Aulad ke tumhare haq mein astigfar ke sabab.
Sunan Ibn majah, Jild 3, 541-Hasan

✦ Ayesha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki ek shaksh aaya aur usney Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam se pucha ki meri Maa achanak mar gayee aur waseeyat na kar saki, agar wo bolti to jarur sadqa deti, ab agar main Uski taraf se sadqa du to kya usey Sawab hai ? Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya HAAN
Sahih Muslim, Vol 3, 2326

✦ Note: is hadith se ye sabit hota hai ki neik aulad marne ke baad sadqa e jariya hoti hai aur wo agar apne maa baap ke liye astagfar ya sadqa bhi karti hai to unke maa baap ko iska sawab pahuchta hai

—————————–

✦ Abu Hurairah Radi allahu anhu that Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam Said “A man is raised in status in Paradise and he says: Where did this come from?’ And it will be said:’From your son’s praying for forgiveness(doing astigfar) for you.
Sunan Ibn majah, Book 33, Hadith 3660-Hasan

✦ Aisha Radi Allahu Anha said that A person came to the Apostle of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam and said: My mother died suddenly without having made any will. I think she would have definitely given Sadaqa if she had been able to speak. Would she have a reward if I gave Sadaqa on her behalf? He Sallallahu Alaihi Wasallam said: Yes.
Sahih Muslim, Book 005, Number 2196

Asalam-o-alaikum , Hi i am noor saba from Jharkhand ranchi i am very passionate about blogging and websites. i loves creating and writing blogs hope you will like my post khuda hafeez Dua me yaad rakhna.
mm