»SARRAAF«•
**************
HIQAYAT
*********
Ek Shaks Auliya-A-Kiraam Ka Munkir Tha! Ek Roz Hazrat Junnoon Misri Rehmatullah Ta’aala Alaihi Se Uski Ittifaqan Mulakaat Hogayi! Hazrat Junnoon Misri Ne Use Apni Anghuti Deker Farmaya, Ki Jao Kisi Naanbai Ke Paas Ise Girwi Rakh Aao! Wo Shaks Anghuti Leker Naanbai Ke Paas Gaya Aur Use Anghuti Girwi Rakhne Ko Kaha! Us Naanbai Ne Anghuti Dekhi Aur Kaha Ki Ise Ek Dirhaam Se Zyada May Na Rakhuga! Wo Shaks Anghuti Wapas Le Aaya Aur Hazrat Junnoon Misri Se Kehne Laga Ki Wo Ise Ek Dirhaam Se Zyada Per Girwi Rakhne Ko Taiyyar Nahi Hain! Aapne Farmaya, Ki Accha Ab Ise Kisi Sarraaf Ke Paas Lejao Aur Usse Daryaft Karo Ki Wo Ise Kitne May Girwi Rakh Lega! Chunanche, Wo Fir Us Anghuti Ko Leker Ek Sarraaf Ke Paas Aaya! Sarraaf Ne Anghuti Dekhker Kaha Ki Wo Ise Ek Hazaar Per Girwi Rakh Lega! Wo Shaks Hazrat Junnoon Misri Ke Paas Aaya Aur Batane Laga Ki Sarraaf Iske Ek Hazaar Dinaar Deta Hain!
Hazrat Junnoon Misri Ne Farmaya Ki Bas Mujhe Yahi Samjhana Tha Ki Tumahra Ilm Us Naanbai Ka Is Anghuti Ke Mutaallik Tha! Tum Agar Aarif Pehchanne Wale Hote To Auliya-A-Kiraam Ka Bhi Inkaar Nahi Karte! Wo Fauran Apni Galti Per Sharminda Hua Aur Tauba Ki!
(Tazkiratul Auliya, Pg-145)
*********************************
SABAK
********
Auliya-A-Kiraan Ka Inkaar Asal May Apni Kam Ilmi Aur Nadaani Ka Muzahira Hain! Jin Logon Ke Yahan Kabhi Wali Guzra Hi Nahi Wo Kya Jane?
Jahan Lakhon Wali Guzre Aur Guzrege Wo Waliyon Ke Khadim Bhi Hain Aur Unki Shaan Ko Bhi Jaante Hain!
- Sultan Shamsuddin Altamas. - 25th October 2016
- Allah Ki Raah me Kharch. - 24th October 2016
- Aqeeda aur Niyat. - 22nd October 2016