Islamic Blog

(1) ALLAH ta’ala apne AULIYA ko khaas khubiya ata farmata hai.

Un ke chehre par aisa Noor ata farmata hai ke dekhne wale keh deta hai ‘Maasha Allāah’ aur un ka kalaam (guftagu) sunne wale keh dete hai ‘Subhan Allah’ aur unke amal dekhkar logo ko apne gunaho se tauba karne ki taufiq milti hai.

(2) Auliya Allah Mo’min Saaleh bande hote hain.Un ke Aqeede aur amal sahih aur nek hote hain.Wo Ikhlaas ke saath Raza e Ilaahi ke liye nek amal karte hain.Wo har amal Khushu’ aur Khuzu’ ke saath karte hain.Wo Riya (dikhaawa) aur Takabbur se paak hote hain.Unhe Shoharat ki laalach nahi hoti.Wo Ta’azeeme Rasool aur Ita’at wa Iteeba e Rasool karke mukammal ishq e Rasool ka saboot paish karte hain.Wo Farz amal ada karne ke saath nawaafil ki kasrat karte hain.

Zyada waqt Ibaadat e ilaahi, Zikr e ilaahi, Tilawaat e Qur’an aur Durood o Salaam padhne me guzarte hain.Un ko ALLAH ta’ala gunaho se bachne ki taufiq ata farmata hai.Wo hamesha Taqwa (parhezgaari) ikhtiyar karte hain aur khufe khuda se gunah se bachte hain.Wo Zohad ikhtiyar karte hain aur hamesha ALLAH ki raza ke liye aur aakhirat ke liye dunya (ke maal wa daulat) se muhabbat wa raghbat nahi rakhte.Wo Kam bolna Hikmat samajhte hai, Kam khaana Sehat samajhte hai, Kam sona Ibaadat samajhte hai, Aur logo se kam milna samajhte Aafiyat hai.

(3) Auliya Allah Tawakkal aur Qana’at wale hote hain aur har haal me ALLAH ka Shukr aur Sabr karte hain.Wo kisi makhlooq ke mohtaaj nahi hote.Hamesha sirf ALLAH ta’ala se maangte hain aur logo ko ata karte rehte hain.

Aur ALLAH ki ata par raazi rehte hain.Unhe na dunyawi cheezo ka khauf hota hai aur na in cheezo ki laalach hoti hai aur na dunyawi nuqsan ka ranj o gham hota hai.

(4) ALLAH ta’ala unhe itna ilm ata farmata hai ki jis se wo Halaal wa Haraam aur Jaaiz wa Na-jaaiz ki pehchan rakhte hain aur hamesha haraam wa na-jaaiz se bachte hai.

(5) ALLAH ta’ala un ke zariye logo ko hidaayat ata farmata hai aur wo logo ki islaah karte hain. Kaafiro ko Musalman banata hai aur Gunahgaro ko Nek banata hai aur Mo’mino ko Wali banata hai.Wo ALLAH ke ata kiye gaye ilm wa hikmat se aur apne amal aur naseehat se islaam ki isha’at aur hifaazat karte hain.

(6) ALLAH ta’ala un ke waseele se hamari duayen jaldi qubool farmata hai aur hamare liye behtar hai wo ata farmata hai aur jo un se madad ke liye Istegasah karte hain un ko unke liye jo behtar hai wo ALLAH se ata farmate hain.

ALLAH ta’ala unhe Quwwat ata farmata hai ke Jab koi un se nisbat rakhne wala un ko madad ke liye pukarta hai ya dil me yaad karta hai wo qareeb ho ya door AULIYA ALLAH us ki madad farmate hain. Isi tarah baade wisaal bhi wo madad farmate hain.Un ki dua me aisa asar hota hai ki wo jis ke liye dua e khair karte hain ALLAH ta’ala use khairo barkat ata farmata hai.

(7) Wo ALLAH ke hukm se islaam ki isha’at wa hifazat ke liye Karaamat zaahir karte hain aur Ghaib ki baaten batate hain.

Magar Karaamat zaahir karna zaoori nahi. Balke un ki sab se badi karaamat ye hoti hai ki wo har amal shariat e islaam ke mutabik karte hain.ALLAH jise apna WALI banata hai wo WALI banne ke baad hamesha gunaaho se bachta hai aur dunya ki mohabbat aur khwaahishaat se bhi parhez karta hai.Aur jab wo koi karaamat zaahir karte hain tab bhi us par ghuroor nahi karte aur yehi kehte hain ke ye to mere Rab ke fazl o karam se hua hai.

(8) Is ke ilaawa un me Haya, Adab, Tahaarat, Saadgi, Sadaaqat, Amaanatdaari, Halaal rizq, Husn e akhlaaq, Husn e Sulook wa kirdaar, Khush-mizaazi, Narmi, Sakhaawat aur Sila rehmi jaisi khaslaten majood hoti hain.

(9) Jis shakhs me 3 khaslaten hoti hai wo ALLAH ka WALI hota hai:Samundar jaisi Sakhaawat, Sooraj jaisi Shafqat aur Zameen jaisi tawaazo’.Ya’ni tamaam ke liye us ke fayuzo barkaat aam aur yaksaan hota hai aur sab ko kuchh na kuchh ata karte rehte hain.Wo logo se sirf ALLAH ke liye muhabbat karte hain.

(10) ALLAH ki rahmat se unhe Maut ki koi sakhti ya pareshani mehsoos nahi karni padti.Aur Qabr me bhi unhe Jannat ki bahaaren aur Noor ka in’am ata farmata hai.ALLAH ta’ala un ki magfirat farma deta hai.

(11) ALLAH ta’ala ne apne muqarrab Auliya ko wisaal ke baad bhi Aalame baqa me zindagi ata farmai hai.

Sirf un ki dunyawi zindagi puri hoti hai, Lekin wo baade wisaal kafan me bhi zinda hain, Janaaze me bhi zinda hain aur un ke mazaar me bhi zinda hain aur un ki ukhrawi zindagi jaari hai.Aur wo wisaal ke baad bhi ALLAH ta’ala ke muqarrab rehte hain aur Un ka martaba aur charcha hamesha buland rehta hai aur wisaal ke baad bhi unke kamalaat aur faiz jaari rehte hain aur ALLAH ta’ala un ke waseele se hamari dua qubool farmata hai.Wo apne mazaar par aane walo ke Salaam ko sunkar un ke jawaab bhi dete hain.(Aam insaan un ke jawaab ko nahi sun sakte, Sirf dusre AULIYA ALLAH hi sun sakte hain.)

(12) Roz e Mehshar AULIYA ALLAH ke bahut buland martabe aur maqaam honge.Qayamat me un ko koi paresahni ya khauf na hoga. Aur Hisaab, Mizaan aur Pul siraat ke imtihaan un ke liye bilkul aasan honge.Aur wo apne mureedo ki aur nisbat rakhne walo ki Shafa’at karenge aur unhe Jannat me le jaayenge.

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm