Islamic Blog

Qur’ān :
10 Soorah al-Younus, Aayat 62-63-64 :
أَلَا إِنَّ أَوْلِيَاءَ اللَّهِ لَا خَوْفٌ عَلَيْهِمْ وَلَا هُمْ يَحْزَنُونَ
الَّذِينَ آمَنُوا وَكَانُوا يَتَّقُونَ
لَهُمُ الْبُشْرَىٰ فِي الْحَيَاةِ الدُّنْيَا وَفِي الْآخِرَةِ ۚ لَا تَبْدِيلَ لِكَلِمَاتِ اللَّهِ ۚ ذَٰلِكَ هُوَ الْفَوْزُ الْعَظِيمُ
Khabardaar sun lo beshak jo ALLĀH ke dost hote hain unko na to koi khauf hota hai aur na koi gham hota hai.
Wo log jo eimaan laaye aur (hamesha) taqwa par rahe.
Un ke liye duniya ki zindagi me (izzat wa kaamyaabi ki) khushkhabari hai aur aakhirat me bhi (maghfirat wa shafa’at ki).
Qur’ān :
16 Soorah al-Nahl, Aayat 128 :
Beshak ALLĀH (apni ma’asiyat e khaas se) un logo ke saath hai jo Taqwa [khauf e khuda] waale ho aur wo log jo Ehsaan (aur Ikhlaas) waale ho.
Qur’ān :
9 Soorah at-Tauba, Aayat 112 :
التَّائِبُونَ الْعَابِدُونَ الْحَامِدُونَ السَّائِحُونَ الرَّاكِعُونَ السَّاجِدُونَ الْآمِرُونَ بِالْمَعْرُوفِ وَالنَّاهُونَ عَنِ الْمُنْكَرِ وَالْحَافِظُونَ لِحُدُودِ اللَّهِ ۗ وَبَشِّرِ الْمُؤْمِنِينَ
Wo Tauba karne waale, Ibaadat karne waale , (ALLĀH ki) Ta’arif karne waale, Ruku karne waale, Sajdah karne waale, Achhi baato ka hukm karne waale aur buri baato se rokne waale aur ALLĀH ke hudood [shariat e islaam] ki hifaazat karne waale hain aur aise Mo’mino ko (jannat ki) khushkhabari suna do.
******************
Hadeeṡ e Nabawi :
Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya hai ki
“Wali woh hai jis (ki surat) ko dekhna tumhe ALLĀH ki yaad dilaaye, Jis ki guftagu Ilm me izaafa kare, Aur jis ke amal aakhirat ki yaad dilaye.”
******************
Hiqaayat :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Ek martaba Sultaan-ul-Aarifeen Hazrat Khwaja Baayazeed Bustami rahmatullāhi alaihi ki baargaah me ek shakhs aaya. Wo roz aap ki sohbat me rehta. 40 din ke baad wo aap se ijaazat lekar jaane laga.
Aap ne farmaaya “Koi khaas kaam se aaye the?”
Us ne kaha ke “Maine suna tha aap bade wali e kaamil hain. Is liye main aap se bai’at karne ke liye aaya tha. Ab jaa raha hu.”
Aap ne farmaaya ke “Lekin tum to baghair mureed hue jaa rahe ho.”
Us ne kaha ke “Main itne din yaha raha, magar mujhe koi karaamat dekhne nahi mili. Is liye main waapas jaa raha hu.”
Aap ne muskurakar farmaaya “Tum 40 din yaha rahe. Mujhe yeh batao ke kya itne din me tum ne meri koi bhi namaaz chhuti ho aisa dekha ya maine koi bhi kaam khilaafe shariat kiya ho aisa dekha?”
Us ne kaha ke “Nahi, maine aisa to kabhi nahi dekha.”
Aap ne farmaaya ke “Yehi sab se badi karaamat hai.
ALLĀH ta’ala jab kisi bande se raazi hota hai aur use pasand kar leta hai to use neki aur parhezgaari ki taufiq ata farmata hai aur phir us ke nek amal qubool karta hai to use ye khoobi ata farmata hai ke us ki dua qubool farmata hai. Sirf karamat dikhaana badi baat nahi, magar ALLĀH ta’ala ka khauf dil me rakhna aur us ki aur raza ke liye Ishq e Rasool sallallāhu alaihi wa sallam ke saath nek amal karna aur gunah se bachna ye zaroori hai aur ALLĀH ta’ala apna muqarrab banda banaaye yeh asl kamaal hai.”
Yeh sunkar us shakhs ko baat samajh me aai aur foran aap ka mureeed ho gaya.
******************
Aqwaal e Auliya :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) Sayyed-ul-Auliya Ghauṡ e aazam Hazrat Shaikh Sayyed Mohiy-ud-deen Abdul Qaadir Jilani rahmatullāhi alaihi farmaate hain
“Agar tum kisi ko hawa me udta dekho, Lekin woh Shariat ka paaband na ho,
To woh Istidaraaj hai, Wilaayat nahi.”
Aur aap irshaad farmaate hain
“Jin ulama me 3 cheez maujood ho un ki sohbat ikhtiyaar karo :
[1] Ilm [2] Amal aur [3] Ehsaan.”
(2) Hazrat Daata Ganj-bakhsh Sayyed Ali al- Hujwiri rahmatullāhi alaihi farmaate hain ke
“Wilaayat haasil karne ke liye Sunnate Rasool ki ita’at o itteba laazim hai.”
(3) Hazrat Imaam Fakhr-ud-deen Muhammad al-Raazi rahmatullāhi alaihi farmaate hain ke
“Wali woh hai jis ka aqeeda durust (sahi) ho aur aamaal shariat ke mutaabiq ho.”
(4) Hazrat Makhdoom Sayyed Ashraf Jahaangeer Simnani rahmatullāhi alaihi farmaate hain ke
“Wali hone ke liye shart hai ki zabaan se, amal se aur aqeede se Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallamm ki ita’at kare. Jo Shariat ka paaband nahi woh Tareeqat ke faiz se mehroom hota hai. Jaahil ya gumraah shakhs khud bhi doobta hai aur apne mureedo ko bhi doobaata hai.”
(5) Hazrat Khwaja Sayyed Muhammad Ilm-ud-deen Chishti rahmatullāhi alaihi farmaate hain ke
“Jo shariat me kaamil aur paaband hai wo hi tareeqat ke qaabil hai.”
(6) Hazrat Makhdoom Sharf-ud-deen Yahyā Maneri rahmatullāhi alaihi farmaate hain ke
“Baa-kirdaar Aalim wohi hai jo har haal me paabande shariat hota hai aur apne kirdaar ko Sunnat e Rasool par parakhta hai. Jo Shariat ka paaband nahi hai woh Tareeqat se kuchh haasil nahi kar sakta.”
(7) Hazrat Khwaja Abul Qaasim Gurgani rahmatullāhi alaihi irshaad farmaate hain “Paani par chalna, hawa me udna aur ghaib ki khabar dena karaamat nahi balke asl karaamat yeh hai ke woh shakhs saraapa amr ya’ani shariat ki ita’at karne waala ban jaaye is tarh ke us se haraam ka sudoor na ho.”
(8) Hazrat Khwaja Sayyed Muhammad Baha-ud-deen Naqshband Bukhari rahmatullāhi alaihi irshaad farmaate hain ke
“Tareeqat magz hai aur Shariat us ki chhal hai. Agar chhaal sahi na ho to magz bhi sahi nahi rahega. Isi tarah agar shariat par amal na kare to tareeqat bhi sahi nahi hogi.”
Ek baar kisi ne Aap se koi karaamat dikhaane ke liye kaha to aap ne farmaaya “Wali ki karaamat yehi hoti hai ki woh dunya me rehkar bhi gunaaho se bachta hai.”
(9) Hazrat Mujaddid e Alfe ṡaani Imaam Shaikh Ahmad Sirhindi rahmatullāhi alaihi irshaad farmaate hain
“Agar koi hatheli par sarso jamaakar aur hawa me udkar dikhaaye, Magar shariat par amal na karta ho to hargeez Wali nahi hoga.”
(10) Hazrat Maulana Shaah Fazl-e-Rahmaan Gunj-muradabadi rahmatullāhi alaihi farmate hain
“Sunnat e Rasool se hi Ghauṡiyat aur Qutubiyat hai. Jo Sunnat par amal na kare woh kabhi wali ho nahi sakta.”
(11) Hazrat Sayyed Shaah Abul Husain Ahmad-e-Noori Miyan Barkaati Marehrawi rahmatullāhi alaihi farmate hain
“Tareeqat aur Shariat alag alag nahi ho sakti, balke Shariat me takmeel aur bulandi se hi Tareeqat milti hai.”
(12) Aa’la Hazrat Imaam Ahmad Raza Khan Bareilwi rahmatullāhi alaihi farmate hain
“Wali ki asl karaamat yeh hai ke woh hamesha nek aur parhezgaar hota hai aur shariat aur sunnat par amal karta hai.”
******************
Karaamat zaahir hona yeh Achaar ki tarah hai.
Jis tarah Achaar ke hone se khaana zyada mazedaar lagta hai, magar sirf achaar ko khaane se pet nahi bharta balke khaana khaane se hi bhuk mit’ti hai.
Isi tarah sirf Karaamat dikhaana hi Wilaayat ki nishaani nahi hai balke Sahi ilm, Shariat ki paabandi, Taqwa wa Isteqaamat, Saadgi wa Qa’anat o Sabr aur Husn e Akhlaaq wa kirdaar hi Wali Allāh ki nishaani aur asl e karaamat hai.
Wilaayat ke liye Eimaan aur Taqwa shara’it hain. Un ki badi karaamat me se ek un ki tasannif, ta’aleemaat aur malfuzaat aur un se ta’aleem yaafta aur faizyaab shaagird hain jin se logo ke ilm me izaafa hota hai.
*****************
Raahe Sulook ki 4 manzilen hain :
(1) Shariat (2) Tareeqat (3) Ma’arifat (4) Haqeeqat.
Shariat ka ma’ana hai Qaanoon (Law). Jab Mo’min sahi ilm haasil karke sahi aqeede ke saath shariat ki paabandi karke sahi nek amal karta hai aur faiz haasil karta hai to woh Tareeqat par pahunchta hai.
Tareeqat ka ma’ana Raasta (Way). Jab woh tareeqat par aage badhta hai to use Ma’arifat haasil hoti hai.
Ma’arifat ka ma’ana hai (Rabb ki) Pehchaan (Recognition). Jab woh Ma’aarifat
******************
Akṡar yeh dekhne milta hai ke Wali Allāh ne jaha qayaam kiya ho waha par aur un ka mazaar kahi par bhi ho us ke qareeb ek masjid zaroor hoti hai.
ALLĀH ta’ala Islaam ki hifaazat aur isha’at ke liye apne Wali ko bhejta hai.
Aur Wali Allāh ALLĀH ta’ala ke hukm se apna watan aur pariwaar aur azeezo dosto aur apna kaarobar aur milkiyat ko chhodkar kisi door ke anjaan mulk me jaate hain.
Magar ALLĀH ke wali dunya ke kisi bhi ilaaqe me jaaye hamesha Zohad aur Taqwa ikhtiyaar karte hain aur ALLĀH ki ibaadat aur zikr jaari rakhte hain.
Aur wo dusro ko bhi ALLĀH ta’ala ki ibaadat ka aur shariat par amal ka dars dete hain.
Agar hum Auliya Allāh se mohabbat ka daawa karte hain to hame bhi in ke dars o naseehat par amal karna chaahiye aur Auliya Allāh ki ziyaarat wa khidmat ke saath ALLĀH ta’ala ki ibaadat karni chaahiye aur waqt par Namaaz, Roza, Zakaat aur Hajj ada karna chahiye.
Kyun ki yeh Pyare Aaqa Sarwar e kaa’inat Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ki bhi Sunnat hai aur ALLĀH ke muqarrab o muqaddas Auliya ki bhi Sunnat hai.
Agar hum un ke dars par amal nahi karte to sirf zabaani daawa karne se koi faa’ida nahi.
******************
Kisi Peer e tareeqat (Spiritual mentor) ka mureed (Disciple) bankar Auliya Allāh ke silsile me daakhil hone se dunya aur aakhirat dono jahaan me un ke foyuz o barkaat aur kaamyaabi haasil hote hain.
Bai’at ke liye Peer me 4 baaten hona zaroori hai :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) Saahib e Tareeqat ho.
Us ka silsila Nabi e kareem sallallāhu alaihi wa sallam tak muttasil ho taake upar se faiz jaari rahe.
(2) Sunni saheeh ul aqeeda ho.
(3) Itna ilm rakhta ho ke apne zaroorat ke masaa’il ka hal khud kitaabo se nikaal le aur Haraam –Halaal aur Jaa’iz – Na-jaa’iz ka farq kar sake.
(4) Faasiq muallin (jo khullam khulla gunaah karta hai) na ho.
******************
Auliya Allāh Mo’min Saaleh bande hote hain.
Un ke Aqeede aur amal sahih aur nek hote hain.
Wo ikhlaas ke saath Raza e Ilāhi ke liye nek amal karte hain.
Wo har amal Khushu aur Khuzu ke saath karte hain.
Wo Riya aur Takabbur se paak hote hain.
Unhe Shohrat ki laalach nahi hoti.
Wo Ta’azeem e Rasool aur Ita’at wa Iteeba e Rasool karke mukammal ishq e Rasool ka ṡaboot pesh karte hain.
Un ko ALLĀH ta’ala gunaaho se bachne ki taufiq ata farmaata hai.
Wo hamesha Taqwa (parhezgaari) ikhtiyaar karte hain aur khuf e khuda se gunaah se bachte hain.
Wo Zohad ikhtiyaar karte hain aur hamesha ALLĀH ki raza ke liye aur aakhirat ke liye dunya (ke maal wa daulat) se mohabbat wa raghbat nahi rakhte.
Wo ALLĀH ke hukm se Islaam ki isha’at wa hifaazat ke liye Karaamat zaahir karte hain aur Ghaib ki baaten batate hain.
Magar Karaamat zaahir karna zaoori nahi. Balke un ki sab se badi karaamat ye hoti hai ki wo har amal shariat e islaam ke mutaabiq karte hain.
ALLĀH jise apna Wali banaata hai wo wali banne ke baad hamesha gunaaho se bachta hai aur dunya ki mohabbat aur khwaahishaat se bhi parhez karta hai.
Unhe na dunyaawi cheezo ka khauf hota hai aur na in cheezo ki laalach hoti hai aur na dunyaawi nuqsaan ka ranj o gham hota hai.
******************
Jin ke aqeeda sahi nahi wo Munaafiq [Bad-mazhab] hai.
Munaafiq ka ma’ana hai nifaaq rakhne waala ya’ani musalman hone ka dikhaawa kare magar dil me Islaam ke khilaaf aqeeda rakhe.
Munaafiq [Nifaaq rakhne waala] ki 3 qismen hain :
(1) Munaafiq-e-Asli – Keena parwar, Jo musalman hone ka dikhaawa kare magar Islaam ya Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam se bughz rakhe ya dushmane Rasool-Allāh ko saath de.
(2) Munaafiq-e-Urfi – Gustaakh, Jo Islaam ya Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam se ta’alluq rakhne waali kisi bhi cheez ki tauheen ya tahqeer kare.
(3) Munaafiq-e-Sirri – Mukhaalif, Jo Islaam aur Ghair islaami mazhab ko masaawi [baraabar] maane, ya Bid’ate Sayyi’ah [Ghair-islaami tareeqe] ko sahi maane, ya Shariat ke kisi bhi hukm ko fuzool ya haqeer maane.
Aur jin ke amal sahi nahi wo Faasiq hain.
Faasiq ka ma’ana hai ‘Sarkash, Na-farmaan’.
Faasiq [Fisq karne waala] ki 3 qisme hain :
(1) Faasiq e Moallin – Khule aam gunaah e kabeerah karne waala.
(2) Faasiq e Khafi – Posheeda rehkar gunaah e kabeerah karne waala.
(3) Faasiq e Sirri (Faajir) – Gunaah karwaane waala [gunaah karne ke liye kehne waala] ya gunaah me madad karne waala.
Fisq ki 3 darje hain :
(1) Taghaabi – Musalman se ittifaaqan gunaah e kabeerah ho jaata hai lekin use bura maanta hai.
(2) Munhariq – Gunaahe kabeerah ka aadi ho jaata hai lekin use bura jaanta hai.
(3) Juhood – Gunaahe kabeerah ko jaa’iz maankar karta hai [yeh Nifaaq hai].
Munaafiq [Bad-mazhab] aur Faasiq kabhi ALLĀH ka Wali nahi ho sakta.
******************
Agar koi yeh maanta ho ke koi insaan khilaaf e Shariat amal karke Wali Allāh ban sakta hai to yeh Mumkin bhi nahi aur Munaasib bhi nahi.
Kyun ki ALLĀH jise apna Wali banaata hai woh Wilaayat milne ke baad kabhi koi bad-amal nahi karta.
ALLĀH ka wali kabhi Faasiq ya Faajir nahi hota.
Woh kabhi Farz arkaan chhodne waala (waqt par ada na karne waala), Waalidain ki na-farmani karne waala ya un ko takleef dene waala, Zulm karne waala, Fasaad karne waala, Be-rahami ya sakhti karne waala, Daadhi na rakhne waala, Zina ya Ayyaashi karne waala, Be-hayaai aur Bad-nigaahi karne waala, Sharaabi, Jhut bolne waala ya waada-khilaafi ya be-imaani karne waala, Gheebat ya Chugli karne waala ya Gaali bolne wala, Tohmat lagaane waala, Gandi aur be-huda baaten karne waala, Naachna aur gaana- bajaana jaa’iz maanne waala, Haraam rizq khaane waala, Sood khor, Naap-tol me kami karne waala, Chori karne waala, Jua khelne waala, Fuzool kharchi karne waala, Bakhil (kanjoosi karne waala), Takabbur karne waala, Bughz (kina) rakhne waala ya Hasad karne waala nahi hota.
***************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ko hidaayat ata farmae.
Aur Sab ko Auliya Allāh ka mukammal ishq ata farmae aur un ki bai’at, ta’azeem sohbat wa khidmat, ita’at, itteba [pairwi], tawassul, zikre khair, isaale ṡawaab aur ziyarat ke zariye un ke foyuz o barkaat haasil karne wala banaaye.
Aur in baato ko yaad rakhkar us par amal karne ki aur dusro ko bataane ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.
Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)