Wali ka ma’ana hai Dost.
›› Auliya Allāh ALLĀH ta’ala ke wo Mo’min Saalih Muqaddas bande hote hain jo Rab ke mehboob aur muqarrab o waasil wa pasandeeda hote hain jin ko ma’arifat e ilāhi aur qurb e ilāhi ka ek khaas darja mila hai.
******************
›› Wilaayat ki 3 qisme hain :
[1] Wilaayat e Fitri – Jo paida’ishi wali Allāh hote hain.
[2] Wilaayat e Kasabi – Jo apni ibaadat, riyaazat aur zohado taqwa se Allāh ke wali bante hain.
[3] Wilaayat e Wahabi (Ataai) – Jo kisi ki dua se wali Allāh bante hain (Kisi Wali Allāh ki ya Ahle bait /Aal e Rasool ki ya Peer ki ya Waalidain ki dua se).
******************
›› Auliya Allāh har zamaane me hote hain aur qayaamat tak hote rahenge.
›› Ba’az Auliya Allāh Wilaadat (paida’ish) se hi zaahir hote hain, ba’az kuchh arse ke ba’ad aur ba’az wisaal (dunya se parda farmaane) ke baad zaahir hote hain.
›› Wilaayat ke bahot se Darjaat hote hain :
Maslan Ghaus, Qutub, Nuqaba, Awtaad, Abraar, Abdaal aur Akhyaar.
Ghaus Wilaayat ka sab se a’ala darja hai. ALLĀH ta’ala jise Ghaus ke liye muntakhab karta hai wo paida’ishi Wali hota hai aur Ghaus e zamaan par ALLĀH ka fazl e khaas aur Huzoor Sarwar e kaa’inaat Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam aur Hazrat Maula e kaa’inaat Ali Murtaza radiy-Allāhu ta’ala anhu ka faiz e khaas hamesha jaari hota hai.
›› Dunya me 1 Ghaus, 3 Qutub, 3 Nuqaba, 4 Awtaad, 7 Abraar, 40 Abdaal aur 300 Akhyaar hote hain.
Jab Ghaus ka wisaal hota hai to ALLĀH ta’ala Qutub me se kisi ek ko Ghaus banaata hai. Jab kisi Qutub ka wisaal hota hai to Nuqaba me se kisi ek ko Qutub banaata hai. Jab kisi Nuqaba ka wisaal hota hai to kisi Awtaad ko Nuqaba banaata hai. Jab kisi Awtaad ka wisaal hota hai to Abraar me se kisi ek ko Awtaad me banaata hai. Jab kisi Abraar ka wisaal hota hai to Abdaal me kisi ek ko Abraar banaata hai. Jab kisi Abdaal ka wisaal hota hai to Akyaar me se kisi ek ko Abdaal banaata hai aur Jab kisi Akhyaar ka wisaal hota hai ya us to ALLĀH ta’ala kisi Mo’min Saaleh ko Akhyaar banaata hai.
Aur in ki muqarrar ta’adaad utni hi rehti hai.
›› Har ilaaqe ke Abdaal ki kuchh khaas zimmedaari hoti hai jaise Baarish barsaana, Rizq taqseem karna aur Balaao ko door karna.
›› Kai Auliya pahaado me ya jangalo me posheeda rehkar sirf ibaadat wa riyaazat me masroof rehte hain inhe ‘Rizaal ul Ghaib’ kehte hain.
******************
Auliya Allāh ke fazaa’il :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) Qur’an :
10 Surah al-Younus, Aayat 62-63-65 :
أَلَا إِنَّ أَوْلِيَاءَ اللَّهِ لَا خَوْفٌ عَلَيْهِمْ وَلَا هُمْ يَحْزَنُونَ
الَّذِينَ آمَنُوا وَكَانُوا يَتَّقُونَ
لَهُمُ الْبُشْرَىٰ فِي الْحَيَاةِ الدُّنْيَا وَفِي الْآخِرَةِ ۚ لَا تَبْدِيلَ لِكَلِمَاتِ اللَّهِ ۚ ذَٰلِكَ هُوَ الْفَوْزُ الْعَظِيمُ
Khabardaar sun lo beshak jo ALLĀH ke dost hote hain un ko na to koi khauf hota hai aur na koi gham hota hai.
Wo log jo eimaan laaye aur (hamesha) taqwa par rahe.
Un ke liye duniya ki zindagi me (izzat wa kaamyabi ki) khush-khabari hai aur aakhirat me bhi (maghfirat wa shafa’at ki).
(2) Qur’an :
16 Sural al-Nahl, Aayat 128 :
Beshak ALLĀH (apni ma’asiyat e khaas se) un logo ke saath hai jo Taqwa waale ho aur wo log jo Ehsaan (aur Ikhlaas) waale ho.
(3) Hadees e Qudsi :
ALLĀH ta’ala farmaata hai :
‘Jis ne mere kisi Wali se dushmani ki main us se elaan e jang karta hu.’
(Bukhari, Jild -5, Hadees -2384;
Sunan Ibne Maajah, Kitaab-ul-Fitan, Hadees -3989)
(4) Hadees e Nabawi :
Wali woh hai jis (ki surat) ko dekhna tumhe ALLĀH ki yaad dilaaye, Jis ki guftagu Ilm me izaafa kare, Aur jis ke amal aakhirat ki yaad dilaye.
(5) Hadees e Nabawi :
Hazrat Abdullāh bin Umar radiy-Allāhu ta’ala anhu se riwaayat hai ki :
Huzoor Nabi e kareem sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya,
‘Beshak ALLĀH ta’ala ke kuchh khaas bande aise hain ke ALLĀH ta’ala ne unhe makhlooq ki haajat rawaai ke liye khaas farmaaya hai. Log apni haajaten un ke paas lekar aate hain (aur wo un ki haajat rawaai karte hain). ALLĀH ta’ala ke wo khaas bande azaab e Ilāhi se amaan me hain.’
(6) Hadees e Nabawi :
Huzoore akram Nabi e kareem sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya ki
‘Jab tum me se kisi ki sawaari jangal me chhut jaaye ya koi cheez kho jaaye to is tarah pukaarna chaahiye, ‘Aainooni Ya Ibaad-Allāh ya’ni Aye ALLĀH ke bando, meri madad karo’,
Aisa 3 baar kahe.
Kyun ki ALLĀH ke bahot se aise bande is zameen par hote hain, Jo tumhari madad karenge.”
(Tibraani Kabeer, Hadees -105 18;
Fatah-ul qadir, Jild – 1, Safa -92)
(7) Hadees e Nabawi :
Hazrate Umar Faarooq radiy-Allāhu ta’ala anhu riwaayat hai :
Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya,
‘ALLĀH ke kuchh bande aise honge jo na Nabi honge aur na Shohada honge; Magar roze mehashar un ke buland maqaam ko dekh kar Nabi bhi rashk karenge aur Shohada bhi rashk karenge.’
Asahaaba ne arz kiya : ‘ Ya Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam, Hume bata den, wo kaun log honge?’
Aap sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya, ‘Yeh wo log hain jo ALLĀH ke liye ek dusre se mohabbat karte hain. ALLĀH ki qasam un ke chehre 14wi raat ke chaand ki tarah chamak rahe honge aur wo noor ke mimbaron par baithe honge. Us din jab log khaufzada honge unhe koi khauf na hoga aur jab us din log ghamzada honge unhe koi gham na hoga.’
Phir Aap sallallāhu alaihi wa sallam ne yeh Aayat Tilaawat ki –
أَلَا إِنَّ أَوْلِيَاءَ اللَّهِ لَا خَوْفٌ عَلَيْهِمْ وَلَا هُمْ يَحْزَنُونَ
(Qur’an :
10 Surah al-Younus, Aayat 62)
‘Khabardaar sun lo beshak jo ALLĀH ke dost hote hain un ko na to koi khauf hota hai aur na koi gham hota hai.’
(Abu Daawūd, Jild -3, Safa -288, Hadees -3527)
(8) Hadees e Nabawi :
Ek baar Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya,
‘ALLĀH ta’ala ne meri ummat me 70,000 afraad aise ata farmaaye hain jo bagair hisaab o kitaab ke Jannat me daakhil honge.’
Ye sunkar ek sahaabi ne aage aaye aur arz kiya ‘Ya Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam, Aap ne ALLĀH ta’ala se majeed na maanga?’
Aap ne aage farmaaya ‘Wo har aik apne saath 70-70 hazaar logo ko Jannat me leke jaayenge.’
(Sahih Bukhari, Jild -11, Kitaab-ul-Raqaia, Safa 416;
Sahih Muslim, Jild -1, Kitaab-ul-Eimaan, Safa -198)
********************
Auliya Allāh ki khubiya (khaslaten) :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) ALLĀH ta’ala apne auliya ko khaas khubiya ata farmata hai.
Un ke chehre par aisa Noor ata farmata hai ke dekhne wale keh deta hai ‘Maasha Allāh’ aur un ka kalaam (guftagu) sunne wale keh dete hai ‘Subhān Allāh’ aur un ke amal dekhkar logo ko apne gunaaho se tauba karne ki taufiq milti hai.
(2) Auliya Allāh Mo’min Saaleh bande hote hain.
Un ke Aqeede aur amal sahih aur nek hote hain.
Wo Ikhlaas ke saath Raza e Ilāhi ke liye nek amal karte hain.
Wo har amal Khushu’ aur Khuzu’ ke saath karte hain.
Wo Riya (dikhaawa) aur Takabbur se paak hote hain.
Unhe Shoharat ki laalach nahi hoti.
Wo Ta’azeem e Rasool aur Ita’at wa Iteeba e Rasool karke mukammal ishq e Rasool ka saboot paish karte hain.
Wo Farz amal ada karne ke saath nawaafil ki kasrat karte hain.
Zyada waqt Ibaadat o Riyaazat, Zikr e ilaahi, Tilawaat e Qur’an aur Durood o Salaam padhne me guzaarte hain.
Un ko ALLĀH ta’ala gunaaho se bachne ki taufiq ata farmaata hai.
Wo hamesha Taqwa (parhezgaari) ikhtiyaar karte hain aur khufe khuda se gunaah se bachte hain.
Wo Zohad ikhtiyaar karte hain aur hamesha ALLĀH ki raza ke liye aur aakhirat ke liye dunya (ke maal wa daulat) se mohabbat wa raghbat nahi rakhte.
Wo Kam bolna Hikmat samajhte hai, Kam khaana Sehat samajhte hai, Kam sona Ibaadat samajhte hai, Aur logo se kam milna Aafiyat samajhte hai.
(3) Auliya Allāh Saadgi aur Faqr pasand farmaate hain. Wo Tawakkal aur Qana’at waale hote hain aur har haal me ALLĀH ka Shukr aur Sabr karte hain.
Wo kisi makhlooq ke mohtaaj nahi hote.
Hamesha sirf ALLĀH ta’ala se maangte hain aur logo ko ata karte rehte hain.
Aur ALLĀH ki ata par raazi rehte hain.
Unhe na dunyaawi cheezo ya logo ka khauf hota hai aur na in cheezo ki laalach hoti hai aur na dunyaawi nuqsaan ka ranj o gham hota hai.
(4) ALLĀH ta’ala unhe itna ilm ata farmaata hai ki jis se wo Halaal wa Haraam aur Jaa’iz wa Na-jaa’iz ki pehchaan rakhte hain aur hamesha haraam wa na-jaa’iz se bachte hai.
(5) ALLĀH ta’ala un ke zariye logo ko hidaayat ata farmata hai aur wo logo ki islaah karte hain. Kaafiro ko Musalman banaata hai aur Gunaahgaaro ko Nek banata hai aur Mo’mino ko Wali banaata hai.
Wo ALLĀH ke ata kiye gaye ilm wa hikmat se aur apne amal aur naseehat se islaam ki isha’at aur hifaazat karte hain.
(6) ALLĀH ta’ala un ke waseele se humari duayen jaldi qubool farmaata hai aur hamare liye behtar hai wo ata farmata hai aur jo un se madad ke liye Istegasah karte hain un ko un ke liye jo behtar hai wo ALLĀH se ata farmate hain.
ALLĀH ta’ala unhe Quwwat ata farmaata hai ke jab koi un se nisbat rakhne wala un ko madad ke liye pukaarta hai ya dil me yaad karta hai wo qareeb ho ya door Auliya Allāh us ki madad farmaate hain. Isi tarah baad e wisaal bhi wo madad farmaate hain.
Un ki dua me aisa asar hota hai ki wo jis ke liye dua e khair karte hain ALLĀH ta’ala use khair o barkat ata farmaata hai.
(7) Is ke ilaawa un me Haya, Adab, Tahaarat, Saadgi, Halaal rizq, Sadaaqat, Amaanatdaari, Husn e akhlaaq, Husn e Sulook wa kirdaar, Khush-mizaazi, Narmi, Sakhaawat aur Sila rehmi jaisi khaslaten majood hoti hain.
(8) Jis shakhs me 3 khaslaten hoti hai wo ALLĀH ka wali hota hai:
Samundar jaisi Sakhaawat, Sooraj jaisi Shafqat aur Zameen jaisi tawaazo’.
Ya’ni tamaam ke liye un ka faiz aur yaksaan hota hai aur sab ko kuchh na kuchh ata karte rehte hain.
Wo logo se sirf ALLĀH ke liye mohabbat karte hain.
(9) Wo ALLĀH ke hukm se islaam ki isha’at wa hifazat ke liye Karaamat zaahir karte hain aur Ghaib ki baaten bataate hain.
Magar Karaamat zaahir karna zaroori nahi. Balke un ki sab se badi karaamat ye hoti hai ki wo har amal shariat e islaam ke mutaabiq karte hain. Sahi ilm, Shariat ki paabandi, Taqwa wa Isteqaamat aur Saadgi wa Husn e Akhlaaq hi Wali Allāh ki nishaani hai.
ALLĀH jise apna Wali banaata hai wo wali banne ke baad hamesha gunaaho se bachta hai aur dunya ki mohabbat aur khwaahishaat se bhi parhez karta hai.
Aur jab wo koi karaamat zaahir karte hain tab bhi us par ghuroor nahi karte aur yehi kehte hain ke ye to mere Rab ke fazl o karam se hua hai.
(10) ALLĀH ki rahmat se unhe Maut ki koi sakhti ya pareshaani mehsoos nahi karni padti.
Aur Qabr me bhi unhe Jannat ki bahaaren aur Noor ka in’aam ata farmaata hai.
ALLĀH ta’ala un ki maghfirat farma deta hai.
(11) ALLĀH ta’ala ne apne muqarrab Auliya ko wisaal ke baad bhi Aalam e baqa me zindagi ata farmai hai.
Sirf un ki dunyawi zindagi puri hoti hai, Lekin wo baad e wisaal kafan me bhi zinda hain, Janaaze me bhi zinda hain aur un ke mazaar me bhi zinda hain aur un ki ukhrawi zindagi jaari hai.
Aur wo wisaal ke baad bhi ALLĀH ta’ala ke muqarrab rehte hain aur Un ka martaba aur charcha hamesha buland rehta hai aur wisaal ke baad bhi un ke kamalaat aur faiz jaari rehte hain aur ALLĀH ta’ala un ke waseele se hamari dua qubool farmaata hai.
Wo apne mazaar par aane walo ke Salaam ko sunkar un ke jawaab bhi dete hain.
(Aam insaan un ke jawaab ko nahi sun sakte, Sirf dusre Auliya Allāh hi sun sakte hain.)
(12) Roz e Mehshar Auliya Allāh ke bahot buland martabe aur maqaam honge.
Qayaamat me un ko koi paresahni ya khauf na hoga. Aur Hisaab, Mizaan aur Pul siraat ke imtihaan un ke liye bilkul aasaan honge.
Aur wo apne mureedo ki aur nisbat rakhne walo ki Shafa’at karenge aur unhe Jannat me le jaayenge.
******************
Auliya Allāh ke baare me chand khaas baaten :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) Hazrat Ali radiyAllāhu ta’ala anhu ‘Faatih e Wilaayat’ hain ya’ni Ummate Mohammadi me Wilaayat ka silsila aap se shuru hua.
(2) Tamaam Auliya Allāh me sab se aa’la darja ‘Ashra e mubashshira’ radiy-Allāhu ta’ala anhuma ka hai.
Aur un me sab se aa’la darja Khulfa e Raashideen radiy-Allāhu ta’ala anhuma ka hai.
Ummat e Mustafa me Ghaus ka darja sab se pehle Hazrate Abu Bakr Siddeeq radiy-Allāhu ta’ala anhu ko mila. Un ke baad Hazrate Umar Farooq radiy-Allāhu ta’ala anhu ko aur un ke baad Hazrate Usmaan Ghani radiy-Allāhu ta’ala anhu ko aur un ke baad Hazrate Ali al-Murtaza radiy-Allāhu ta’ala anhu ko mila hai.
(3) Hazrat Ghaus e aazam Abdul Qaadir Jeelani radiy-Allāhu ta’ala anhu Sayyed ul Auliya aur Peeran e Peer hain. Aap ko ‘Ghausiyat e kubra’ ka martaba mila hai.
Aap se pehle ye martaba Imaam Hasan al-Askari radiy-Allāhu ta’ala anhu ke paas tha.
Aur Ghaus e aazam ke baad ye martaba Imaam Muhammad al-Mahdi radiy-Allāhu ta’ala anhu ko milega.
(4) 4 Auliya ko ‘Qalandar’ ka martaba mila hai (ye wilaayat me ek khaas darja hai jo ALLĀH ta’ala ne apne khaas bando ko ata farmaaya hai) :
[1] Hazrat Shaikh Abdul Azeez Makki urfe Daada Hayaat Meer Qalandar,
[2] Hazrate Rabia Basri al-Adawiya (Basra / Iraq),
[3] Hazrat Sayyed Usmaan urfe Laal Shaahbaaz Qalandar (Sehwan / Pakistan)
aur [4] Hazrat Sharf-ud-deen urfe Bu Ali Shaah Qalandar (Panipat) rahmatullāhi alaihi.
(5) Tamaam Auliya Allāh ko Huzoor Nabi e kareem sallallāhu alaihi wa sallam ka faiz Hazrat Ali radiy-Allāhu ta’ala anhu aur Hazrat Ghaus e aazam Abdul Qaadir Jeelani radiy-Allāhu ta’ala anhu se muntaqil hokar hi milta hai.
**********************
Auliya Allāh ke foyuz o barkaat haasil karne ke 9 tareeqe hain :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) Bai’at – Peer e tareeqat ka mureed hona.
(2) Ta’azeem – Auliya Allāh aur un se nisbat rakhne waali har cheez ki ta’azeem wa ehtaraam karna.
(3) Sohbat wa khidmat – Wali Allāh ki sohbat me rehna ya un ki mehfil me jaana ya un ki khidmat karte rehna aur un ko Nazraana e aqeedat paish karte rehna.
(4) Ita’at – Auliya Allāh ki ita’at karna aur un ke farmaan par amal karna.
(5) Itteba (Pairwi) – Auliya Allāh ke dars e amal (Qaul o fail) par amal karna.
(6) Tawassul wa Istegaasah – Auliya Allāh ke waseele se ALLĀH ta’ala se dua karna.
(7) Madah wa Zikr – Apni guftagu me, bayaan me ya manqabat me Auliya Allāh ke fazaa’il wa martaba, sirat wa amal, zindagi aur karaamat wagairah ka tazkira karna.
(8) Isaal e sawaab – Koi bhi nek kaam karke un ko isaal e sawaab karna.
(9) Ziyarat – Auliya Allāh ke mazaar par haazir hona.
***********
›› Auliya Allāh se mohabbat ka izhaar karne ke aur un ke foyuz o barkaat haasil karne ke sirf yehi tareeqe hain aur is ke ilaawa kisi bhi naye tareeqe ko sahi maanne waala nadaan hai.
Auliya Allāh ke yaum e wisaal ya urs ke mauqe par Naachna gaana bajaana ya Khel tamaasha karne ko Auliya Allāh se mohabbat ki nishaani maanna ye sab naadaani hai.
Aur in sab ko sahi saabit karne ke liye galat daleelen pesh karna ye waqt aur mahenat ko zaaya karna hai.
****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Faatih e wilayat Hazrate Ali radiy-Allāhu ta’ala anhu aur Ghaus e aazam Peeran e peer Abdul Qaadir Jeelaani radiy-Allāhu ta’ala anhu ke waseele se
Sab ko hidaayat ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae.
Aur Sab ko Auliya Allāh ka mukammal ishq ata farmae aur un ki bai’at, ta’azeem sohbat wa khidmat, ita’at, itteba (pairwi), tawassul, zikr, isaal e sawaab aur ziyarat ke zariye un ke foyuz o barkaat haasil karne wala banaye.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
- मिसवाक के फायदे | मिस्वाक | Miswak Benefits - 9th April 2021
- BANGALORE RAMADAN TIMING 2021 - 8th April 2021
- HYDERABAD RAMADAN TIMING 2021 - 8th April 2021