(1) Qur’an :
10 Surah al-Yunus, Aayat 62-63-64 :
أَلَا إِنَّ أَوْلِيَاءَ اللَّهِ لَا خَوْفٌ عَلَيْهِمْ وَلَا هُمْ يَحْزَنُونَ
الَّذِينَ آمَنُوا وَكَانُوا يَتَّقُونَ
لَهُمُ الْبُشْرَىٰ فِي الْحَيَاةِ الدُّنْيَا وَفِي الْآخِرَةِ ۚ لَا تَبْدِيلَ لِكَلِمَاتِ اللَّهِ ۚ ذَٰلِكَ هُوَ الْفَوْزُ الْعَظِيمُ
Khabardar sun lo beshak jo ALLAH ke dost hote hain unko na to koi khauf hota hai aur na koi gham hota hai.Wo log jo eimaan laaye aur (hamesha) taqwa par rahe.Un ke liye duniya ki zindagi me (izzat wa kaamyabi ki) khush-khabari hai aur aakhirat me bhi (magfirat wa shafa’at ki).
(2) HADEESE QUDSI :
ALLAH TA’ALA FARMATA HAI :
Jis ne mere kisi Wali se dushmani ki main us se elaane e jang karta hu.’
Ref (Bukhari, Jild -5, Hadees -2384; Sunan Ibne Maajah, Kitaab-ul-Fitan, Hadees -3989)
(3) HADEESE NABAWI :
Wali woh hai jis (ki surat) ko dekhna tumhe ALLAH ki yaad dilaye, Jis ki guftagu Ilm me izaafa kare, Aur jis ke amal aakhirat ki yaad dilaye.
(4) HADEESE NABAWI :
Hazrat Abdullah bin Umar radi-Allahu ta’ala anhu se riwaayat hai ki :
Huzoor Nabi e kareem
(صلی اللہ علیہ وسلم)
ne farmaya,
‘Beshak ALLAH ta’ala ke kuchh khaas bande aise hain ke ALLAH ta’ala ne unhe makhlooq ki haajat rawai ke liye khaas farmaya hai. Log apni haajaten un ke paas lekar aate hain (aur wo un ki haajat rawai karte hain). ALLAH ta’ala ke wo khaas bande azaabe Ilaahi se amaan mein hain.’
- Allah subhanahu se Magfirat aur Aafyiat manga karo kyuki - 14th June 2017
- Sajda e Tilawat ki dua - 14th June 2017
- Bewaon aur miskeenon ke kaam aaney wala - 14th June 2017